SHAWORDS

niyyat ho agar nek to detaa hai khudaa bhi — Athar Shakeel

HomeAthar ShakeelGhazal
"niyyat ho agar nek to detaa hai khudaa bhi karte hain amal log to miltaa hai sila bhi baatin ki haraarat se phunke jaate hain tan-man purvaai bhi chalti hai barasti hai ghaTaa bhi chhu kar nahin guzri hai tiri zulf-e-muattar is baar to mahrum chali aai sabaa bhi ik tum ho ki bichhDe to bichhaD hi gae ham se milte hain bahut log to hote hain judaa bhi aadaab-e-mohabbat the ki daaman nahin chhoDaa tum duur na the duur na the band-e-qabaa bhi kis yaas ke aalam mein hon kyaa jaaniye 'athar' muddat hui aai nahin honTon pe duaa bhi"
Urdu

نیت ہو اگر نیک تو دیتا ہے خدا بھی کرتے ہیں عمل لوگ تو ملتا ہے صلہ بھی باطن کی حرارت سے پھنکے جاتے ہیں تن من پروائی بھی چلتی ہے برستی ہے گھٹا بھی چھو کر نہیں گزری ہے تری زلف معطر اس بار تو محروم چلی آئی صبا بھی اک تم ہو کہ بچھڑے تو بچھڑ ہی گئے ہم سے ملتے ہیں بہت لوگ تو ہوتے ہیں جدا بھی آداب محبت تھے کہ دامن نہیں چھوڑا تم دور نہ تھے دور نہ تھے بند قبا بھی کس یاس کے عالم میں ہوں کیا جانیے اطہرؔ مدت ہوئی آئی نہیں ہونٹوں پہ دعا بھی

Hindi

निय्यत हो अगर नेक तो देता है ख़ुदा भी करते हैं अमल लोग तो मिलता है सिला भी बातिन की हरारत से फुंके जाते हैं तन-मन पुर्वाई भी चलती है बरसती है घटा भी छू कर नहीं गुज़री है तिरी ज़ुल्फ़-ए-मुअत्तर इस बार तो महरूम चली आई सबा भी इक तुम हो कि बिछड़े तो बिछड़ ही गए हम से मिलते हैं बहुत लोग तो होते हैं जुदा भी आदाब-ए-मोहब्बत थे कि दामन नहीं छोड़ा तुम दूर न थे दूर न थे बंद-ए-क़बा भी किस यास के आलम में हों क्या जानिए 'अतहर' मुद्दत हुई आई नहीं होंटों पे दुआ भी

niyyat ho agar nek to detā hai ḳhudā bhī
Athar Shakeel
Athar Shakeel
Athar Shakeel
poet23 quotes

More by Athar Shakeel

View all →
Quote
"jaise hi chashm-e-ravaaq se gir gayaa jagmagaataa diyaa taaq se gir gayaa ek laghzish se donon hi rusvaa hue vo nazar se main aafaaq se gir gayaa she'r kahne ko likkhaa thaa main ne abhi ek mazmun auraaq se gir gayaa us ki nazron se main kyaa giraa ek baar yuun lagaa jaise aafaaq se gir gayaa ek beTaa takabbur ke aakaash se baap ke lafz ik aaq se gir gayaa tirgi jab na miT paai sukhaa diyaa TimTimaataa huaa taaq se gir gayaa tamkanat ke sabab ik amir-ul-muluk yaad rakh chashm-e-khallaaq se gir gayaa"
Athar ShakeelAthar Shakeel
Quote
"subh bhi hoti rahi mahtaab bhi Dhaltaa rahaa zindagi kaa kaarvaan chaltaa rahaa chaltaa rahaa saaneha kyaa us pe guzraa kaun uTh kar dekhtaa ahl-e-khaana so gae lekin diyaa jaltaa rahaa mere khvaabon ki koi buniyaad bhi thi kyaa kahun barf kaa parbat thaa ik galtaa rahaa galtaa rahaa aakhiri vaqt aa gayaa to sochtaa huun dosto aaj kaa jo masala thaa kal pe kyuun Taltaa rahaa saamne ke dushmanon se bach ke rahnaa sahl thaa aastin kaa saanp thaa baDhtaa rahaa paltaa rahaa haadse ki vo kahaani mukhtasar si hai 'shakil' baansuri bhi baj rahi thi shahr bhi jaltaa rahaa"
Athar ShakeelAthar Shakeel
Quote
"haasil kabhi jo us ki mohabbat na ho hamein pal-bhar ki bhi hayaat mein raahat na ho hamein shikve jo tum se hain vo tavaqqoa ke saath hain ummid gar na ho to shikaayat na ho hamein jazbaatiyat mein tark-e-taalluq to kar chuke kal apne faisle pe nadaamat na ho hamein ye aur baat hai ki labon se nahin ayaan ye to nahin ki tum se mohabbat na ho hamein neamat ki tarah dil pe lage hain tumhaare zakhm kaafir kaho jo Tiis mein raahat na ho hamein kahte nahin zabaan se 'athar-shakil' ham ye to nahin ki gham se aziyyat na ho hamein"
Athar ShakeelAthar Shakeel
Quote
"chaahat ko zindagi ki zarurat samajh liyaa ab gham ko ham ne teri inaayat samajh liyaa khaate rahe hain ziist mein kyaa kyaa mughaalate qaamat ko is hasin ki qayaamat samajh liyaa kirdaar kyaa rahaa hai kabhi ye bhi sochte sajde kiye to un ko ibaadat samajh liyaa resham se narm lahje ke pichhe mafaad thaa is taajiri ko ham ne sharaafat samajh liyaa ab hai koi husain na lashkar husain kaa sar kaT gae to ham ne shahaadat samajh liyaa is tarah umr chain se kaaTi 'shakil' ne dukh us se jo milaa use raahat samajh liyaa"
Athar ShakeelAthar Shakeel

