SHAWORDS

mire apnon ko bas ye khal rahaa thaa — Anas Nabeel

HomeAnas NabeelGhazal
"mire apnon ko bas ye khal rahaa thaa mire pichhe zamaana chal rahaa thaa lahu ki bu mahal se aa rahi hai yahaan shaayad kabhi maqtal rahaa thaa parindo haq se baiTho buildingon par ki pahle is jagah jangal rahaa thaa likhaa thaa bevafaa ik baar mujh ko so us kaa haath barson shal rahaa thaa tiri dastaar uchhli ab moallim kabhi juutaa tiraa afzal rahaa thaa dhuein ki lahr thi kuchh hi chhaton par magar andar se har ghar jal rahaa thaa 'nabil' us se chalo daanaai sikhein vahi jo muddaton paagal rahaa thaa"
Urdu

مرے اپنوں کو بس یہ کھل رہا تھا مرے پیچھے زمانہ چل رہا تھا لہو کی بو محل سے آ رہی ہے یہاں شاید کبھی مقتل رہا تھا پرندو حق سے بیٹھو بلڈنگوں پر کہ پہلے اس جگہ جنگل رہا تھا لکھا تھا بے وفا اک بار مجھ کو سو اس کا ہاتھ برسوں شل رہا تھا تری دستار اچھلی اب معلم کبھی جوتا ترا افضل رہا تھا دھوئیں کی لہر تھی کچھ ہی چھتوں پر مگر اندر سے ہر گھر جل رہا تھا نبیلؔ اس سے چلو دانائی سیکھیں وہی جو مدتوں پاگل رہا تھا

Hindi

मिरे अपनों को बस ये खल रहा था मिरे पीछे ज़माना चल रहा था लहू की बू महल से आ रही है यहाँ शायद कभी मक़्तल रहा था परिंदो हक़ से बैठो बिल्डिंगों पर कि पहले इस जगह जंगल रहा था लिखा था बेवफ़ा इक बार मुझ को सो उस का हाथ बरसों शल रहा था तिरी दस्तार उछली अब मोअल्लिम कभी जूता तिरा अफ़ज़ल रहा था धुएँ की लहर थी कुछ ही छतों पर मगर अन्दर से हर घर जल रहा था 'नबील' उस से चलो दानाई सीखें वही जो मुद्दतों पागल रहा था

mire apnoñ ko bas ye khal rahā thā
Anas Nabeel
Anas Nabeel
Anas Nabeel
poet19 quotes

More by Anas Nabeel

View all →
Quote
"use kah do havaadis ke bichhe hain jaal saDkon par chalaa kartaa hai jo har dam ghamanDi chaal saDkon par agar maslak ke jhagDon ne masaajid baanT rakkhi hain to phir bahr-e-khudaa apne musalle Daal saDkon par koi signal ke vaqfe tak bhi rukne ko nahin raazi ganvaa detaa hai koi hans ke saalon-saal saDkon par mashinein gaaDiyaan hi ghumti hain raat-din yaaro hamaare daur mein hai aadmi kaa kaal saDkon par bigaD jaati hai jab taqdir ki aur vaqt ki gaaDi utar aate hain sultaan ban ke phir kangaal saDkon par kunvaari koi machhli shab mein tanhaa ghar se na nikle ki shab mein phirte hain bhuke kai ghaDiyaal saDkon par nahin gar naam meraa na sahi par kam se kam ye ho miri ghazlein chalein us ke labon ki laal saDkon par chaman ki samt jaati titliyaan rah se bhaTak jaaein vo lahraa de jo gul jaise mahakte baal saDkon par 'nabil' is tarah chimTi hai kisi ki yaad is dil se jami rahti hai jaise gard ki ik shaal saDkon par"
Anas NabeelAnas Nabeel
Quote
"taazgi har shai pe aai mausam-e-barsaat mein khil uThaa zakhm-e-judaai mausam-e-barsaat mein kaise murda log phir se zinda honge dekh lo di zaminon ne gavaahi mausam-e-barsaat mein dushmanon ko ek kar de rab ki qudrat be-misaal fasl-e-baaraan dhuup laai mausam-e-barsaat mein abr tu insaan ke jaisaa adl se ghaafil na ho kyaa zamin apni paraai mausam-e-barsaat mein ThanDi purvaai chali to un ki mauj-e-zulf bhi gaal ke saahil tak aai mausam-e-barsaat mein sondhi sondhi si mahak aai to yaad aaya hamein aap kaa dast-e-hinaai mausam-e-barsaat mein vaqt jis ke saath hai tu bhi usi ke saath chal garmiyon ki kar buraai mausam-e-barsaat mein ghan-garaj kar daad dete hain tumhein baadal 'nabil' kyaa ghazal tum ne sunaai mausam-e-barsaat mein"
Anas NabeelAnas Nabeel
Quote
"khushi ke vaqt bhi vo lag rahaa thaa royaa huaa thaa baagh-e-vasl mein furqat kaa biij boyaa huaa vo raat khvaab mein aaya huaa thaa milne mujhe miraa nasib thaa bedaar main thaa soyaa huaa nayaa libaas kafan thoDi hai jo mil jaae so ham ne iid pe pahnaa libaas dhoyaa huaa vo mere saamne hai aur phone mein gum hai milaa hai barson kaa khoyaa huaa bhi khoyaa huaa tu jis ki laash ko ab jhiil se nikaaltaa hai vo bahr-e-gham mein thaa pahle tiraa Duboyaa huaa sitamgaro ye sazaaon ki fasl kaaTo ab kisi ne khuun se thaa inqalaab boyaa huaa tu yuun samajhtaa hai haqdaar khud ko shohrat kaa tujhe mare hue arsa 'nabil' goyaa huaa"
Anas NabeelAnas Nabeel
Quote
"ab havas ke khaar hain is ishq ke gul-daan mein dard ke gul sukhte hain 'mir' ke divaan mein dosti kaa girya hai ki doston ki talkh baat bhuul jaao dafn kar ke dil ke qabristaan mein eDiyaan kyaa apne sar ko bhi ragaD lein ham agar ab kabhi zamzam nahin niklegaa registaan mein sust-rau logon ko naakaami mili aksar magar tez chal kar bhi bahut se log hain nuqsaan mein apni chhat par amn ke panchhi ko daana kaun de log saare jaa chuke hain jang ke maidaan mein kuchh na fariyaadein sunein ki hai election phir qarib rahnumaaon se kaho ab tel Daalein kaan mein ishq mein dil haarne ko ik zamaana ho gayaa aur ab tak de rahe hain ashk ham taavaan mein teri har ik baat ab bhi yaad aati hai mujhe log to kahte the main huun mubtalaa nisyaan mein"
Anas NabeelAnas Nabeel
Quote
"hue na aandhi ke aage jo sar-khamida shajar so lag rahe hain hamein apne ham-'aqida shajar bichhaD ke tujh se baDe zabt se main chal to paDaa magar rulaa gae raste ke aabdida shajar ai belo tum ko nahin khauf tum to paanv mein ho ukhaaDe jaaeinge khuddaar chida chida shajar sajaa liye nae gamle alag alag sab ne akelaa rah gayaa gulshan mein sin-rasida shajar hamesha shahr se dhutkaare jaane vaalon ko gale lagaate hain jangal ke barguzida shajar hamaare zikr pe kahte hain yuun parinde ab 'nabil' kaun vahi naa khizaan-rasida shajar"
Anas NabeelAnas Nabeel

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb