Quote
"hisaar mein liye be-naam ek vahshat thi yahi mataa' yahi zindagi ki qimat thi kahin qiyaam bhi karte to bad-gumaan rahte hamaare pair se lipTi hui vo hijrat thi tiri talaash faqat zaad-e-raah thi ham ko vagarna ham ko faqat apni hi zarurat thi tamaam 'umr vafaadaar hi rahe apne baraae zakhm tire haath pe bhi bai'at thi milein to pursish-e-ahvaal bhi zaruri thaa ye guftugu bhi koi surat-e-mohabbat thi thakan hi de ke gayaa zaat kaa safar mujh ko ki ye bhi raaegaan shaayad koi masaafat thi zamin pe bojh se apne giri thiin divaarein ye aur baat ki barsaat se shikaayat thi havaa ki zad pe hi aa kar charaagh bujhnaa thaa vagarna phir to rivaayaat se baghaavat thi"
