"khultaa nahin ki ham mein khizaan-dida kaun hai aasudgi ke baab mein ranjida kaun hai aamaadgi ko vasl se mashrut mat samajh ye dekh is savaal pe sanjida kaun hai dekhun jo aaina to ghunuda dikhaai duun main khvaab mein nahin to ye khvaabida kaun hai amboh-e-ahl-e-zakhm to kab kaa guzar chukaa ab rahguzar pe khaak mein ghaltida kaun hai ai karb-naa-rasaai kabhi ye to ghaur kar mere sivaa yahaan tiraa girvida kaun hai har shakhs dusre ki malaamat kaa hai shikaar aakhir yahaan kisi kaa pasandida kaun hai to azm-e-tark-e-ishq pe qaaem to hai magar tujh mein ye chand roz se larzida kaun hai"
main umar ke raste mein chup-chaap bikhar jaataa — Azm Bahzad
"main umar ke raste mein chup-chaap bikhar jaataa ik din bhi agar apni tanhaai se Dar jaataa main tark-e-taalluq par zinda huun so mujrim huun kaash us ke liye jiitaa apne liye mar jaataa us raat koi khushbu qurbat mein nahin jaagi main varna sanvar jaataa aur vo bhi nikhar jaataa us jaan-e-takallum ko tum mujh se to milvaate taskhir na kar paataa hairaan to kar jaataa kal saamne manzil thi pichhe miri aavaazein chaltaa to bichhaD jaataa ruktaa to safar jaataa main shahr ki raunaq mein gum ho ke bahut khush thaa ik shaam bachaa letaa ik roz to ghar jaataa mahrum fazaaon mein maayus nazaaron mein tum 'azm' nahin Thahre main kaise Thahar jaataa"
میں عمر کے رستے میں چپ چاپ بکھر جاتا اک دن بھی اگر اپنی تنہائی سے ڈر جاتا میں ترک تعلق پر زندہ ہوں سو مجرم ہوں کاش اس کے لیے جیتا اپنے لیے مر جاتا اس رات کوئی خوشبو قربت میں نہیں جاگی میں ورنہ سنور جاتا اور وہ بھی نکھر جاتا اس جان تکلم کو تم مجھ سے تو ملواتے تسخیر نہ کر پاتا حیران تو کر جاتا کل سامنے منزل تھی پیچھے مری آوازیں چلتا تو بچھڑ جاتا رکتا تو سفر جاتا میں شہر کی رونق میں گم ہو کے بہت خوش تھا اک شام بچا لیتا اک روز تو گھر جاتا محروم فضاؤں میں مایوس نظاروں میں تم عزمؔ نہیں ٹھہرے میں کیسے ٹھہر جاتا
मैं उम्र के रस्ते में चुप-चाप बिखर जाता इक दिन भी अगर अपनी तन्हाई से डर जाता मैं तर्क-ए-तअल्लुक़ पर ज़िंदा हूँ सो मुजरिम हूँ काश उस के लिए जीता अपने लिए मर जाता उस रात कोई ख़ुश्बू क़ुर्बत में नहीं जागी मैं वर्ना सँवर जाता और वो भी निखर जाता उस जान-ए-तकल्लुम को तुम मुझ से तो मिलवाते तस्ख़ीर न कर पाता हैरान तो कर जाता कल सामने मंज़िल थी पीछे मिरी आवाज़ें चलता तो बिछड़ जाता रुकता तो सफ़र जाता मैं शहर की रौनक़ में गुम हो के बहुत ख़ुश था इक शाम बचा लेता इक रोज़ तो घर जाता महरूम फ़ज़ाओं में मायूस नज़ारों में तुम 'अज़्म' नहीं ठहरे मैं कैसे ठहर जाता

More by Azm Bahzad
View all →"vusat-e-chashm ko andoh-e-basaarat likhkhaa main ne ik vasl ko ik hijr ki haalat likhkhaa main ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage aur be-baal-o-pari ko bhi nihaayat likhkhaa main ne khushbu ko likhaa dastaras-e-gum-shudagi rang ko faasla rakhne ki riaayat likkhaa husn-e-goyaai ko likhnaa thaa likhi sargoshi shor likhnaa thaa so aazaar-e-samaaat likhkhaa main ne taabir ko tahrir mein aane na diyaa khvaab likhte hue mohtaaj-e-bashaarat likhkhaa koi aasaan rifaaqat nahin likkhi main ne qurb ko jab bhi likhaa jazb-e-raqaabat likhkhaa itne daaon se guzar kar ye khayaal aataa hai 'azm' kyaa tum ne kabhi harf-e-nadaamat likhkhaa"
"shaam aai to koi khush-badani yaad aai mujhe ik shakhs ki vaada-shikni yaad aai mujhe yaad aayaa ki ik daur thaa sargoshi kaa aaj usi daur ki ik kam-sukhani yaad aai masnad-e-naghma se ik rang-e-tabassum ubhraa khilkhilaati hui ghuncha-dahni yaad aai lab jo yaad aae to boson ki khalish jaag uThi phuul mahke to mujhe be-chamani yaad aai phir tasavvur mein chali aai mahakti hui shab aur simTi hui be pairahani yaad aai haan kabhi dil se guzartaa thaa julus-e-khvaahish aaj usi tarah ki ik naara-zani yaad aai qisa-e-rafta ko dohraa to liyaa 'azm' magar kis masaafat pe tumhein be-vatani yaad aai"
