"ishq ki aasudgi ko aur kyaa darkaar thaa gesuon ki chhaanv thi yaa saaya-e-divaar thaa dar-haqiqat vo qarib-e-jalva-gaah-e-yaar thaa jis ki aankhon mein mazaaq-e-hasrat-e-didaar thaa aaj vo kyon khaa rahaa hai dar-ba-dar ki Thokarein takht-e-aalam kaa jo kal tak maalik-o-mukhtaar thaa maavaraa-e-aish thaa jab aadamiyyat kaa vajud kis qadar be-daagh vo aaina-e-kirdaar thaa zauq-e-nazzaara ki quvvat salb ho kar rah gai jalva-gaah-e-naaz par kyaa parda-e-asraar thaa taa-qayaamat jis ke naqsh-e-paa raheinge zau-fishaan fakhr hai ham ko vo apnaa qaafila-saalaar thaa maghfirat farmaae maulaa 'saadiq'-e-marhum ki vo miraa ustaad 'anvar' ik baDaa fankaar thaa"
na meraa husn-e-zan samjhaa na andaaz-e-sukhan dekhaa — Anwar Sadiqui
"na meraa husn-e-zan samjhaa na andaaz-e-sukhan dekhaa agar dekhaa to duniyaa ne darida pairahan dekhaa kahin husn-e-takallum to kahin husn-e-badan dekhaa magar arbaab-e-haq ko is jahaan mein khasta-tan dekhaa salib-e-barg kaa har ashk shabnam ru-e-gul par thaa ye manzar tu ne kyaa ai subh ki pahli kiran dekhaa badan ki khaal khinchvaa di nidaa-e-qum-bi-izni ne anal-haq ki sadaa ko zinat-e-daar-o-rasan dekhaa mire mahbub kaa chehra aur us par dil-nashin sahraa urus-e-yaasmin se yuun visaal-e-nastaran dekhaa suluk-e-be-rukhi ne ghairiyat ko taqviyat bakhshi vatan hi mein vatan vaalon ko ham ne be-vatan dekhaa mili daad itni 'anvar' jaise be-maaya sukhanvar ko maaal-e-inkisaari tum ne ahl-e-anjuman dekhaa"
نہ میرا حسن ظن سمجھا نہ انداز سخن دیکھا اگر دیکھا تو دنیا نے دریدہ پیرہن دیکھا کہیں حسن تکلم تو کہیں حسن بدن دیکھا مگر ارباب حق کو اس جہاں میں خستہ تن دیکھا صلیب برگ کا ہر اشک شبنم روئے گل پر تھا یہ منظر تو نے کیا اے صبح کی پہلی کرن دیکھا بدن کی کھال کھنچوا دی ندائے قم باذنی نے انا الحق کی صدا کو زینت دار و رسن دیکھا مرے محبوب کا چہرہ اور اس پر دل نشیں صحرا عروس یاسمیں سے یوں وصال نسترن دیکھا سلوک بے رخی نے غیریت کو تقویت بخشی وطن ہی میں وطن والوں کو ہم نے بے وطن دیکھا ملی داد اتنی انورؔ جیسے بے مایہ سخنور کو مآل نکساری تم نے اہل انجمن دیکھا
न मेरा हुस्न-ए-ज़न समझा न अंदाज़-ए-सुख़न देखा अगर देखा तो दुनिया ने दरीदा पैरहन देखा कहीं हुस्न-ए-तकल्लुम तो कहीं हुस्न-ए-बदन देखा मगर अर्बाब-ए-हक़ को इस जहाँ में ख़स्ता-तन देखा सलीब-ए-बर्ग का हर अश्क शबनम रू-ए-गुल पर था ये मंज़र तू ने क्या ऐ सुब्ह की पहली किरन देखा बदन की खाल खिंचवा दी निदा-ए-क़ुम-बिइज़्नी ने अनल-हक़ की सदा को ज़ीनत-ए-दार-ओ-रसन देखा मिरे महबूब का चेहरा और उस पर दिल-नशीं सहरा उरूस-ए-यासमीं से यूँ विसाल-ए-नस्तरन देखा सुलूक-ए-बे-रुख़ी ने ग़ैरियत को तक़्वियत बख़्शी वतन ही में वतन वालों को हम ने बे-वतन देखा मिली दाद इतनी 'अनवर' जैसे बे-माया सुख़नवर को मआल-ए-इंकिसारी तुम ने अहल-ए-अंजुमन देखा

More by Anwar Sadiqui
View all →"ik khudi be-khudi ke andar hai raaz khud raaz hi ke andar hai ik qayaamat koi qayaamat si zer-e-lab khaamushi ke andar hai ek ik qatra girya-e-shabnam phuul jaisi hansi ke andar hai hans paDe ham to ro paDin aankhein gham bhi shaayad khushi ke andar hai din Dhalegaa to raat aaegi tirgi raushni ke andar hai husn-aaraaiyaan bajaa lekin dilkashi saadgi ke andar hai naara-e-inqalaab ai 'anvar' aaj bhi shaairi ke andar hai"
