"vafaa ne jhuum ke jab tere giit gaae hain qadam ufuq pe andheron ke laDkhaDaae hain tire qarib pahunch kar bhi kam nahin hote gham-e-hayaat ne jo faasle baDhaae hain bahut tavil sahi raah-e-justuju lekin bahut hasin tire gesuon ke saae hain tiri nigaah mudaavaa na ban saki jin kaa tiri talaash mein aise bhi zakhm khaae hain paDaa hai 'aks jo rukhsaar-e-shola-e-mai kaa to aaine tiri yaadon ke jagmagaae hain musaafiraan-e-shab-e-gham ki raah mein 'jaami' nae charaagh miri fikr ne jalaae hain"
mahak uTThaa yakaayak regzaar-e-dard-e-tanhaai — Khurshid Ahmad Jami
"mahak uTThaa yakaayak regzaar-e-dard-e-tanhaai kise ai yaad-e-jaanaan tu yahaan tak DhunDne aai baDe dilchasp vaa'de the baDe rangin dhoke the gulon ki aarzu mein zindagi sho'le uThaa laai bataao to andheron ki fasilon se pare aakhir kahaan tak qaafila guzraa kahaan tak raushni aai tumhaare baa'd jaise jaagtaa hai shab kaa sannaaTaa dar o divaar ko detaa hai koi izn-e-goyaai sunaa hai saaya-e-rukhsaar mein kuchh der Thahri thi vahin se jagmagaate khvaab le kar zindagi aai"
مہک اٹھا یکایک ریگزار درد تنہائی کسے اے یاد جاناں تو یہاں تک ڈھونڈنے آئی بڑے دلچسپ وعدے تھے بڑے رنگین دھوکے تھے گلوں کی آرزو میں زندگی شعلے اٹھا لائی بتاؤ تو اندھیروں کی فصیلوں سے پرے آخر کہاں تک قافلہ گزرا کہاں تک روشنی آئی تمہارے بعد جیسے جاگتا ہے شب کا سناٹا در و دیوار کو دیتا ہے کوئی اذن گویائی سنا ہے سایۂ رخسار میں کچھ دیر ٹھہری تھی وہیں سے جگمگاتے خواب لے کر زندگی آئی
महक उट्ठा यकायक रेगज़ार-ए-दर्द-ए-तन्हाई किसे ऐ याद-ए-जानाँ तू यहाँ तक ढूँडने आई बड़े दिलचस्प वा'दे थे बड़े रंगीन धोके थे गुलों की आरज़ू में ज़िंदगी शो'ले उठा लाई बताओ तो अँधेरों की फ़सीलों से परे आख़िर कहाँ तक क़ाफ़िला गुज़रा कहाँ तक रौशनी आई तुम्हारे बा'द जैसे जागता है शब का सन्नाटा दर ओ दीवार को देता है कोई इज़्न-ए-गोयाई सुना है साया-ए-रुख़्सार में कुछ देर ठहरी थी वहीं से जगमगाते ख़्वाब ले कर ज़िंदगी आई

More by Khurshid Ahmad Jami
View all →"taa-hadd-e-nazar koi makaan hai naa makin hai dil vaqt ke maqtul fasaanon ki zamin hai auraaq-e-bahaaraan ko phir ik baar ulaT kar dekho to sahi naam hamaaraa bhi kahin hai is tarah bhaTaktaa huun akelaa hi akelaa jaise ye miraa shahr miraa shahr nahin hai jalte hain charaaghon ki tarah gham ke andhere jab se mire hamraah koi shoala-jabin hai har samt zamaane ki vahi dhuul hai lekin har shakl tire pyaar ki dil-daar-o-hasin hai chhaai hain jahaan zulf-e-moambar ki ghaTaaein shaayad mire giton kaa nayaa des vahin hai yaadon ke shabistaan se bulaataa nahin koi khvaabon ke dariche mein koi shama nahin hai tu aur bhi raahon se miri duur huaa hai tu aur bhi mujh se mire giton se qarin hai sadiyon se isi tarh bhaTakti hai khudaai sadiyon se isi tarh khudaa arsh-nashin hai haalaat ke baDhte hue pathraav mein 'jaami' kuchh aur mujhe azmat-e-hasti kaa yaqin hai"
"sahar kaa husn gulon kaa shabaab detaa huun nai ghazal ko nai aab-o-taab detaa huun mire liye hain andheron ki phaansiyaan lekin tiri sahar ke liye aaftaab detaa huun vafaa ki pyaar ki gham ki kahaaniyaan likh kar sahar ke haath mein dil ki kitaab detaa huun guzar rahaa hai jo zehn-e-hayaat se 'jaami' shab-e-firaaq ko vo maahtaab detaa huun"
"gul-ba-daamaan na koi shoala ba-jaan hai ab ke chaar su vaqt ki raahon mein dhuaan hai ab ke shaam-e-hijraan jise haathon mein liye phirti hai kaun jaane ki vo tasvir kahaan hai ab ke zindagi raat ke phaile hue sannaaTe mein duur haTte hue qadmon kaa nishaan hai ab ke teri palkon pe koi khvaab laraztaa hogaa mere giton mein koi dard javaan hai ab ke ek ik saans pe dhokaa hai kisi aahaT kaa ek ik ghaav ujaalon ki zabaan hai ab ke sahn-e-gulshan hai bahaaron ke lahu se rangin shaakh-e-gul hai ki bas ik tegh-e-ravaan hai ab ke jo kabhi husn ke honTon pe na aayaa 'jaami' haae vo harf-e-tasalli bhi garaan hai ab ke"
"suraj saron pe aag ugaltaa dikhaai de mujh ko ye shahr aaj pighaltaa dikhaai de vo saamne rakhaa hai koi khat khulaa huaa vo duur koi chaand nikaltaa dikhaai de kis ke qarib jaaiye kis ko pukaariye har shakhs apnaa ruup badaltaa dikhaai de main is nadi ko paar to kar jaaungaa magar aage koi charaagh to jaltaa dikhaai de ye reg-zaar-e-gham ye khayaalon ki tez dhuup jo zad mein aa gayaa vo pighaltaa dikhaai de ghar ho ki raasta ho ik aaseb har jagah tanhaaiyon kaa zahr ugaltaa dikhaai de aavaaz de ki raat ke unche pahaaD se khvaabon kaa paanv aaj phisaltaa dikhaai de 'jaami' miri nazar mein zamaana hai is tarah phulon ko jaise koi masaltaa dikhaai de"
"giit khvaabon ki tarah duur se chal kar aae raat aai to ujaalon ke payambar aae gham ki qindil jalaao ki bahut mumkin hai koi mehmaan sar-e-shaam mire ghar aae apne bichhDe hue suraj kaa khayaal aate hi saamne vaqt ke taarik samandar aae zehn mafluj rivaayat ki thakan chehron par haae kis shaan se mahfil mein sukhanvar aae tanz karne miri jalti hui tanhaai par aarzuon ke taraashe hue paikar aae log phirte hain yahaan harf-e-malaamat ki tarah zindagaani kaa yaqin aae to kyunkar aae dil mein is tarh ruke dard-e-vafaa ke lamhe jis tarah shahr mein changez kaa lashkar aae jis taraf majma’-e-ahbaab khaDaa thaa 'jaami' ham pe aae to usi samt se patthar aae"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"