Quote
"dil ne ham se ajab hi kaam liyaa ham ko bechaa magar na daam liyaa dil se aakhir charaagh-e-vasl bujhaa kyaa tamannaa ne intiqaam liyaa phir kabhi vo na aai ham ko nazar jis pari-ru kaa ham ne naam liyaa teri khaatir hanuz ham ne yahaan laakh ilzaam apne naam liyaa taa-dam-e-marg ishq jiitaa rahaa gor mein bhi miraa salaam liyaa"
