SHAWORDS

main ne jis ko bhulaayaa huaa hai — Abdurrahman Momin

"main ne jis ko bhulaayaa huaa hai vo mujhe yaad aayaa huaa hai ye sitaare kahaan jaa rahe hain aasmaan saTpaTaayaa huaa hai aise hairat se mat dekh dil ko dil ne ye gham bhi khaayaa huaa hai mujh se puchho vo kyon muztarib hai us ne mujh ko bataayaa huaa hai jo ye kahtaa hai sab ban gayaa khud us ne khud ko banaayaa huaa hai tu mujhe DhunDtaa hi rahegaa tu ne khud ko chhupaayaa huaa hai bik gai hai vo tasvir 'momin' jis mein tu muskuraayaa huaa hai"
Urdu

میں نے جس کو بھلایا ہوا ہے وہ مجھے یاد آیا ہوا ہے یہ ستارے کہاں جا رہے ہیں آسماں سٹپٹایا ہوا ہے ایسے حیرت سے مت دیکھ دل کو دل نے یہ غم بھی کھایا ہوا ہے مجھ سے پوچھو وہ کیوں مضطرب ہے اس نے مجھ کو بتایا ہوا ہے جو یہ کہتا ہے سب بن گیا خود اس نے خود کو بنایا ہوا ہے تو مجھے ڈھونڈتا ہی رہے گا تو نے خود کو چھپایا ہوا ہے بک گئی ہے وہ تصویر مومنؔ جس میں تو مسکرایا ہوا ہے

Hindi

मैं ने जिस को भुलाया हुआ है वो मुझे याद आया हुआ है ये सितारे कहाँ जा रहे हैं आसमाँ सटपटाया हुआ है ऐसे हैरत से मत देख दिल को दिल ने ये ग़म भी खाया हुआ है मुझ से पूछो वो क्यों मुज़्तरिब है उस ने मुझ को बताया हुआ है जो ये कहता है सब बन गया ख़ुद उस ने ख़ुद को बनाया हुआ है तू मुझे ढूँडता ही रहेगा तू ने ख़ुद को छुपाया हुआ है बिक गई है वो तस्वीर 'मोमिन' जिस में तू मुस्कुराया हुआ है

maiñ ne jis ko bhulāyā huā hai
Abdurrahman Momin
Abdurrahman Momin
Abdurrahman Momin
poet50 quotes

More by Abdurrahman Momin

View all →
Quote
"yaqin kaun karegaa gumaan pe aayaa huun main apne aap se chhup kar yahaan pe aayaa huun mujhe bhi aql pareshaan karti rahti hai nahin nahin se guzar kar main haan pe aayaa huun mujhe vo dekh ke hairaan kyuun nahin hogaa zamin oDh ke main aasmaan pe aayaa huun ye baat tu hi bataa kis tarah bataaun tujhe main dil ke raaste teri zabaan pe aayaa huun na jaane kab se nahin mil sakaa huun main khud se main khud se milne tire aastaan pe aayaa huun ye iztiraab haqiqat mein iztiraab nahin khushi khushi main is aah-o-fughaan pe aayaa huun mujhe talaash na kar tu yahaan vahaan 'momin' nazar uThaa ki tire khvaab-daan pe aayaa huun"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"mujhe kisi ne bataayaa khudaa hai mere saath main kyaa bataaun use aur kyaa hai mere saath tujhe yaqin nahin aaegaa par haqiqat hai ye tu nahin hai koi dusraa hai mere saath ye mushkilaat bhi ab mere saath rahti hain ye jaanti hain ki mushkil-kushaa hai mere saath main kyaa bataaun tujhe yaad kyaa dilaaun tujhe tu jaantaa hai jo tu ne kiyaa hai mere saath agar vafaa ko bataaun vafaa bhi chikh paDe vafaa ke naam pe jo kuchh huaa hai mere saath sitam to ye hai ki main ne use bhi chhoD diyaa jo sab ko chhoD ke tanhaa khaDaa hai mere saath kisi se koi shikaayat nahin mujhe 'momin' jo honaa chaahiye vo ho rahaa hai mere saath"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin
Quote
"zamaane ko zamaane ki paDi hai hamein vaada nibhaane ki paDi hai ye duniyaa chaand par pahunchi hui hai tujhe lahore jaane ki paDi hai zaraa dekho idhar main jal rahaa huun tumhein aansu chhupaane ki paDi hai fasaana hi haqiqat ban gayaa hai haqiqat ko fasaane ki paDi hai abhi jo sher likkhaa bhi nahin hai abhi se vo sunaane ki paDi hai tire mehmaan vaapas jaa rahe hain tujhe mehmaan-khaane ki paDi hai vo tere dil mein aa baiThaa hai 'momin' tujhe divaar Dhaane ki paDi hai"
Abdurrahman MominAbdurrahman Momin

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer