SHAWORDS

main to khudaa-parast thaa aisaa na ho sakaa — Ali Asar Bandvi

"main to khudaa-parast thaa aisaa na ho sakaa mujh se amir-e-shahr kaa sajda na ho sakaa us ne bhi mujh ko Tuut ke chaahaa nahin kabhi mujh se bhi 'ishq had se ziyaada na ho sakaa main ne tire firaaq mein likkhe the jo khutut un mein se ek khat kaa bhi ijraa na ho sakaa ab to yaqin ho gayaa jaaegaa qabr tak is dard-e-dil kaa koi mudaavaa na ho sakaa nas kaaTnaa ki phaansi ke phande pe jhulnaa ham se to hijr mein ye tamaasha na ho sakaa ham ne ghazal kahi hai 'asar' jis ke vaaste us kaa ghazal mein koi bhi charchaa na ho sakaa"
Urdu

میں تو خدا پرست تھا ایسا نہ ہو سکا مجھ سے امیر شہر کا سجدہ نہ ہو سکا اس نے بھی مجھ کو ٹوٹ کے چاہا نہیں کبھی مجھ سے بھی عشق حد سے زیادہ نہ ہو سکا میں نے ترے فراق میں لکھے تھے جو خطوط ان میں سے ایک خط کا بھی اجرا نہ ہو سکا اب تو یقین ہو گیا جائے گا قبر تک اس درد دل کا کوئی مداوا نہ ہو سکا نس کاٹنا کہ پھانسی کے پھندے پہ جھولنا ہم سے تو ہجر میں یہ تماشہ نہ ہو سکا ہم نے غزل کہی ہے اثرؔ جس کے واسطے اس کا غزل میں کوئی بھی چرچا نہ ہو سکا

Hindi

मैं तो ख़ुदा-परस्त था ऐसा न हो सका मुझ से अमीर-ए-शहर का सज्दा न हो सका उस ने भी मुझ को टूट के चाहा नहीं कभी मुझ से भी 'इश्क़ हद से ज़ियादा न हो सका मैं ने तिरे फ़िराक़ में लिक्खे थे जो ख़ुतूत उन में से एक ख़त का भी इजरा न हो सका अब तो यक़ीन हो गया जाएगा क़ब्र तक इस दर्द-ए-दिल का कोई मुदावा न हो सका नस काटना कि फाँसी के फंदे पे झूलना हम से तो हिज्र में ये तमाशा न हो सका हम ने ग़ज़ल कही है 'असर' जिस के वास्ते उस का ग़ज़ल में कोई भी चर्चा न हो सका

maiñ to ḳhudā-parast thā aisā na ho sakā
Ali Asar Bandvi
Ali Asar Bandvi
Ali Asar Bandvi
poet19 quotes

More by Ali Asar Bandvi

View all →
Quote
"shaayad ho use dard kaa ehsaas ilaahi kuchh der jo baiThe vo mire paas ilaahi ab un se bhalaa kaisi koi aas ilaahi jin ko na vafaa kaa ho koi paas ilaahi mujh ko mire mahbub kaa didaar karaa de ab toD de nazron kaa ye upvaas ilaahi ham ne hi nibhaayaa hai yahaan 'ahd-e-vafaa bhi ham ko hi mili dard ki miraas ilaahi honTon se lagaayaa hai mire yaar ne shaayad khushbu se mo'attar hai ye qirtaas ilaahi jab zaaviya nazron kaa badal kar use dekhaa patthar se vo lagne lagaa almaas ilaahi ab bughz hai nafrat hai 'adaavat hai dilon mein ab miltaa nahin logon mein ikhlaas ilaahi sahraa mein bhaTaktaa hai 'asar' qais ke maanind milti hi nahin yaar ki bu-baas ilaahi"
Ali Asar BandviAli Asar Bandvi
Quote
"kyaa zaruri hai ki phande pe hi laTkaa jaae ban ke faulaad chalo hijr ko kaaTaa jaae kaun hai kis ko bayaabaan mein pukaaraa jaae khud hi ab paanv ke kaanTon ko nikaalaa jaae itni jaldi na use dil mein basaayaa jaae aur kuchh roz nae shakhs ko parkhaa jaae 'ain mumkin hai palaT kar tumhein de dein na javaab ab nai nasl ke bachchon ko na Tokaa jaae ik daf'a Duub ke niklaa huun yahi kaafi hai kaun ab 'ishq ke dariyaa mein dubaara jaae main 'asar' 'ishq mein tanhaa to khataavaar nahin us ke sar bhi koi ilzaam lagaayaa jaae"
Ali Asar BandviAli Asar Bandvi
Quote
"tum ko ye lag rahaa thaa ki pichhaa kareinge ham yaa'ni ki 'ishq tum se dubaara kareinge ham vo baar-e-zist ho yaa judaai tiri sanam hargiz khudaa ke ghar mein na shikva kareinge ham bachchon ki fees maan ki davaaon kaa farz bhi itni si ik kamaai mein kyaa kyaa kareinge ham kyaa kyaa miri khataaein thiin kyon vo judaa huaa pahron yahi firaaq mein sochaa kareinge ham ye 'ishq dusraa hai so laazim hai ehtiyaat yaa'ni qadam sanbhaal ke rakkhaa kareinge ham anjaam jaante hain ki sahraa hai jab 'asar' kaar-e-jahaan mein vaqt na zaae' kareinge ham"
Ali Asar BandviAli Asar Bandvi

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari