SHAWORDS

moajiza yuun machine se niklaa — Aun Abbas Aun

HomeAun Abbas AunGhazal
"moajiza yuun machine se niklaa tuur ik durbin se niklaa us kabutar ne uDnaa siikh liyaa vo parinda bhi diin se niklaa us ke pairon kaa farsh banne ko ziina apni zamin se niklaa main ne jis par ghurur-o-naaz kiyaa shoala us aastin se niklaa haae ham ro diye sar-e-mahfil apnaa dushman kamin se niklaa raat phailaa chuki thi andhere roz-e-raushan jabin se niklaa ghaur se dekhiye to har chehra ek lafz-e-hasin se niklaa kuchh masaala lagaa kahaani ko asl kirdaar scene se niklaa anjuman se makaan se dil se ek bechaara tiin se niklaa"
Urdu

معجزہ یوں مشین سے نکلا طور اک دوربین سے نکلا اس کبوتر نے اڑنا سیکھ لیا وہ پرندہ بھی دین سے نکلا اس کے پیروں کا فرش بننے کو زینہ اپنی زمین سے نکلا میں نے جس پر غرور و ناز کیا شعلہ اس آستین سے نکلا ہائے ہم رو دیے سر محفل اپنا دشمن کمین سے نکلا رات پھیلا چکی تھی اندھیرے روز روشن جبین سے نکلا غور سے دیکھیے تو ہر چہرہ ایک لفظ حسین سے نکلا کچھ مسالہ لگا کہانی کو اصل کردار سین سے نکلا انجمن سے مکان سے دل سے ایک بیچارہ تین سے نکلا

Hindi

मो'जिज़ा यूँ मशीन से निकला तूर इक दूरबीन से निकला उस कबूतर ने उड़ना सीख लिया वो परिंदा भी दीन से निकला उस के पैरों का फ़र्श बनने को ज़ीना अपनी ज़मीन से निकला मैं ने जिस पर ग़ुरूर-ओ-नाज़ किया शो'ला उस आस्तीन से निकला हाए हम रो दिए सर-ए-महफ़िल अपना दुश्मन कमीन से निकला रात फैला चुकी थी अंधेरे रोज़-ए-रौशन जबीन से निकला ग़ौर से देखिए तो हर चेहरा एक लफ़्ज़-ए-हसीन से निकला कुछ मसाला लगा कहानी को अस्ल किरदार सीन से निकला अंजुमन से मकान से दिल से एक बेचारा तीन से निकला

mo.ajiza yuuñ machine se niklā
A
Aun Abbas Aun
Aun Abbas Aun
poet9 quotes

More by Aun Abbas Aun

View all →
Quote
"samundaron ke sukun ko bhanvar ne chhin liyaa kisi ke chain ko us ke hi ghar ne chhin liyaa sanbhalne vaali nahin hai ye tez-rau duniyaa puraane rog ko taaza khabar ne chhin liyaa mujhe to bas yahi dukh hai ki mere gulshan ki tarang-o-rang ko sukhe shajar ne chhin liyaa puraane khel nae khelon se judaa the miyaan vo phurtiyaan thiin jinhein daur-e-zar ne chhin liyaa kisi kaa sar koi dastaar kar gai aghvaa kisi ke taaj ko duuje ke sar ne chhin liyaa buraaiyaan na likhein to farishte kyaa karein 'aun' khilaafaton ko jo ilm-e-bashar ne chhin liyaa"
A
Aun Abbas Aun
Quote
"jab hamaari zindagi ke dard filmaae gae doston ke hukm se sab scene kaTvaae gae chhoTi chhoTi chaadarein bikne lagin baazaar mein aur phir un se ziyaada paanv phailaae gae Taailon ki sang-e-marmar ki zaminein di gaiin is tarah kaanTon pe chalne vaale phuslaae gae dil pukaaraa har ishaaraa toD do gaaDi bhagaao aur saDak boli bahut se is tarah aae gae munh mein angaare ko rakhne vaalaa bachcha bach gayaa munh mein angaare ko sah sah kar khudaa Dhaae gae zindagi rone ko vaqt-e-mukhtasar kaa naam hai aur ham bachche hain jo jannat se bahlaae gae"
A
Aun Abbas Aun
Quote
"paTriyon par koi qabristaan banvaae gae rail ki khiDki mein kitne khvaab dafnaae gae TimTimaa kar kuchh sitaare yuun pukaare baat sun jaantaa hai kitne taare bulb se khaae gae jin chhaton par hote the kal tak manaazir vasl ke aaj un par khud-kushi karte javaan paae gae chashm-e-binaa ne jahaan mein kyaa nahin dekhaa miyaan chalti phirti qabr par bhi phuul barsaae gae har kisi ke ghar pe Tanki nasab hai paani ki par qatra qatra aab ko ghar vaale tarsaae gae aasmaan ke kaale jangal mein thiin jitni vahshatein duur karne ke liye ye diip jalvaae gae pattharon kaa shahr dikhtaa hai ye dariyaa hotaa thaa is qadar patthar hamaare dil pe barsaae gae"
A
Aun Abbas Aun
Quote
"ik samt duniyaa mushtail aur ik taraf hai soz-e-dil sadiyon se jaari hai ye panja-aazmaai mustaqil hone lagaa hai rafta rafta titliyon kaa khuun safed phulon ko bas is ranj ne hi kar diyaa hai muzmahil suraj se bach kar aa gayaa ik peD ko apnaa liyaa aur vo shajar karne lagaa mujh mein haraarat muntaqil dastak na de dastak na de dastak na de dil par mire khaali makaan hai naasehaa mat kar nigahbaan ko khajil jaari hai kab se kaarobaar-e-ishq kyaa batlaaun main baazaar kaa to kyaa kahun aadam bhi the be-aab-o-gil maali mayassar hi nahin maali mayassar hi nahin bas dukh yahi laahaq huaa hai is shajar ko jaan-gusil thaa surat-e-raftaar dil se aql ko aisaa hasad ik aur dil hi ho gayaa hai meri manzil mein mukhil"
A
Aun Abbas Aun
Quote
"hasin raatein udhaar le kar jamil manzar ke khvaab dekhe zaiif surat puraane naukar ne apne afsar ke khvaab dekhe murabba’on mein makaan banaayaa to vahshaton ne karaae acre kanaal marlon mein aise simTe ki inchon mein ghar ke khvaab dekhe tumhaari duniyaa mein zindagi ki har ik zarurat hi bik rahi hai dukaan se paani kharid laae to hauz-e-kausar ke khvaab dekhe jo khuun pasina bahaa ke apnaa kaDakte noTon ki khushbu sunghe use to fursat nahin hai saahib ki mushk-o-ambar ke khvaab dekhe tamaam duniyaa ke baasiyon ke dimaagh zanjiron mein jakaD ke pukaare aaqaa ki ek maalik ko haq hai naukar ke khvaab dekhe vo jab bhi chaahe ki apni marzi se saari duniyaa ke rang badle badal ke chashma lagaa ke dekhe jahaan-e-digar ke khvaab dekhe"
A
Aun Abbas Aun
Quote
"tum ne jab mujh se bichhaDne ki tamanna ki thi main ne tufaan se laDne ki tamanna ki thi aandhiyaan mere darakhton ko giraane aaiin main ne bhi dhuup se laDne ki tamanna ki thi phuul ko us se kudurat hai to bas is liye hai us ne titli ko pakaDne ki tamanna ki thi baagh ke peDon ki is rukhi tabiat ke sabab sabz patton ne bhi jhaDne ki tamanna ki thi ghaas ko teri nazaakat kaa koi ilm na thaa bas tire paanv mein paDne ki tamanna ki thi main ne ik roz khudaaon kaa takabbur toDaa aur khudaai ne akaDne ki tamanna ki thi mo'atabar Thahre mire des mein jab be-hunare main ne us vaqt bigaDne ki tamanna ki thi usi parvaane ke dushman hain bahut se afraad jis ne ik shama jakaDne ki tamanna ki thi aql ko main ne kahin siine mein girvi rakh kar saari duniyaa ke ujaDne ki tamanna ki thi aap kahte hain to khaamosh hi rahte hain ham par taalluq ne jhagaDne ki tamanna ki thi baiza-e-chashm mein ik roz samaane ke liye puuri duniyaa ne sukaDne ki tamanna ki thi"
A
Aun Abbas Aun

More on Dil

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud