Quote
"masaafat ki garaan har ek saaat TuuT jaati hai tiri chashm-e-inaayat se aziyyat TuuT jaati hai tiri yaadon ki surat se nikalti hai ajab surat ujaale yuun baraste hain ki zulmat TuuT jaati hai sadaa-e-haq-shanaasi gasht karti rahti hai lekin zamaana ye samajhtaa hai sadaaqat TuuT jaati hai baraa-e-jazba-saazi kuchh dikhaavaa ho magar yaaro riyaa-kaari baratne se ibaadat TuuT jaati hai ghazal mein jiddat-o-nudrat zaruri hai bahut 'amjad' magar fanni bukhaalat se salaasat TuuT jaati hai"
G
Ghufran Amjad