"khuun paani ek kar apni pareshaani na dekh ye mazaaq-e-shaairi hai is mein aasaani na dekh multaji aankhon mein ishrat-yaafta paani na dekh karb mein Duube hue chehron mein taabaani na dekh tujh mein hairaan-kun hazaaron zaaviye khud hain nihaan apni surat dekh aaine ki hairaani na dekh kar ke himmat Daal de apne nasheman ki binaa gulsitaan mein bijliyon ki fitna-saamaani na dekh DabDabaa jaaeingi aankhein khuun ro uTThegaa dil ishq ki raahon mein ahl-e-haq ki qurbaani na dekh bakhshne vaalaa to bakhshegaa zarurat se sivaa maangne vaale tu apni tang-daamaani na dekh nasl-e-aadam ke liye 'anvar' luTaa de zindagi apni aafat apnaa gham apni pareshaani na dekh"
"rah-e-hasti mein koi rahnumaa honaa zaruri hai safar kashti kaa ho to naakhudaa honaa zaruri hai tiri aankhon mein kuchh sharm-o-hayaa honaa zaruri hai darida hi sahi sar par ridaa honaa zaruri hai jo nafrat ho to laazim hai zabaan par mohr-e-khaamoshi mohabbat hai to phir shikva-gila honaa zaruri hai unhon ne jo bhi farmaayaa thaa vo sab ho chukaa lekin khudaa jaane jahaan mein aur kyaa honaa zaruri hai kahaa rab ne nishaan farsh-e-zamin par chhoDne vaale qarib-e-arsh teraa naqsh-e-paa honaa zaruri hai milegi bil-yaqin tum ko baqaa ki kaamraan manzil kisi ke ishq mein lekin fanaa honaa zaruri hai sipar bhi tegh bhi tan par zira-baktar sahi 'anvar' baraae jang dil mein hausla honaa zaruri hai"
"adab ki ilm-o-fan ki ik mukammal daastaan main huun main urdu huun main urdu dukhtar-e-hindostaan main huun yahaan main huun vahaan main huun ayaan main huun nihaan main huun makin main huun makaan main huun zamin main huun zamaan main huun yahi to ek jaan do jism hone ki alaamat hai jahaan main huun vahaan tu hai jahaan tu hai vahaan main huun main gul huun main bahaaraan main hi rang-o-nur aur nikhat nigaah-e-dil se dekhun shaahkaar-e-gulsitaan main huun jahaan ki be-rukhi se tum kabhi maayus mat honaa tumhaaraa aashnaa main huun tumhaaraa qadr-daan main huun tujhe ye naaz teri sar-zamin hai gulshan-e-jannat mujhe ye fakhr hai baashinda-e-hindostaan main huun main 'anvar' huun mujhe samjho mujhe dekho paDho mujh ko har ik majmua-e-ulfat kaa kaamil tarjumaan main huun"
"idhar kuchh aur kahti hai udhar kuchh aur kahti hai ye duniyaa chaahti kuchh hai magar kuchh aur kahti hai ye dil kuchh aur kahtaa hai nazar kuchh aur kahti hai magar un ki nigaah-e-moatabar kuchh aur kahti hai qaside paDh rahe ho tum chaman ki shaan mein lekin har ik jhulsi hui shaakh-e-shajar kuchh aur kahti hai ba-zaahir hain jadid uslub ki aaraaishein dilkash magar tahqiq-e-arbaab-e-hunar kuchh aur kahti hai pata sehat kaa chaltaa hai mariz-e-gham ke chehre se magar sanjidgi-e-chaaraagar kuchh aur kahti hai tiri poshaak ke paivand hain iflaas ke mazhar tiri baa-raub shakhsiyyat magar kuchh aur kahti hai banaane ko banaa lein ham bhi shishon ke makaan 'anvar' magar yaaron ki sang-afgan nazar kuchh aur kahti hai"
More on Sad
View all →"raftagaan ki sadaa nahin main huun ye tiraa vaahima nahin main huun tere maazi ke saath dafn kahin meraa ik vaaqi'a nahin main huun kyaa milaa intihaa-pasandi se kyaa main tere sivaa nahin main huun ek muddat mein jaa ke mujh pe khulaa chaand hasrat-zada nahin main huun us ne mujh ko muhaal jaan liyaa main ye kahtaa rahaa nahin main huun main hi 'ujlat mein aa gayaa thaa idhar ye zamaana nayaa nahin main huun meri vahshat se Dar gae shaayad yaar baad-e-fanaa nahin main huun main tire saath rah gayaa huun kahin vaqt Thahraa huaa nahin main huun gaahe gaahe sukhan zaruri hai saamne aaina nahin main huun sarsari kyuun guzartaa hai mujh se ye miraa maajraa nahin main huun us ne puchhaa kahaan gayaa vo shakhs kyaa bataataa ki thaa nahin main huun ye kise dekhtaa hai mujh se udhar tere aage khalaa nahin main huun"
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
"nahin piitaa main par navaazish hui hai baDi mausamon ki sifaarish hui hai bahut din se sahraa ke jaisaa ye dil hai na baadal ghire hain na baarish hui hai yahaan hai bulandi jo kirdaar ki to vahaan khaal-o-khad ki numaaish hui hai tiri jhiil jaisi jo dekhi hain aankhein miri Duub jaane ki khvaahish hui hai chhalaktaa nahin khuun zakhmon se aise kahin naakhunon ki bhi kaavish hui hai hamein 'ishq mein mubtalaa kar rahe hain nazar aur dil mein ye saazish hui hai vahaan dushmanon ki baDi yaad aai jahaan doston ki navaazish hui hai vafaa-daariyon kaa sila mil rahaa hai hamaari sadaa aazmaaish hui hai pareshaaniyon mein jo ham mubtalaa hain yaqinan koi ham se laghzish hui hai vahin apni aankhon ko ham chhoD aae jahaan manzaron ki numaaish hui hai raqibon ko hai chhuT mahfil mein un ki mire aane jaane pe bandish hui hai ghazal kahnaa 'faaruq' main chhoD dungaa isi baat par un se ranjish hui hai"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"bas ki ik lams ki ummid pe vaare hue hain so tire saamne ye khaak pasaare hue hain jaane kab un ko bujhaa baiThe koi baad-e-alam sar-e-mizhgaan-e-tamannaa jo sitaare hue hain zindagi tu bhi hamein vaise hi ik roz guzaar jis tarah ham tujhe barson se guzaare hue hain nit-nae naqsh karein us pe aziyyat ke raqam aa ki ham takhti-e-dil apni pachaare hue hain kab kuchal jaaein kisi paanv se ham barg-e-vajud vaqt ki dhuup mein vaise hi karaare hue hain jaante hain ki tu hi ishq-badan ko hai libaas ham tiraa ruup jo aashuftagi dhaare hue hain apni jurat ki sataaish ho ki ham chob-mizaaj rabt rakhte hain sadaa un se jo aare hue hain"
"phir bahaar aai hai phir josh mein saudaa hogaa zakhm-e-derinaa se phir khuun Tapaktaa hogaa biiti baaton ke vo naasur hare phir honge baat niklegi to phir baat ko rakhnaa hogaa yurishein kar ke umanD aaeingi suuni shaamein laakh bhaTkein kisi unvaan na saveraa hogaa ji ko samjhaaeinge matvaali havaa ke jhonke phir koi laakh sambhaale na sambhalnaa hogaa kaisi rut aai havaa chalti hai ji Doltaa hai ab to hansnaa bhi taDapne kaa bahaanaa hogaa TuuT jaaegaa ye laachaari-e-daaem kaa fusun aur is tarah ki jaise koi aataa hogaa dil dhaDakne ki sadaa aaegi sune-pan mein duur baadal kahin parbat pe garajtaa hogaa"