SHAWORDS

meri ghazlon kaa har qaafiya mustarad — Naheed Azmi

HomeNaheed AzmiGhazal
"meri ghazlon kaa har qaafiya mustarad aap hon saamne aaina mustarad jaan bach jaae to haadisa mustarad sar paTakhti havaa kaa nasha mustarad shaaeri-vaaeri dekhtaa kaun hai husn jab tak na ho shaaera mustarad tu mire saath ho aur duniyaa bhi ho is musallas kaa ik zaaviya mustarad zindagi laakh qadmon mein paDti rahi kar diyaa us kaa har faisla mustarad tujh pe meraa yaqin is qadar be-aTal zehn-o-dil kaa har ik vasvasa mustarad ham tire gham ki talkhi se hain aashnaa ab nayaa koi bhi zaaiqa mustarad rabb-e-akbar kaa har faisla dil-kushaa jaa nujumi tiraa zaaicha mustarad"
Urdu

میری غزلوں کا ہر قافیہ مسترد آپ ہوں سامنے آئنہ مسترد جان بچ جائے تو حادثہ مسترد سر پٹختی ہوا کا نشہ مسترد شاعری واعری دیکھتا کون ہے حسن جب تک نہ ہو شاعرہ مسترد تو مرے ساتھ ہو اور دنیا بھی ہو اس مثلث کا اک زاویہ مسترد زندگی لاکھ قدموں میں پڑتی رہی کر دیا اس کا ہر فیصلہ مسترد تجھ پہ میرا یقیں اس قدر بے اٹل ذہن و دل کا ہر اک وسوسہ مسترد ہم ترے غم کی تلخی سے ہیں آشنا اب نیا کوئی بھی ذائقہ مسترد رب اکبر کا ہر فیصلہ دل کشا جا نجومی ترا زائچہ مسترد

Hindi

मेरी ग़ज़लों का हर क़ाफ़िया मुस्तरद आप हों सामने आइना मुस्तरद जान बच जाए तो हादिसा मुस्तरद सर पटख़ती हवा का नशा मुस्तरद शायरी-वायरी देखता कौन है हुस्न जब तक न हो शाएरा मुस्तरद तू मिरे साथ हो और दुनिया भी हो इस मुसल्लस का इक ज़ाविया मुस्तरद ज़िंदगी लाख क़दमों में पड़ती रही कर दिया उस का हर फ़ैसला मुस्तरद तुझ पे मेरा यक़ीं इस क़दर बे-अटल ज़ेहन-ओ-दिल का हर इक वसवसा मुस्तरद हम तिरे ग़म की तल्ख़ी से हैं आश्ना अब नया कोई भी ज़ाइक़ा मुस्तरद रब्ब-ए-अकबर का हर फ़ैसला दिल-कुशा जा नुजूमी तिरा ज़ाइचा मुस्तरद

merī ġhazloñ kā har qāfiya mustarad
Naheed Azmi
Naheed Azmi
Naheed Azmi
poet6 quotes

More by Naheed Azmi

View all →
Quote
"judaai hi zarurat ho gai hai suno talkhi ke ik do ghunT pi kar mujhe jiine se raghbat ho gai hai bahut rangin thaa teraa fasaana ab is mein aur jiddat ho gai hai hamein maatub kar ke rakh diyaa hai bhalaa aurat alaamat ho gai hai bhanvar mein jab se paanv rakh diye hain hamein gardish ki aadat ho gai hai samundar to nahin thi zindagaani jise kashti ki haajat ho gai hai miraa dil baanjh hotaa jaa rahaa hai tumhaari yaad rukhsat ho gai hai havaa ne zakhm si kar rakh diye jab diye ko kyon shikaayat ho gai hai chalo duniyaa ko ab aazaad kar dein mukammal us ki iddat ho gai hai"
Naheed AzmiNaheed Azmi
Quote
"andar se dil chaaT rahi jo lahje ki maghruri thi achchhi tarah tum jaan gae ho ishq miri majburi thi ham ne tum se ishq kiyaa aur ishq bhi puuri shiddat se ye aadhaa izhaar hamaaraa lafzon ki maazuri thi chaar dinon mein saat janam ko jiine vaale suntaa jaa saat janam kaa saath hamaaraa chaar dinon ki duuri thi bhuul aai huun jitne lamhe ai shab-e-hijraan vaapas de vasl ki khvaahish karnaa meri sach mein ik majburi thi apnaa honaa chhoD aai huun main us ke darvaaze par utni baat bataa kar palTi jitni baat zaruri thi"
Naheed AzmiNaheed Azmi
Quote
"us ne jo ishq-vishq ke hijje alag nahin kiye ham ne bhi dard sah liye sadme alag nahin kiye mere aur us ke darmiyaan rishta vabaal-e-jaan thaa dil ko sirhaane rakh diyaa kamre alag nahin kiye us ne kisi ki chaah mein chaah ko meri Das liyaa sochaa to main ne baarhaa raste alag nahin kiye ghar ke har ik maqaam par sahmi khaDi thiin ulfatein kamron se us ki yaad ke jaale alag nahin kiye donon ham ik class ke laDte the zor-o-shor se ruThnaa aur baat thi baste alag nahin kiye dil se use lagaa liyaa aisaa sukun milaa ki bas roti rahi main der tak kaandhe alag nahin kiye beTon ne rukh badal liyaa chhoD ke us ko chal diye baap ne jism haar ke rishte alag nahin kiye lahjon ki saari barhami siiti rahi tamaam umr main ne kitaab-e-zist se bakhiye alag nahin kiye"
Naheed AzmiNaheed Azmi
Quote
"shahr-e-dil-e-jamaal kaa kis ne ye haal kar diyaa aankhon mein tirgi bhari hansnaa muhaal kar diyaa tum se hamaaraa dard kaa rishta hi jab nahin rahaa kaise kahein ki dard ne kaisaa niDhaal kar diyaa lab pa shikaayatein na thiin ji mein bahut malaal thaa us pe tumhaare zikr ne aankhon ko laal kar diyaa poron pe aasmaan ko rakhnaa bahut muhaal thaa main ne junun-e-shauq mein ye bhi kamaal kar diyaa us kaa kahaa to sach na thaa meraa sunaa bhi sach na thaa lekin fasil-e-vaqt ne manzar ujaal kar diyaa vo dard jo thaa aashnaa us ko kahaan se laaein ab us ke baghair ziist ne jiinaa vabaal kar diyaa mushkil bahut thaa puchhnaa kaise mujhe bhulaa diyaa jab tere ru-ba-ru hui fauran savaal kar diyaa"
Naheed AzmiNaheed Azmi
Quote
"sard-mehr logon se shokhiyaan nahin rakhnaa raabte baDhaaein to talkhiyaan nahin rakhnaa har taraf zamaane ke kaan kaar-farmaa hain aaine ki muTThi mein hichkiyaan nahin rakhnaa kaun kitnaa mukhlis hai vaqt khud bataa degaa dost aur dushman ki gintiyaan nahin rakhnaa us safar se aakar phir ik safar salaamat hai aasmaan se kah do sakhtiyaan nahin rakhnaa ghunT ghunT pi lenaa hijr ko mohabbat mein ishq ki adaalat mein peshiyaan nahin rakhnaa jis se bhi kahin milnaa muskuraa ke mil lenaa zaat ke jazire mein talkhiyaan nahin rakhnaa jis ke sard lahje mein silvaTein numaayaan hon dekho aise qadmon mein pagDiyaan nahin rakhnaa"
Naheed AzmiNaheed Azmi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar