"dar-parda sitam ham pe vo kar jaate hain kaise gar kiije gilaa saaf mukar jaate hain kaise aane mein to sau tarah ki sohbat thi shab-e-vasl dekheinge par ab uTh ke sahar jaate hain kaise ranjish kaa miri paas nahin aap ko mutlaq barham tujhe ham dekh ke Dar jaate hain kaise ghusse mein nayaa rang nikaale hain pari-ru juun juun ye bigaDte hain sanvar jaate hain kaise us saahib-e-ismat ko yahi soch hai har subh be-vajh mire baal bikhar jaate hain kaise ayyaam musibat ke to kaaTe nahin kaTte din aish ke ghaDiyon mein guzar jaate hain kaise vo vaqt to aane de bataa deinge 'shahidi' bin aae kisi shakhs pe mar jaate hain kaise"
mahfil se aakhir us ki nikalvaae jaaeinge — Karamat Ali Shaheedi
"mahfil se aakhir us ki nikalvaae jaaeinge shekhi se jaa to baiThe the ik baar anqarib vahshat bhare hue mire tevar ko dekh kar aataa nahin hai ab koi gham-khvaar anqarib vo din gae junun ke mudaavaa ke vaaste do-chaar roz baiThe to do-chaar anqarib jins-e-vafaa ki qadr gar izhaar kijiye kahtaa hai mujh ko yaan se hai baazaar anqarib ai bad-saliqa ye bhi qarina hai bazm kaa ushshaaq duur baiThein aur aghyaar anqarib le apne aashiyaan ki khabar jald jibrail pahunchi hamaari aah-e-sharar-baar anqarib duuri 'shahidi' apni samajh kaa qusur thaa hai shah-rag-e-gulu se bhi yaan yaar anqarib"
محفل سے آخر اس کی نکلوائے جائیں گے شیخی سے جا تو بیٹھے تھے اک بار عنقریب وحشت بھرے ہوئے مرے تیور کو دیکھ کر آتا نہیں ہے اب کوئی غم خوار عنقریب وہ دن گئے جنوں کے مداوا کے واسطے دو چار روز بیٹھے تو دو چار عنقریب جنس وفا کی قدر گر اظہار کیجیے کہتا ہے مجھ کو یاں سے ہے بازار عنقریب اے بد سلیقہ یہ بھی قرینہ ہے بزم کا عشاق دور بیٹھیں اور اغیار عنقریب لے اپنے آشیاں کی خبر جلد جبرئیل پہونچی ہماری آہ شرربار عنقریب دوری شہیدیؔ اپنی سمجھ کا قصور تھا ہے شہ رگ گلو سے بھی یاں یار عنقریب
महफ़िल से आख़िर उस की निकलवाए जाएँगे शेख़ी से जा तो बैठे थे इक बार अनक़रीब वहशत भरे हुए मिरे तेवर को देख कर आता नहीं है अब कोई ग़म-ख़्वार अनक़रीब वो दिन गए जुनूँ के मुदावा के वास्ते दो-चार रोज़ बैठे तो दो-चार अनक़रीब जिंस-ए-वफ़ा की क़द्र गर इज़हार कीजिए कहता है मुझ को याँ से है बाज़ार अनक़रीब ऐ बद-सलीक़ा ये भी क़रीना है बज़्म का उश्शाक़ दूर बैठें और अग़्यार अनक़रीब ले अपने आशियाँ की ख़बर जल्द जिब्रईल पहूँची हमारी आह-ए-शरर-बार अनक़रीब दूरी 'शहीदी' अपनी समझ का क़ुसूर था है शह-रग-ए-गुलू से भी याँ यार अनक़रीब
More by Karamat Ali Shaheedi
View all →"saamne mere na ghairon se milaataa aankhein kuchh bhi us shokh ke hoti jo hayaa aankhon mein khuun agar rouun kahun paa-e-nigaarin kis ke male aankhon se ki hai rang-e-hinaa aankhon mein ek shab dekh ke us rashk-e-pari ko raqqaas aaj tak phirti hai vo jumbish-e-paa aankhon mein rashk-e-gulnaar miri aankhon ko rakhtaa hai mudaam bas-ki ik shaahid-e-gul-rang-qabaa aankhon mein aaina dekh ke mashshaata se kahtaa hai vo shokh chashm-e-bad-dur ghazab surma ghulaa aankhon mein kyaa malaahat rukh-e-jaanaan mein hai allaah allaah aa gayaa jis ke tasavvur se mazaa aankhon mein ham ne dekhi hai tiri aankhon ke Doron ki bahaar kyaa rag-e-gul ko hai yaan nashv-o-numaa aankhon mein mardum-e-dida ko hai khilat-e-zar ki khvaahish jalva-farmaa ho tu ai mehr-laqaa aankhon mein saat parde mein agar rahne se hai shauq tujhe ye bhi ik manzar-e-paakiza hai aa aankhon mein dil-e-khun-kushta miraa mujh ko nihaayat hai aziiz siina jab chaak huaa hai isi jaa aankhon mein haq ne is vaaste aankhon mein banaae parde josh-e-girya mein tu le ashk chhupaa aankhon mein ek ishva mein kiyaa us ne 'shahidi' ko shahid khanjar-o-tegh hi bhar rakkhe the kyaa aankhon mein"