"vusat-e-chashm ko andoh-e-basaarat likkhaa main ne ik vasl ko ik hijr ki haalat likkhaa main ne likkhaa ki saf-e-dil kabhi khaali na hui aur khaali jo hui bhi to malaamat likkhaa ye safar paanv hilaane kaa nahin aankh kaa hai main ne is baab mein rukne ko masaafat likkhaa likhne vaalon ne to hone kaa sabab likkhaa hai main ne hone ko na hone ki vazaahat likkhaa ashk agar sab ne likhe main ne sitaare likkhe aajizi sab ne likhi main ne ibaadat likkhaa main ne khushbu ko likhaa dastaras-e-gumshudagi rang ko faasla rakhne ki riaayat likkhaa zakhm likhne ke liye main ne likhi hai ghaflat khuun likhnaa thaa magar main ne haraarat likkhaa main ne parvaaz likhi hadd-e-falak se aage aur hai baal-o-pari ko bhi nihaayat likkhaa husn-e-goyaai ko likhnaa thaa likhi sargoshi shor likhnaa thaa sau aazaar-e-samaaat likkhaa itne daavon se guzar kar ye khayaal aataa hai 'azm' kyaa tum ne kabhi harf-e-nadaamat likkhaa"
"mujhe kal achaanak khayaal aa gayaa aasmaan kho na jaae samundar ko sar karte karte kahin baadbaan kho na jaae koi naa-muraadi ki yalghaar siine ko chhalni na kar de kahin dasht-e-anfaas mein sabr kaa kaarvaan kho na jaae ye hanstaa huaa shor sanjidgi ke liye imtihaan hai so mohtaat rahnaa ki tahzib-e-aah-o-fughaan kho na jaae ise vaqt kaa jabr kahiye ki bechaargi jism o jaan ki makaan khone vaalon ko Dar hai ki ab laa-makaan kho na jaae main apne iraadon ki gaThri uThaae kahin jaa na paayaa hamesha ye dhaDkaa rahaa mahfil-e-dostaan kho na jaae ye qisson ki rim-jhim mein bhigaa huaa halqa-e-guftugu hai yahaan chup hi rahnaa ki taasir-e-lafz-o-bayaan kho na jaae yahaan kis ko fursat ki aaghaaz o anjaam ko yaad rakkhe sabhi ko ye tashvish hai vaqt kaa darmiyaan kho na jaae ye baazaar-e-nafa-o-zarar hai yahaan be-tavaazun na honaa sameTo agar suud to dhyaan rakhnaa ziyaan kho na jaae uTho 'azm' is aatish-e-shauq ko sard hone se roko agar ruk na paae to koshish ye karnaa dhuaan kho na jaae"
"dil soyaa huaa thaa muddat se ye kaisi bashaarat jaagi hai is baar lahu mein khvaab nahin taabir ki lazzat jaati hai is baar nazar ke aangan mein jo phuul khilaa khush-rang lagaa is baar basaarat ke dil mein naadida basirat jaagi hai ik baam-e-sukhan par ham ne bhi kuchh kahne ki khvaahish ki thi ik umr ke baad hamaare liye ab jaa ke samaaat jaagi hai ik dast-e-duaa ki narmi se ik chashm-e-talab ki surkhi tak ahvaal baraabar hone mein ik nasl ki vahshat jaagi hai ai taana-zanon do chaar baras tum bol liye ab dekhte jaao shamshir-e-sukhan kis haath mein hai kis khuun mein hiddat jaagi hai"
More on Raat
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"taavil-e-ahd-e-fan hi to vahshat kaa hal nahin pesh-e-nazar junun hai yaaro ghazal nahin ab is ke baad ahd ki taarik raat hai ye ikhtitaam-e-shaam hai subh-e-azal nahin ai dost ishq mansab-e-fahm-o-shuur hai ye irtiqaa hai zehn kaa koi khalal nahin ik umr ratjagon ki aziyyat mein kaaT di ab mere khvaab niind kaa radd-e-amal nahin kyaa kyaa ataa-e-neamat-e-rabb-e-karim hai lekin 'samir' dard kaa nemul-badal nahin"
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"