SHAWORDS

main ne kal khvaab mein aainda ko chalte dekhaa — Azm Bahzad

HomeAzm BahzadGhazal
"main ne kal khvaab mein aainda ko chalte dekhaa rizq aur ishq ko ik ghar se nikalte dekhaa raushni DhunD ke laanaa koi mushkil to na thaa lekin is dauD mein har shakhs ko jalte dekhaa ek khush-fahm ko rote hue dekhaa main ne ek be-rahm ko andar se pighalte dekhaa roz palkon pe gai raat ko raushan rakkhaa roz aankhon mein gae din ko machalte dekhaa subh ko tang kiyaa khud pe zarurat kaa hisaar shaam ko phir isi mushkil se nikalte dekhaa ek hi samt mein kab tak koi chal saktaa hai haan kisi ne mujhe rasta na badalte dekhaa 'azm' is shahr mein ab aisi koi aankh nahin girne vaale ko yahaan jis ne sambhalte dekhaa"
Urdu

میں نے کل خواب میں آئندہ کو چلتے دیکھا رزق اور عشق کو اک گھر سے نکلتے دیکھا روشنی ڈھونڈ کے لانا کوئی مشکل تو نہ تھا لیکن اس دوڑ میں ہر شخص کو جلتے دیکھا ایک خوش فہم کو روتے ہوئے دیکھا میں نے ایک بے رحم کو اندر سے پگھلتے دیکھا روز پلکوں پہ گئی رات کو روشن رکھا روز آنکھوں میں گئے دن کو مچلتے دیکھا صبح کو تنگ کیا خود پہ ضرورت کا حصار شام کو پھر اسی مشکل سے نکلتے دیکھا ایک ہی سمت میں کب تک کوئی چل سکتا ہے ہاں کسی نے مجھے رستہ نہ بدلتے دیکھا عزمؔ اس شہر میں اب ایسی کوئی آنکھ نہیں گرنے والے کو یہاں جس نے سنبھلتے دیکھا

Hindi

मैं ने कल ख़्वाब में आइंदा को चलते देखा रिज़्क़ और इश्क़ को इक घर से निकलते देखा रौशनी ढूँड के लाना कोई मुश्किल तो न था लेकिन इस दौड़ में हर शख़्स को जलते देखा एक ख़ुश-फ़हम को रोते हुए देखा मैं ने एक बे-रहम को अंदर से पिघलते देखा रोज़ पलकों पे गई रात को रौशन रक्खा रोज़ आँखों में गए दिन को मचलते देखा सुब्ह को तंग किया ख़ुद पे ज़रूरत का हिसार शाम को फिर इसी मुश्किल से निकलते देखा एक ही सम्त में कब तक कोई चल सकता है हाँ किसी ने मुझे रस्ता न बदलते देखा 'अज़्म' इस शहर में अब ऐसी कोई आँख नहीं गिरने वाले को यहाँ जिस ने सँभलते देखा

maiñ ne kal ḳhvāb meñ ā.inda ko chalte dekhā
Azm Bahzad
Azm Bahzad
Azm Bahzad
poet34 quotes

