"ru-e-gul chehra-e-mahtaab nahin dekhte hain ham tiri tarah koi khvaab nahin dekhte hain sina-e-mauj pe kashti ko ravaan rakhte hain gird apne koi gardaab nahin dekhte hain tishnagi mein bhi vo paaband-e-qanaaat hain ki ham bhuul kar bhi taraf-e-aab nahin dekhte hain sar bhi maujud hain shamshir-e-sitam bhi maujud shahr mein khuun kaa sailaab nahin dekhte hain aa gae hain ye mire shahr mein kis shahr ke log guftugu mein adab-aadaab nahin dekhte hain aanaa jaanaa unhin galiyon mein abhi tak hai magar ab vahaan majma-e-ahbaab nahin dekhte hain kis chaman mein hain ki mausam to gulon kaa hai magar ek bhi shaakh ko shaadaab nahin dekhte hain is pe hairaan hain kharidaar ki qimat hai bahut mere gauhar ki tab-o-taab nahin dekhte hain ho gae saare balaa-khez samundar paayaab ab safina koi gharqaab nahin dekhte hain"
main khud ko ik nai duniyaa dikhaane vaalaa huun — Anees Ashfaq
"main khud ko ik nai duniyaa dikhaane vaalaa huun su-e-sitaara-o-mahtaab jaane vaalaa huun koi farishta mire ghar mein aane vaalaa hai main farsh-e-raah pe aankhein bichhaane vaalaa huun khaDaa huun dar pe tire daulat-e-ziyaan le kar nikal ke dekh khazaane luTaane vaalaa huun tiri bhi aankh mein dekhungaa ju-e-ashk-e-ravaan tujhe bhi shahr kaa nauha sunaane vaalaa huun agar tu Taalne vaalaa hai apne vaa'de ko to vaa'da kar ke bhalaa main kab aane vaalaa huun lahu mein Dubne vaale hain baam-o-dar mere main tegh-o-sar ki rivaayat bachaane vaalaa huun karungaa khushk zamin ko shagufta-o-shaadaab qarib-e-khema-e-gul nahr laane vaalaa huun"
میں خود کو اک نئی دنیا دکھانے والا ہوں سوئے ستارہ و مہتاب جانے والا ہوں کوئی فرشتہ مرے گھر میں آنے والا ہے میں فرش راہ پہ آنکھیں بچھانے والا ہوں کھڑا ہوں در پہ ترے دولت زیاں لے کر نکل کے دیکھ خزانے لٹانے والا ہوں تری بھی آنکھ میں دیکھوں گا جوئے اشک رواں تجھے بھی شہر کا نوحہ سنانے والا ہوں اگر تو ٹالنے والا ہے اپنے وعدے کو تو وعدہ کر کے بھلا میں کب آنے والا ہوں لہو میں ڈوبنے والے ہیں بام و در میرے میں تیغ و سر کی روایت بچانے والا ہوں کروں گا خشک زمیں کو شگفتہ و شاداب قریب خیمۂ گل نہر لانے والا ہوں
मैं ख़ुद को इक नई दुनिया दिखाने वाला हूँ सू-ए-सितारा-ओ-महताब जाने वाला हूँ कोई फ़रिश्ता मिरे घर में आने वाला है मैं फ़र्श-ए-राह पे आँखें बिछाने वाला हूँ खड़ा हूँ दर पे तिरे दौलत-ए-ज़ियाँ ले कर निकल के देख ख़ज़ाने लुटाने वाला हूँ तिरी भी आँख में देखूँगा जू-ए-अश्क-ए-रवाँ तुझे भी शहर का नौहा सुनाने वाला हूँ अगर तू टालने वाला है अपने वा'दे को तो वा'दा कर के भला मैं कब आने वाला हूँ लहू में डूबने वाले हैं बाम-ओ-दर मेरे मैं तेग़-ओ-सर की रिवायत बचाने वाला हूँ करूँगा ख़ुश्क ज़मीं को शगुफ़्ता-ओ-शादाब क़रीब-ए-ख़ेमा-ए-गुल नहर लाने वाला हूँ

More by Anees Ashfaq
View all →"puchh mat meraa lahu sarf-e-sinaan kitnaa huaa dekh ye aa kar ki zaalim kaa ziyaan kitnaa huaa khauf-e-jaan thi us ki tegh-e-chashm ki tezi magar khaa liyaa jab zakhm to aaraam-e-jaan kitnaa huaa ho rahi hain aasmaan mein in ki parvaazein bahut in parindon se magar tai aasmaan kitnaa huaa har taraf gahri siyaahi hai muhit-e-'ishq mein ek sham'-e-dil ke bujhne se dhuaan kitnaa huaa vo jo majlis thi alam-paaron ke paDhne ki vahaan kuchh bataa mujh ko miraa qissa bayaan kitnaa huaa kar diyaa mere liye farsh-e-badan aaraasta raat hote hi vo mujh par mehrbaan kitnaa huaa main ne to us ke liye aankhein bichaai thiin magar pur-tapaaki se vo meri bad-gumaan kitnaa huaa yaad karne ki hamein mohlat mile to ham bataaein zulm teri mamlikat mein kab kahaan kitnaa huaa"
"aage ye garebaan na kabhi chaak karungaa vahshat se tire dasht ko ab paak karungaa jis din bhi huaa tez miraa sho'la-e-zulmat us din varaq-e-mahr tujhe khaak karungaa shab us ke liye masnad-e-mahtaab bichhaa kar taaron kaa tamaashaa tah-e-aflaak karungaa us ko bhi banaaungaa khush-aamoz talaatum aur khud ko bhi khaar o khas-o-khaashaak karungaa dekhungaa abhi aur bhi khanjar ki ravaani qaatil ko abhi aur bhi saffaak karungaa bal khaate hue jism pe ik zakhm lagaa kar is naar-e-mohabbat ko ghazabnaak karungaa dauD aayegaa vo aahu-e-chaalaak kahaan tak ik din to use basta-e-fitraak karungaa pahle to karungaa main tiri aatish-e-khun tez phir farsh-e-badan par tujhe bebaak karungaa"
"rukh kisi aur ki jaanib hai ishaare kuchh aur shahr mein chaahne vaale hain tumhaare kuchh aur itni jaldi nahin is raat mein aataa hai qaraar dil se kah do ki shab-e-hijr ko vaare kuchh aur saath rahtaa hai bahut roz koi 'ishq mein kab hain jo kuchh aur tumhaare to hamaare kuchh aur ho gaiin yaad tiri aayatein kuchh aur hamein paDh liye ham ne tire 'ishq ke paare kuchh aur main to samjhaa thaa ki ab raat hai jaane vaali aakhir-e-shab nikal aae hain sitaare kuchh aur ek aavaaz pe divaane kahaan lauTe hain mere aahu se kaho mujh ko pukaare kuchh aur khatm hotaa hi nahin silsila-e-tishna-labi log maujud hain dariyaa ke kinaare kuchh aur aaj ki raat vo baiThaa hai mire pahlu mein aaj ki raat falak chaand utaare kuchh aur itnaa aasaan nahin zanjir banaanaa is kaa pech vo aur de gesu ko sanvaare kuchh aur phir tiraa mulk rahegaa na tiraa taaj na takht baDh gae shahr mein gar zulm ke maare kuchh aur de mire haath mein ab apni mohabbat kaa 'asaa 'umr kaa tai ho safar is ke sahaare kuchh aur shahr mein khush-tanon khush-pairahanon ki khaatir 'ishq mein phir se uThaa lungaa khasaare kuchh aur"
"aisaa bhi tez nashtar-e-naa-mehrbaan na thaa yuun zakhm-zakhm chehra-e-uftaad-gaan na thaa vo pyaas thi ki halq se baahar thi har zabaan aur duur tak kahin koi dariyaa ravaan na thaa dastak pe ab gharon se koi boltaa nahin pahle ye shahr shahr-e-'adam-raftagaan na thaa ab ke the kaar-zaar mein sab aashnaa harif lekin vo khush-qatil ki shikva-kunaan na thaa khaamosh saa'aton mein thi raushan tiri sadaa Thahraa huaa thaa vaqt magar raaegaan na thaa baaraan-e-tez mein bhi rahe aashiyaana-soz sahn-e-chaman mein ham saa koi tafta-jaan na thaa"