"mohabbat qata ki tum ne vo koson uD gayaa tum se dil apnaa rishta-e-ulfat kaa thaa ai gul-rukhaan baandhaa abhi jauhar karungaa apnaa varna sach bataa mujh ko tiri tegh-e-nigah ne mashvara kyaa meri jaan baandhaa ghariq-e-bahr-e-hushyaari ko har-dam fikr-e-saamaan ho kabhi yaan kashti-e-mai par na ham ne baadbaan baandhaa adaavat nim-jaan majnun se kyaa hai tujh ko ai zaalim mughilaan mein jo kHaali naaqa laa kar saariyaan baandhaa kiyaa hijraan ki shab mein koh-e-gham ne mujh ko chuur aisaa ki jarraahon ne subh aa kar miraa har ustukhvaan baandhaa banaa thaa panja-e-jarraah rashk-e-panja-e-marjaan tire zakhmi kaa jis dam us ne zakhm-e-khun-chakaan baandhaa miraa har misra-e-divaann hai ik shaakh-e-shakar goyaa lab-e-shirin kaa mazmun main ne ai shirin-zabaan baandhaa zamaan-e-nazaa dekhaa ik nazar hur-e-bahishti ko ye bohtaan apne aashiq par abas ai bad-gumaan baandhaa koi ai haamilaan-e-arsh tum se daad letaa huun sutun ik ab mire naalon ne su-e-laa-makaan baandhaa shahid is qadrdaani kaa huun TukDe kar ke aashiq ko lahad par nakhl-e-maatam yaar ne bahr-e-nishaan baandhaa mujhe ik umr se thaa motiyon ke sehre kaa armaan shab-e-furqat mein tu ne dida-e-gauhar-fishaan baandhaa rasaai ek tere baam tak us ko nahin zaalim kamand-e-aah mein sau baar main ne aasmaan baandhaa vo ganj-e-zaat kyaa kuchh hogaa yaarab main to hairaan huun hifaazat ke liye jis par tilism-e-do-jahaan baandhaa 'shahidi' kasrat-e-isyaan se mujh ko khauf aataa hai safar hai duur kaa aur dosh par baar-e-garaan baandhaa"
"ishq mein kamtar hanse aur beshtar royaa kiye ek shab kaa lutf barson yaad kar royaa kiye taar rone kaa na TuuTaa apne maatam-khaana mein mar gae jab ham hamaare nauhagar royaa kiye rone vaalon par thaa vaajib aashiq-e-giryaan kaa urs har baras abr aa ke meri khaak par royaa kiye zauq hai rone se yaan tak vasl ki shab mein bhi ham yaar ke paanv pe rakh kar apnaa sar royaa kiye taur ye bigDaa hai us ki bazm kaa ik dam ko ham vaan gae the aa ke pahron apne ghar royaa kiye khalq ko parda-nashin ke ishq kaa shubha huaa aankh par aksar jo ham rumaal dhar royaa kiye apne rone par jo rahm aaya use ham aur bhi us ke dikhlaane ko mal-mal chashm-e-tar royaa kiye ishq mein taasir gar rakhtaa hai kuchh abr-e-safed ham abas khun-e-dil-o-lakht-e-jigar royaa kiye un ke divaanon ko bhi kyaa zabt hai auqaat kaa do pahar hanste rahe gar do pahar royaa kiye rone mein kal raat ghaflat is qadar taari hui yaar aa kar phir gayaa ham be-khabar royaa kiye kuchh hamin giryaan nahin hain duri-e-ahbaab se hashr tak is gham mein sab jinn-o-bashar royaa kiye dil ke jaane kaa 'shahidi' haadisa aisaa nahin kuchh na roe aah agar ham umr-bhar royaa kiye"
"kyaa vaqt-e-sahar hausla baaqi ho duaa kaa jab kar ke duaa dekhte hon ru-e-sahar ham tu chaand se behtar hai ki raunaq tire munh par paate hain fuzun shaam se bhi vaqt-e-sahar ham ban-Than ke ho vo rashk-e-pari saamne jis dam kyon ghash hamein aa jaae na aakhir hain bashar ham darbaanon ki shafqat se rihaai nahin hoti barson mein kisi din use paate hain agar ham har vaza ke insaan se mulaaqaat hai un ko sab khalq mudaaraat ke qaabil hai magar ham jaate kidhar aatish-kada-e-ishq se uD kar maanind samundar ke agar rakhte bhi par ham ab chain se sonaa tah-e-aflaak hamesha ai ahl-e-zamin muzhda ho tum ko gae mar ham dekhe hain magar bikhre hue baal kisi ke kuchh aaj 'shahidi' kaa ajab haal hai darham"
"umr-bhar ishq ke aazaar ne sone na diyaa haae haae dil-e-bimaar ne sone na diyaa khvaab mein shakl dikhaataa vo muqarrar mujh ko shauq ke taala-e-bedaar ne sone na diyaa aish ki shab bhi mire bakht ko aa jaati niind us ki paazeb ki jhankaar ne sone na diyaa mere marqad pe kahaa kis ne qayaamat hai qarib yaad aa kar tiri raftaar ne sone na diyaa rat-jage hote rahe hain ki baDhe gham ki umr ek shab dard-e-dil-e-zaar ne sone na diyaa main ne sone na diyaa shaam se us ko shab-e-vasl subh tak zid se mujhe yaar ne sone na diyaa nish-e-gham ne rag-e-mizhgaan se nikaalaa ye lahu mujh ko raaton mire gham-khvaar ne sone na diyaa mai-kasho surkh hain aankhein jo tumhaari shaayad shab tumhein saaqi-e-sarshaar ne sone na diyaa khauf thaa us ko 'shahidi' tiri bad-masti kaa shab jo ham-bazmon ko ayyaar ne sone na diyaa"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"