More on Dua

View all →
Quote
"tujh ko khiffat se bachaa luun paani tishnagi apni chhupaa luun paani khaak uDti hai har ik chehre par kis ki aankhon se nikaalun paani dhuup dariyaa pe nazar rakhti hai tujh ko kuuze mein chhupaa luun paani uDte phirte hain saron par baadal khvaab aankhon mein basaa luun paani roz bachchon ko sulaa duun yunhi roz patthar ko ubaalun paani aag se kheltaa hai kal mujh ko aa tujhe apnaa banaa luun paani khaarzaaron pe chalun nange paanv khushk dharti ki duaa luun paani sabr ki had bhi to kuchh hoti hai kitnaa palkon pe sambhaalun paani bhuul jaaun na kahin tairaaki kyuun na kashti hi jalaa luun paani apni vahshat kaa ik izhaar sahi kar ke sard aag jalaa luun paani zakhm ho phuul ho yaa angaara ho jo raushan to bulaa luun paani shart hai teri rifaaqat varna vaqt ki aag mein Daalun paani aag matlub-e-lab-e-tishna hai main tujhe kaise bulaa luun paani chashm-e-ahbaab jo ho khushk 'ataa' khuun ko apne banaa luun paani"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ilaahi mahshar mein bahr-e-pursish jab ek darbaar aam hogaa miri baghal mein suraahi hogi zabaan par teraa naam hogaa nasib tujh ko nahin ye neamat to zahmat-e-tur kar gavaaraa yahaan to hote hain roz jalve kalim tujh ko kalaam hogaa nigah rahe aasmaan pe teri hai taair-e-arsh-aashiyaan tu nazar mein jis ki zamin hogi vahi giraftaar-e-daam hogaa qubul kar markaz-e-haqiqat tiraa makaan laa-makaan hai ai dil majaaz ke daaere mein aakar fuzul paaband-e-naam hogaa harim-e-kaaba-o-dair donon hain qaabil-e-ehtiraam lekin nazaaa-e-baaham ke hon na markaz to phir dili-ehtiraam hogaa tu nashsha-e-zohd kaa hai taalib tujhe kahaan vajd-e-jaavedaani jo rind-e-mast-e-mudaam hogaa vo raazdaar-e-davaam hogaa shuur kahte hain jis ko aaqil vo roz mehvar badal rahaa hai jo aa gayaa jaada-e-junun mein sukun mein us kaa qiyaam hogaa na hongi hal mushkilaat 'aiman' fuzul sab koshishein hain teri khudaa se imdaad ki duaa kar baghair is ke na kaam hogaa"
A
Aiman Amritsari
Quote
"dam-ba-khud meri anaa teri adaa bhi dam-ba-khud tere pahlu mein rahaa main aur rahaa bhi dam-ba-khud dekhiye pahle lahu Tapke ki phailein kirchiyaan dam-ba-khud teri nazar bhi aaina bhi dam-ba-khud itnaa sannaaTaa ki jaise avvalin shaam-e-firaaq dam-ba-khud hai aasmaan bhi aur havaa bhi dam-ba-khud yaad hai tujh ko vo pahle lams ki hiddat ki jab rah gai thi dafatan teri hayaa bhi dam-ba-khud ek se aalam mein donon mukhtalif asbaab se dam-ba-khud teraa karam meri duaa bhi dam-ba-khud aisaa lagtaa hai ki donon se nahin nisbat mujhe dam-ba-khud umr-e-ravaan sail-e-fanaa bhi dam-ba-khud khauf-e-tajdid-e-taaluq darmiyaan haail rahaa dam-ba-khud teraa sitam meraa galaa bhi dam-ba-khud yuun gumaan hotaa hai donon ki tavaqqoa ek thi dam-ba-khud teri vafaa meri sazaa bhi dam-ba-khud jab khule meri haqiqat tum vo manzar dekhnaa dam-ba-khud naa-aashnaa bhi aashnaa bhi dam-ba-khud"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"yaar ke bhes mein mahbub sitamgar niklaa phuul ham jis ko samajhte the vo patthar niklaa ek roTi ke evaz de gayaa jannat ki duaa mere kuche kaa bhikaari bhi mukhayyar niklaa aaj-kal aankh kaa dekhaa bhi ghalat hotaa hai jis ko samjhe the apaahij vo tavangar niklaa vaqt kamzor ko shah-zor banaa detaa hai shaam ko Duubaa magar subh mein khaavar niklaa ghar badalne se bhi taqdir badal jaati hai siip mein paani paDaa ban ke vo gauhar niklaa jo mire zehn-o-takhayyul mein bahut unchaa thaa us kaa qad taalib-e-duniyaa ke baraabar niklaa jis ke zimme thi mire ghar ki hifaazat 'muztar' dushmanon kaa mire vo shakhs bhi ham-sar niklaa"
Muztar AzmiMuztar Azmi