SHAWORDS

muddaton baad ham kisi se mile — Makhmoor Saeedi

"muddaton baad ham kisi se mile yuun lagaa jaise zindagi se mile is tarah koi kyuun kisi se mile ajnabi jaise ajnabi se mile saath rahnaa magar judaa rahnaa ye sabaq ham ko aap hi se mile zikr kaanTon ki dushmani kaa nahin zakhm phulon ki dosti se mile un kaa milnaa bhi thaa na milnaa saa vo mile bhi to be-rukhi se mile dil ne majbur kar diyaa hogaa jis se milnaa na thaa usi se mile un andheron kaa kyaa gila 'makhmur' vo andhere jo raushni se mile"
Urdu

مدتوں بعد ہم کسی سے ملے یوں لگا جیسے زندگی سے ملے اس طرح کوئی کیوں کسی سے ملے اجنبی جیسے اجنبی سے ملے ساتھ رہنا مگر جدا رہنا یہ سبق ہم کو آپ ہی سے ملے ذکر کانٹوں کی دشمنی کا نہیں زخم پھولوں کی دوستی سے ملے ان کا ملنا بھی تھا نہ ملنا سا وہ ملے بھی تو بے رخی سے ملے دل نے مجبور کر دیا ہوگا جس سے ملنا نہ تھا اسی سے ملے ان اندھیروں کا کیا گلہ مخمورؔ وہ اندھیرے جو روشنی سے ملے

Hindi

मुद्दतों बाद हम किसी से मिले यूँ लगा जैसे ज़िंदगी से मिले इस तरह कोई क्यूँ किसी से मिले अजनबी जैसे अजनबी से मिले साथ रहना मगर जुदा रहना ये सबक़ हम को आप ही से मिले ज़िक्र काँटों की दुश्मनी का नहीं ज़ख़्म फूलों की दोस्ती से मिले उन का मिलना भी था न मिलना सा वो मिले भी तो बे-रुख़ी से मिले दिल ने मजबूर कर दिया होगा जिस से मिलना न था उसी से मिले उन अँधेरों का क्या गिला 'मख़मूर' वो अँधेरे जो रौशनी से मिले

muddatoñ baad ham kisī se mile
Makhmoor Saeedi
Makhmoor Saeedi
Makhmoor Saeedi
poet57 quotes

More by Makhmoor Saeedi

View all →
Quote
"kasak puraane zamaane ki saath laayaa hai tiraa khayaal ki barson ke baad aayaa hai kisi ne kyuun mire qadmon tale bichhaayaa hai vo raasta ki kahin dhuup hai na saayaa hai Dagar Dagar vahi galiyaan chali hain saath mire qadam qadam pe tiraa shahr yaad aayaa hai bataa rahi hai ye shiddat ujaaD mausam ki shaguft-e-gul kaa zamaana qarib aayaa hai havaa-e-shab se kaho aae phir bujhaane ko charaagh ham ne sar-e-shaam phir jalaayaa hai kaho ye Dubte taaron se do ghaDi ruk jaaein nishaan-e-gum-shudagaan muddaton mein paayaa hai bas ab ye pyaas kaa sahraa ubuur kar jaao nadi ne phir tumhein apni taraf bulaayaa hai fusun-e-khvaab-e-tamaashaa ki TuTtaa jaae main so rahaa thaa ye kis ne mujhe jagaayaa hai sulag uThe hain sharaare badan mein kyuun 'makhmur' khunuk havaa ne jo baDh kar gale lagaayaa hai"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi
Quote
"vo daur-e-nashaat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzraa hi to hai siine ki kasak kis tarah miTe har daagh-e-kuhan taaza hi to hai tu saath kahaan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhaai par jo aage aage chaltaa hai ai dost koi tujh saa hi to hai is taair-e-aavaara ke liye yuun jaal na bun ummidon ke uDtaa huaa lamha jaise abhi roke se tire ruktaa hi to hai maalum nahin kis vaqt ye kyaa bartaav kisi se karti hai duniyaa se koi ummid na rakh maayus na ho duniyaa hi to hai kirnein nae din ke suraj ki phaileingi to gum ho jaaegaa taarik hai jis se dil kaa ufuq guzri shab kaa saayaa hi to hai lamhon ke hujum-e-gurezaan mein ik lamha jise apnaa kahiye jaan de ke bhi haath aa jaae agar mahngaa kab hai sastaa hi to hai 'makhmur' taaaqub kar dekho kuchh duur nahin haath aa jaae ik gum-shuda khushbu kaa jhonkaa aangan se abhi guzraa hi to hai"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi
Quote
"jaada-e-marg-e-musalsal se guzartaa jaaun zindagi ye hai ki har saans mein martaa jaaun khuun har lamha-e-maujud kaa kartaa jaaun rang tasvir-e-shab-o-roz mein bhartaa jaaun muntashir silsila-e-gham ko to kartaa jaaun saath hi saath magar khud bhi bikhartaa jaaun bas yunhi hamsari-e-ahl-e-jahaan mumkin hai dam-ba-dam apni bulandi se utartaa jaaun main kisi manzil-e-hasti pe kahaan ruktaa thaa raah mein tum jo na mil jaao guzartaa jaaun umr bhar jaada-e-pur-khaar pe chalnaa hogaa do-ghaDi saaya-e-gul mein bhi Thahartaa jaaun apni qismat huun ulajhtaa hi chalaa jaataa huun teri taqdir nahin huun ki sanvartaa jaaun madd-o-jazr-e-yam-e-ehsaas kaa parvarda huun Dubtaa jaaun magar khud hi ubhartaa jaaun aa hi niklaa huun jo yaadon ke khanDar tak 'makhmur' bhule-bisron se mulaaqaat bhi kartaa jaaun"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi
Quote
"labon pe hai jo tabassum to aankh pur-nam hai shuur-e-gham kaa ye aalam ajiib aalam hai guzar na jaada-e-imkaan se be-khayaali mein yahin kahin tiri jannat yahin jahannam hai bhaTak rahaa hai dil imroz ke andheron mein nishaan-e-manzil-e-fardaa bahut hi mubham hai baDhaa diyaa hai asiron ki khasta-haali ne qafas se taa-ba-chaman varna faasla kam hai abhi nahin kisi aalam mein dil Thaharne kaa abhi nazar mein tiri anjuman kaa aalam hai kahaan ye zindagi-e-harza-gard le aai na rahguzaar-e-tarab hai na jaada-e-gham hai kuchh aise ham ne tire gham ki parvarish ki hai ki jaise maqsad-e-hasti faqat tiraa gham hai"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi
Quote
"laala-o-gul kaa jahaan raas kab aayaa hai mujhe in nazaaron ne bahut khuun rulaayaa hai mujhe vaqt ne jab koi aaina dikhaayaa hai mujhe kyaa bhayaanak miraa chehra nazar aayaa hai mujhe talkhi-e-marg rag-o-pai mein utarti jaae zindagi tu ne ye kyaa zahr pilaayaa hai mujhe chalte chalte yunhi thak kar kahin so jaaungaa dasht-e-ghurbat ki kaDi dhuup hi saayaa hai mujhe zindagi ne miri dam saadh liyaa hai jaise jab tiri yaad mein khoyaa huaa paayaa hai mujhe ufuq-e-dil pe nazar aati hai kho jaati hai ek parchhaain ne divaana banaayaa hai mujhe ghar se niklaa huun to ab puchh rahaa huun khud se jaa rahaa huun main kahaan kis ne bulaayaa hai mujhe koi hogaa jo miri raah takegaa shaayad ik yahi vahm yahaan khinch ke laayaa hai mujhe sirf ik khvaab thaa main apne zamaane ke liye jis ne paayaa hai mujhe us ne ganvaayaa hai mujhe do sitaaron ki mulaaqaat kaa vahshi naghma be-sadaa raat ne phir aaj sunaayaa hai mujhe khvaab us ke kabhi ho jaaein na viraan 'makhmur' us ne kyon apne khayaalon mein basaayaa hai mujhe"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi
Quote
"jab koi shaam-e-hasin nazr-e-kharaabaat hui aksar aise mein tire gham se mulaaqaat hui aap-apne ko na pahchaan sake ham taa-der un se bichhDe to ajab surat-e-haalaat hui husn se nibh na na saki vaz-e-karam aakhir tak avval avval to mohabbat ki mudaaraat hui roz mai pi hai tumhein yaad kiyaa hai lekin aaj tum yaad na aae ye nai baat hui us ne aavaaz mein aavaaz milaa di thi kabhi aaj tak khatm na mausiqi-e-jazbaat hui dil pe ik gham ki ghaTaa chhaai hui thi kab se aaj un se jo mile TuuT ke barsaat hui kis ki parchhaain paDi kaun idhar se guzraa itni rangin jo guzargaah-e-khayaalaat hui un se ummid-e-mulaaqaat ke baad ai 'makhmur' muddaton tak na khud apne se mulaaqaat hui"
Makhmoor SaeediMakhmoor Saeedi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar