"tire bachchon mein aisi dilkashi maa'lum hoti hai ki jaise gul ke rukh par taazgi maa'lum hoti hai main sajde mein jo gir jaataa huun madhoshi ke 'aalam mein jahaan vaalon ko shaayad mai-kashi maa'lum hoti hai bataaun kyaa ki jab se mujh se naalaan hain vo bad-zan hain bahut ruThi hui ye zindagi maa'lum hoti hai tumhaare talkh lahje se pata chaltaa hai ye 'ahmad' tumhein mujh se koi naaraazgi maa'lum hoti hai"
mujh ko afsos hai bas isi baat kaa — Ahmed Arsalan
"mujh ko afsos hai bas isi baat kaa kar na paayaa main izhaar jazbaat kaa un se milne ki khvaahish hai dil mein mire DhunDhtaa huun bahaanaa mulaaqaat kaa uljhanon se ulajh jaao be-khauf ab saamnaa kijiye DaT ke haalaat kaa raat bhar ik qalandar ke hujre mein rind tazkira kar rahe the miri zaat kaa kaise behtar banegi miri zindagi tajraba kar rahaa huun main is baat kaa us ki fitrat mein 'ahmad' nahin hai vafaa hai mujhe bhi pata us ki auqaat kaa"
مجھ کو افسوس ہے بس اسی بات کا کر نہ پایا میں اظہار جذبات کا ان سے ملنے کی خواہش ہے دل میں مرے ڈھونڈھتا ہوں بہانا ملاقات کا الجھنوں سے الجھ جاؤ بے خوف اب سامنا کیجیے ڈٹ کے حالات کا رات بھر اک قلندر کے حجرے میں رند تذکرہ کر رہے تھے مری ذات کا کیسے بہتر بنے گی مری زندگی تجربہ کر رہا ہوں میں اس بات کا اس کی فطرت میں احمدؔ نہیں ہے وفا ہے مجھے بھی پتہ اس کی اوقات کا
मुझ को अफ़सोस है बस इसी बात का कर न पाया मैं इज़हार जज़्बात का उन से मिलने की ख़्वाहिश है दिल में मिरे ढूँढता हूँ बहाना मुलाक़ात का उलझनों से उलझ जाओ बे-ख़ौफ़ अब सामना कीजिए डट के हालात का रात भर इक क़लंदर के हुजरे में रिंद तज़्किरा कर रहे थे मिरी ज़ात का कैसे बेहतर बनेगी मिरी ज़िंदगी तजरबा कर रहा हूँ मैं इस बात का उस की फ़ितरत में 'अहमद' नहीं है वफ़ा है मुझे भी पता उस की औक़ात का

More by Ahmed Arsalan
View all →"kal tak jo mire saath thaa aghyaar ki surat aane lagaa hai pesh vo ab yaar ki surat khadsha hamein hotaa hai vahaan kaun hai apnaa ik jaisi hi hoti hai jahaan chaar ki surat laachaar saa be-bas saa vo maasum saa bachcha phirtaa hai gali-kuchon mein akhbaar ki surat peshaani pe jo haath rakhegaa vo masihaa khil jaaegi sukDi hui bimaar ki surat jab yaad tiri aa ke sataati hai ai 'ahmad' jazbaat ubhar aate hain ashaar ki surat"
"kaam honge na kuchh bhi du'aa ke sivaa yaa'ni koi nahin hai khudaa ke sivaa sach kahungaa to maslub kar degaa vo aur degaa bhi kyaa is sazaa ke sivaa bhuul kar bhi na un se ulajhnaa kabhi jin kaa koi nahin hai khudaa ke sivaa ye andhere mein raushan hai jo ik diyaa is kaa koi nahin hai havaa ke sivaa vo jo uTh kar gayaa meri dahliz se us ko kyaa chaahiye thaa vafaa ke sivaa aaj 'ahmad' ye ehsaas ham ko huaa koi apnaa nahin hai khudaa ke sivaa"
"jo le ke haath mein apne tabar bhi aataa hai har ek zulm ko vo raund kar bhi aataa hai tamaam din jo bhaTaktaa hai dasht-o-sahraa mein sunaa hai shaam ko vo baam par bhi aataa hai vo ek rind jo rotaa hai teri chaahat mein usi ki aankh mein khun-e-jigar bhi aataa hai main us faqir se rakhtaa huun silsila apnaa jahaan baDe se baDaa taajvar bhi aataa hai akele mujh ko kahin jaane vo nahin detaa jahaan main jaaun vahaan ham-safar bhi aataa hai ye sukhaa peD nishaani hai ek qudrat ki khudaa ke hukm se is mein samar bhi aataa hai shikan si aati hai 'ahmad' kabhi jo maathe par main aise rotaa huun chehra nikhar bhi aataa hai"
"'aashiqi apni jagah hai dil-lagi apni jagah hans ke miltaa huun main us se dushmani apni jagah dekhne ko dekhiyegaa ye tamaashaa shauq se saahiri apni jagah hai shaa'iri apni jagah ye samajhne mein hui hai der bhi shaayad mujhe tumtaraaq apni jagah hai saadgi apni jagah kyaa haraj hai jugnuon se dosti gar ho gai raushni apni jagah hai chaandni apni jagah jugnuon se dosti par kyon khafaa hain aap log raushni apni jagah hai chaandni apni jagah kis tarah jiinaa hai 'ahmad' ye saliqa siikh lo ji ke marnaa hai kisi din zindagi apni jagah"
"kisi khaas tak na pahunche kisi 'aam tak na pahunche jo hain ranjishein hamaari vo avaam tak na pahunche tiri duriyaan salaamat tujhe chaahtaa rahun main mujhe maut aae tujh ko ye payaam tak na pahunche tire haath mein qalam hai to vo likh jo haq hai 'ahmad' vo na baat likh tu 'ahmad' jo nizaam tak na pahunche"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"