SHAWORDS

niind chubhne lagi hai aankhon mein — Khaleel Mamoon

HomeKhaleel MamoonGhazal
"niind chubhne lagi hai aankhon mein kab talak jaagnaa hai raaton mein tum agar yunhi baat karte rahe biit jaaegaa vaqt baaton mein ungliyaan ho gaiin figaar apni chhup gayaa hai gulaab kaanTon mein shaayad apnaa pata bhi mil jaae jhaanktaa huun tiri nigaahon mein sab hai tere savaal mein pinhaan kuchh nahin hai mire javaabon mein jo nahin mil sakaa haqiqat mein DhunDhtaa phir rahaa huun khvaabon mein faisla to tumhin ko karnaa hai dekhte kyaa ho tum gavaahon mein maslahat-kosh ho gayaa 'maamun' ghir ke tanqid karne vaalon mein"
Urdu

نیند چبھنے لگی ہے آنکھوں میں کب تلک جاگنا ہے راتوں میں تم اگر یوں ہی بات کرتے رہے بیت جائے گا وقت باتوں میں انگلیاں ہو گئیں فگار اپنی چھپ گیا ہے گلاب کانٹوں میں شاید اپنا پتہ بھی مل جائے جھانکتا ہوں تری نگاہوں میں سب ہے تیرے سوال میں پنہاں کچھ نہیں ہے مرے جوابوں میں جو نہیں مل سکا حقیقت میں ڈھونڈھتا پھر رہا ہوں خوابوں میں فیصلہ تو تمہیں کو کرنا ہے دیکھتے کیا ہو تم گواہوں میں مصلحت کوش ہو گیا مامونؔ گھر کے تنقید کرنے والوں میں

Hindi

नींद चुभने लगी है आँखों में कब तलक जागना है रातों में तुम अगर यूँही बात करते रहे बीत जाएगा वक़्त बातों में उँगलियाँ हो गईं फ़िगार अपनी छुप गया है गुलाब काँटों में शायद अपना पता भी मिल जाए झाँकता हूँ तिरी निगाहों में सब है तेरे सवाल में पिन्हाँ कुछ नहीं है मिरे जवाबों में जो नहीं मिल सका हक़ीक़त में ढूँढता फिर रहा हूँ ख़्वाबों में फ़ैसला तो तुम्हीं को करना है देखते क्या हो तुम गवाहों में मस्लहत-कोश हो गया 'मामून' घिर के तन्क़ीद करने वालों में

niiñd chubhne lagī hai āñkhoñ meñ
Khaleel Mamoon
Khaleel Mamoon
Khaleel Mamoon
poet48 quotes

More by Khaleel Mamoon

View all →
Quote
"fanaa ke raaste phulon se bhar gae shaayad sitaare manzil-e-shab se guzar gae shaayad na aah dil mein na aankhon mein ashk baaqi hain havaas rishta-e-gham paar kar gae shaayad jo nuur bharte the zulmaat-e-shab ke sahraa mein vo chaand taare falak se utar gae shaayad mahakte phuul jo yaadon mein muskuraate the nafas ki tez havaa se bikhar gae shaayad vafaa ki raah mein jo qaafile ravaan the kahin vo manzilon kaa pataa hi bisar gae shaayad chalo yahaan se kahin aur mar rahein maamun tuyur-e-gham bhi makaan khaali kar gae shaayad"
Khaleel MamoonKhaleel Mamoon
Quote
"gumaan-e-zakhm-e-tamannaa thaa ab talak mujh ko nahin hai daagh bhi dil mein na thi bhanak mujh ko chalaa gayaa to kabhi lauT kar nahin aayaa pukaartaa rahaa aaina-e-falak mujh ko ab is ko DhunDhtaa phirtaa huun shahr o dariyaa mein chalaa gayaa vo dikhaa kar bas ik jhalak mujh ko niDhaal huun main gham-e-dil se hosh kab hai mujhe banaae rakhti hai ik huuk ik kasak mujh ko mujhe to ishq hai phulon mein sirf khushbu se bulaa rahi hai kisi laala ki mahak mujh ko naqaab uTThaa to ik shoala saa bhaDak uTThaa jalaa gai hai tire chehre ki jhamak mujh ko taras rahaa thaa ujaalon ko kab se main 'maamun' par andhaa kar gai suraj ki ik chamak mujh ko"
Khaleel MamoonKhaleel Mamoon

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri