"sunte hi dil ho gayaa us yaar kaa asraar mast hoshiyaari kyaa kare jab dil ho sau sau baar mast shohra-e-aafaaq us mah se ye hai maston kaa haal pheinkte hain sar se apne khaak par dastaar mast sar-barahna be-sar-o-saamaan jo dil-afgaar hain bazm-e-mastaan mein vahi mashhur hain sardaar mast be-khudi divaangi mein is tarah sarshaar hain bhulte hain aap ko ho kaafir o din-daar mast kab unhein dair-o-haram yaad aae hai ai zaahido ku-e-jaanaan mein hazaaron ho gae hoshyaar mast kaifiyat donon jahaan ki hai vahaan haasil tamaam jab nazar aavein kisi jaa par kahin do-chaar mast haal aa jaae abhi sab saakinaan-e-charkh ko tu bhi ho jaave ai 'miskin' sun ke ye ashaar mast"
meraa shaahid vo hamein ayyaar aataa hai nazar — Miskeen Shah
"meraa shaahid vo hamein ayyaar aataa hai nazar ham ko ham paate nahin jab yaar aataa hai nazar kasrat-e-shauq-e-mohabbat mein mujhe har tarah se jis taraf dekhun rukh-e-dil-daar aataa hai nazar jaan kaa dhokaa hamein hotaa hai raah-e-ishq mein marg kaa har ek dam aasaar aataa hai nazar daagh-e-hijraan ke sivaa laayaa na ku-e-yaar se jo koi is raah kaa bimaar aataa hai nazar paa-barahna siina biryaan hai tan-e-uryaan vahi jo ki us kaa aashiq-e-sarshaar aataa hai nazar raah se dair-o-haram ki hai jo ku-e-yaar mein hai vahi din-daar gar kuffaar aataa hai nazar baad muddat gardish-e-tasbih se 'miskin' hamein daana-e-tasbih mein zunnaar aataa hai nazar"
میرا شاہد وہ ہمیں عیار آتا ہے نظر ہم کو ہم پاتے نہیں جب یار آتا ہے نظر کثرت شوق محبت میں مجھے ہر طرح سے جس طرف دیکھوں رخ دل دار آتا ہے نظر جان کا دھوکا ہمیں ہوتا ہے راہ عشق میں مرگ کا ہر ایک دم آثار آتا ہے نظر داغ ہجراں کے سوا لایا نہ کوئے یار سے جو کوئی اس راہ کا بیمار آتا ہے نظر پا برہنہ سینہ بریاں ہے تن عریاں وہی جو کہ اس کا عاشق سرشار آتا ہے نظر راہ سے دیر و حرم کی ہے جو کوئے یار میں ہے وہی دیں دار گر کفار آتا ہے نظر بعد مدت گردش تسبیح سے مسکیںؔ ہمیں دانۂ تسبیح میں زنار آتا ہے نظر
मेरा शाहिद वो हमें अय्यार आता है नज़र हम को हम पाते नहीं जब यार आता है नज़र कसरत-ए-शौक़-ए-मोहब्बत में मुझे हर तरह से जिस तरफ़ देखूँ रुख़-ए-दिलदार आता है नज़र जान का धोका हमें होता है राह-ए-इश्क़ में मर्ग का हर एक दम आसार आता है नज़र दाग़-ए-हिज्राँ के सिवा लाया न कू-ए-यार से जो कोई इस राह का बीमार आता है नज़र पा-बरहना सीना बिरयाँ है तन-ए-उर्यां वही जो कि उस का आशिक़-ए-सरशार आता है नज़र राह से दैर-ओ-हरम की है जो कू-ए-यार में है वही दीं-दार गर कुफ़्फ़ार आता है नज़र बअ'द मुद्दत गर्दिश-ए-तस्बीह से 'मिस्कीं' हमें दाना-ए-तस्बीह में ज़ुन्नार आता है नज़र
More by Miskeen Shah
View all →"kal ham se mulaaqaat mein vo yaar jo ki bahs main bhi vahin ik baat mein bezaar ho ki bahs laDte na kisi tarah se us se kabhi hargiz par kyaa karun us vaqt main laachaar ho ki bahs laayaa thaa mire dil ki giraftaari kaa saamaan is vaaste main us se ba-takraar ho ki bahs samjhaa ke lagaa kahne ki aa ham se tu mil jaa main tere liye bar-sar-e-baazaar ho ki bahs 'miskin' na jo tu ham se agar dil se milegaa kyuun tu ne miraa misl-e-kharidaar ho ki bahs"
"shama raushan jism-e-faanus-e-khayaali mein hai aaj ruuh juun misl-e-magas makDon ki jaali mein hai aaj ham nahin hargiz hubaab-e-bahar-e-imkaan dahr mein saane-e-kaunain shakl-e-be-misaali mein hai aaj kaaba-e-dil arsh hai har dam jahaan rahtaa huun main meri pahchaanat ye jism-e-laa-yazaali mein hai aaj naam sun kar jo koi aayaa hai vo paayaa hamein ism-e-aazam ki sifat is ism-e-aali mein hai aaj jannat-ul-firdaus mein jaa kar bhalaa ham kyaa karein koi bhi us khaana-e-viraan-o-khaali mein hai aaj hur-o-ghilmaan-e-bahishti yaan mire ham-raah hain mulk-e-dil-aabaad apne hasb-e-haali mein hai aaj nek-o-bad yaksaan hai vaajib main yahaan imkaan mein chaahiye raahat to 'miskin' khush-khisaali mein hai aaj"
"maah-ru yaan hazaar ko dekhaa ham ne ab tak na yaar ko dekhaa umr bhar muntazir rahe us ke raah ke intizaar ko dekhaa vaada-e-hashr log kahte hain ham ne vo bhi qaraar ko dekhaa koi aayaa nazar na us jaa bhi jab dil-e-gham-gusaar ko dekhaa rah gae naa-muraad duniyaa mein kitne sar iftikhaar ko dekhaa baagh-e-hasti mein surkh-ru na hue gul ke har khaar khaar ko dekhaa ganj jis jaa hai us jagah 'miskin' baiThe rahte hain maar ko dekhaa"
"kisi kaa ek hai dushman to dost-daar hai ek hamaaraa hijr adu ek vasl yaar hai ek jahaan mein shaadi o gham se nahin hai duur koi khizaan adu hai miraa ek aur bahaar hai ek khushi nasib nahin ham ko ta-ba-hashr koi hazaar ranj hain ek aur ye dil-figaar hai ek bisaan-e-marg-o-hayaat ahl-e-dil ko aalam mein hamesha ek hai dil jis pe gham savaar hai ek milaa hai husn-e-khudaa-daad jin ko aalam mein fidaa jo ek hai un par to jaan-nisaar hai ek rah-e-vafaa mein ye hai haal aashiqon kaa mudaam kharaab ek hai shorida-sar to khaar hai ek miloge ham se jo 'miskin' dui ko duur karo shumaar ek hai gar dam hai do pe taar hai ek"
"nahin hai mujh ko ai jamshed tere jaam se kaam jahaan-numaa hai mujhe apne khush-khiraam se kaam sabhi to diin va duniyaa kaa kaam karte hain mujhe na diin na duniyaa ke intizaam se kaam haram mein shaikh hain aur dair mein barahman hain hamein nahin hai unhon ke koi kalaam se kaam kunisht-e-dil mein hai ik josh but-parasti kaa mujhe buton ki hai khidmat mein raam raam se kaam gharaz na kufr se kuchh hai na diin se matlab na hai halaal se naa hai hamein haraam se kaam sanam ke ru-ba-ru rahnaa mujhe ghanimat hai na sharm nang se kuchh hai mujhe na naam se kaam khafaa bhi ho ke jo dekhe to sar nisaar karun agar na dekhe to phir bhi hai ik salaam se kaam sunaa sunaa ke jo kartaa hai vaaz-e-husn bayaan paDaa hai tujh ko hamesha ye fahm-e-khaam se kaam tu apne bakne se 'miskin' na ham se duur huaa tujhe to bakne se mujh ko hai apne kaam se kaam"
More on Maa
View all →"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
"tere tasavvuraat se aage nahin gayaa ye dil tavahhumaat se aage nahin gayaa jo biich raah chhoD gayaa shukr hai vo shakhs meri tavaqqu'aat se aage nahin gayaa shaayad use pasand thiin jhuTi numaaishein lekin main dil ki baat se aage nahin gayaa jazbaat-e-dil ko vo bhi na kuchh Dhang de sakaa main bhi takallufaat se aage nahin gayaa tohfa bhi us ke vaaste kangan liyaa 'zarim' vallah main us ke haath se aage nahin gayaa"
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"