"jald is shahr mein hai vaqt vo aane vaalaa ham se Dar jaaegaa khud ham ko Daraane vaalaa kal vahi shahr mein sho'lon ko havaa detaa thaa ham samajhte the jise aag bujhaane vaalaa vaqt har daur mein taarikh nai likhtaa hai miT na jaae kahin khud ham ko miTaane vaalaa uTh khaDe honge agar zulm ke maare hue log phir na aaegaa koi tujh ko bachaane vaalaa tu kisi aur taraf kuuch ki tayyaari kar hai koi aur tire takht par aane vaalaa koi hotaa nahin zanjir-e-sitam se aazaad vo sataayaa huaa ho yaa ho sataane vaalaa bhuul jaataa hai ki haath us ke bhi jal jaaeinge vo jo hai zulm ke sho'lon ko baDhaane vaalaa us se har khuun ke qatre kaa khudaa legaa hisaab hashr mein jaaegaa jab hashr uThaane vaalaa chup ye haq vaale na baiThe hain na baiTheinge kabhi sun le honTon pe mire muhr lagaane vaalaa ai parindo tumhein hushiyaar kiye dete hain phir nayaa jaal hai sayyaad bichhaane vaalaa piT chuke sab tire mohre ab uThaa apni bisaat khel hai khatm tiraa maat hai khaane vaalaa ham pe jo zakhm lage hain so lage hain lekin ek din khuun mein tu bhi hai nahaane vaalaa main karun tere liye jam' zar-o-laa’l-o-guhar aur tu mere khazaanon ko luTaane vaalaa yuun tire shahr mein fariyaad suni jaati hai paa-ba-zanjir hai zanjir hilaane vaalaa kyaa 'ajab ret ki divaar saa khud bhi gir jaae mere ghar ke dar-o-divaar giraane vaalaa"
More on Gul
View all →"vo dost thaa to usi ko adu bhi honaa thaa lahu pahan ke mujhe surkh-ru bhi honaa thaa sunahri haath mein taaza lahu ki fasl na di ki apne haq ke liye jang-ju bhi honaa thaa bagula ban ke samundar mein khaak uDaanaa thi ki lahar lahar mujhe tund-khu bhi honaa thaa mire hi harf dikhaate the meri shakl mujhe ye ishtihaar mire ru-ba-ru bhi honaa thaa kashish thi phuul si is mein to laa-muhaala mujhe asir-e-rang giraftaar-e-bu bhi honaa thaa sazaa to milnaa thi mujh ko barahna lafzon ki zabaan ke saath labon ko rafu bhi honaa thaa safar kaa bojh uThaane se peshtar 'saajid' mizaaj-daan-e-rah-e-justuju bhi honaa thaa"
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
"saanvli dhuup surmai mausam phir vahi ham hain phir vahi mausam khair ho saaebaan-e-gum-gashta jhelne paD gae kai mausam daastaan-e-tazaad hai goyaa shahr-e-khubaan samundari mausam ham ne apni bayaaz mein likkhe dil pe biite hue sabhi mausam ik ta'alluq hai 'aarzi yaa'ni mausam-e-gul hai 'aarzi mausam dil-figaaron ko kaun samjhaae lauTte kab hain makhmali mausam"
"ba-zom-e-aql ye kaisaa gunaah main ne kiyaa ik aainaa thaa usi ko siyaah main ne kiyaa ye shahr-e-kam-nazaraan ye dayaar-e-be-hunaraan kise ye apne hunar kaa gavaah main ne kiyaa harim-e-dil ko jalaane lagaa thaa ek khayaal so gul use bhi ba-yak sard aah main ne kiyaa vahi yaqin rahaa hai javaaz-e-ham-safari jo gaah us ne kiyaa aur gaah main ne kiyaa bas ek dil hi to hai vaaqif-e-rumuz-e-hayaat so shahr-e-jaan kaa use sarbaraah main ne kiyaa har ek ranj usi baab mein kiyaa hai raqam zaraa saa gham thaa jise be-panaah main ne kiyaa ye raah-e-ishq bahut sahl ho gai jab se hisaar-e-zaat ko paivand-e-raah main ne kiyaa ye umr ki hai basar kuchh ajab tavaazun se tiraa huaa na hi khud se nibaah main ne kiyaa khirad ne dil se kahaa tu junun-sifat hi sahi na puchh us ki ki jis ko tabaah main ne kiyaa"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"