More by Azm Bahzad

View all →
Quote
"khultaa nahin ki ham mein khizaan-dida kaun hai aasudgi ke baab mein ranjida kaun hai aamaadgi ko vasl se mashrut mat samajh ye dekh is savaal pe sanjida kaun hai dekhun jo aaina to ghunuda dikhaai duun main khvaab mein nahin to ye khvaabida kaun hai amboh-e-ahl-e-zakhm to kab kaa guzar chukaa ab rahguzar pe khaak mein ghaltida kaun hai ai karb-naa-rasaai kabhi ye to ghaur kar mere sivaa yahaan tiraa girvida kaun hai har shakhs dusre ki malaamat kaa hai shikaar aakhir yahaan kisi kaa pasandida kaun hai to azm-e-tark-e-ishq pe qaaem to hai magar tujh mein ye chand roz se larzida kaun hai"
Azm BahzadAzm Bahzad
Quote
"vusat-e-chashm ko andoh-e-basaarat likhkhaa main ne ik vasl ko ik hijr ki haalat likhkhaa main ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage aur be-baal-o-pari ko bhi nihaayat likhkhaa main ne khushbu ko likhaa dastaras-e-gum-shudagi rang ko faasla rakhne ki riaayat likkhaa husn-e-goyaai ko likhnaa thaa likhi sargoshi shor likhnaa thaa so aazaar-e-samaaat likhkhaa main ne taabir ko tahrir mein aane na diyaa khvaab likhte hue mohtaaj-e-bashaarat likhkhaa koi aasaan rifaaqat nahin likkhi main ne qurb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa itne daaon se guzar kar ye khayaal aataa hai 'azm' kyaa tum ne kabhi harf-e-nadaamat likhkhaa"
Azm BahzadAzm Bahzad
Quote
"shaam aai to koi khush-badani yaad aai mujhe ik shakhs ki vaada-shikni yaad aai mujhe yaad aayaa ki ik daur thaa sargoshi kaa aaj usi daur ki ik kam-sukhani yaad aai masnad-e-naghma se ik rang-e-tabassum ubhraa khilkhilaati hui ghuncha-dahni yaad aai lab jo yaad aae to boson ki khalish jaag uThi phuul mahke to mujhe be-chamani yaad aai phir tasavvur mein chali aai mahakti hui shab aur simTi hui be pairahani yaad aai haan kabhi dil se guzartaa thaa julus-e-khvaahish aaj usi tarah ki ik naara-zani yaad aai qisa-e-rafta ko dohraa to liyaa 'azm' magar kis masaafat pe tumhein be-vatani yaad aai"
Azm BahzadAzm Bahzad
Quote
"vusat-e-chashm ko andoh-e-basaarat likkhaa main ne ik vasl ko ik hijr ki haalat likkhaa main ne likkhaa ki saf-e-dil kabhi khaali na hui aur khaali jo hui bhi to malaamat likkhaa ye safar paanv hilaane kaa nahin aankh kaa hai main ne is baab mein rukne ko masaafat likkhaa likhne vaalon ne to hone kaa sabab likkhaa hai main ne hone ko na hone ki vazaahat likkhaa ashk agar sab ne likhe main ne sitaare likkhe aajizi sab ne likhi main ne ibaadat likkhaa main ne khushbu ko likhaa dastaras-e-gumshudagi rang ko faasla rakhne ki riaayat likkhaa zakhm likhne ke liye main ne likhi hai ghaflat khuun likhnaa thaa magar main ne haraarat likkhaa main ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage aur hai baal-o-pari ko bhi nihaayat likkhaa husn-e-goyaai ko likhnaa thaa likhi sargoshi shor likhnaa thaa sau aazaar-e-samaaat likkhaa itne daavon se guzar kar ye khayaal aataa hai 'azm' kyaa tum ne kabhi harf-e-nadaamat likkhaa"
Azm BahzadAzm Bahzad
Quote
"mujhe kal achaanak khayaal aa gayaa aasmaan kho na jaae samundar ko sar karte karte kahin baadbaan kho na jaae koi naa-muraadi ki yalghaar siine ko chhalni na kar de kahin dasht-e-anfaas mein sabr kaa kaarvaan kho na jaae ye hanstaa huaa shor sanjidgi ke liye imtihaan hai so mohtaat rahnaa ki tahzib-e-aah-o-fughaan kho na jaae ise vaqt kaa jabr kahiye ki bechaargi jism o jaan ki makaan khone vaalon ko Dar hai ki ab laa-makaan kho na jaae main apne iraadon ki gaThri uThaae kahin jaa na paayaa hamesha ye dhaDkaa rahaa mahfil-e-dostaan kho na jaae ye qisson ki rim-jhim mein bhigaa huaa halqa-e-guftugu hai yahaan chup hi rahnaa ki taasir-e-lafz-o-bayaan kho na jaae yahaan kis ko fursat ki aaghaaz o anjaam ko yaad rakkhe sabhi ko ye tashvish hai vaqt kaa darmiyaan kho na jaae ye baazaar-e-nafa-o-zarar hai yahaan be-tavaazun na honaa sameTo agar suud to dhyaan rakhnaa ziyaan kho na jaae uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko agar ruk na paae to koshish ye karnaa dhuaan kho na jaae"
Azm BahzadAzm Bahzad
Quote
"dil soyaa huaa thaa muddat se ye kaisi bashaarat jaagi hai is baar lahu mein khvaab nahin taabir ki lazzat jaati hai is baar nazar ke aangan mein jo phuul khilaa khush-rang lagaa is baar basaarat ke dil mein naadida basirat jaagi hai ik baam-e-sukhan par ham ne bhi kuchh kahne ki khvaahish ki thi ik umr ke baad hamaare liye ab jaa ke samaaat jaagi hai ik dast-e-duaa ki narmi se ik chashm-e-talab ki surkhi tak ahvaal baraabar hone mein ik nasl ki vahshat jaagi hai ai taana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jaao shamshir-e-sukhan kis haath mein hai kis khuun mein hiddat jaagi hai"
Azm BahzadAzm Bahzad

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud