SHAWORDS

nuur barsegaa raat bhar chhat par — Deepak Agrawal

HomeDeepak AgrawalGhazal
"nuur barsegaa raat bhar chhat par aaj aaegaa vo nazar chhat par kaash ham bhiig jaaein baarish mein aur vo bhi ho tar-ba-tar chhat par sahmaa sahmaa saa dekhtaa huun main aur aati hai vo niDar chhat par din Dhale dudhiyaa ujaalaa hai lag gai aag is qadar chhat par dekh kar us ko munh chhupaa letaa chaand hotaa kahin agar chhat par"
Urdu

نور برسے گا رات بھر چھت پر آج آئے گا وہ نظر چھت پر کاش ہم بھیگ جائیں بارش میں اور وہ بھی ہو تربتر چھت پر سہما سہما سا دیکھتا ہوں میں اور آتی ہے وہ نڈر چھت پر دن ڈھلے دودھیا اجالا ہے لگ گئی آگ اس قدر چھت پر دیکھ کر اس کو منہ چھپا لیتا چاند ہوتا کہیں اگر چھت پر

Hindi

नूर बरसेगा रात भर छत पर आज आएगा वो नज़र छत पर काश हम भीग जाएँ बारिश में और वो भी हो तर-ब-तर छत पर सहमा सहमा सा देखता हूँ मैं और आती है वो निडर छत पर दिन ढले दूधिया उजाला है लग गई आग इस क़दर छत पर देख कर उस को मुँह छुपा लेता चाँद होता कहीं अगर छत पर

nuur barsegā raat bhar chhat par
Deepak Agrawal
Deepak Agrawal
Deepak Agrawal
poet27 quotes

More by Deepak Agrawal

View all →
Quote
"tapte sahraa mein bhi dariyaa kaa bharam rakhte hue ham ne khushiyon se bhi rishta rakhaa gham rakhte hue bhuul baiThaa main ki kyaa chiiz hansi hoti hai apni aankhon ko sadaa ashkon se nam rakhte hue baat karni hi zaruri hai to phir karte rahein haan magar thoDaa saa aavaaz ko kam rakhte hue us ne jab khud ko sanvaaraa to sanvaaraa aise zindagi ki tarah zulfon mein bhi kham rakhte hue bas nikal jaaeinge kuchh roz mein is daldal se ham ne sochaa thaa yahi pahlaa qadam rakhte hue"
Deepak AgrawalDeepak Agrawal
Quote
"har 'ishq se jo ishq-e-vatan hai vo alag hai miTTi ki hifaazat ki lagan hai vo alag hai milne ko to mil jaataa hai har laash ko kapDaa ik viir ke tan par jo kafan hai vo alag hai suraj se kaho aag nahin phuul bikhere mahbub kaa mere jo badan hai vo alag hai is daur ke suraj to kai baar ugeinge is shaam ke maathe pe shikan hai vo alag hai zaalim ke taraf-daar nahin hain to nahin hain kamzor ke haq mein jo tapan hai vo alag hai paa lene ki khvaahish to bahut 'aam chalan hai dil mein mere us ki jo agan hai vo alag hai hone ko to hoti rahi naakaam mohabbat raadhaa kaa magar shyaam sajan hai vo alag hai maanaa hai talabgaar tire husn kaa 'dipak' par jo talab-e-daar-o-rasan hai vo alag hai"
Deepak AgrawalDeepak Agrawal
Quote
"mire chaman mein kisi bhi gul kaa shabaab baaqi na rah sakegaa vo meri aankhon mein jhaank legaa to khvaab baaqi na rah sakegaa use na chheDo vo ek hi hai ki jis ke dam se sabhi hain qaaem agar chukaane pe aa gayaa to hisaab baaqi na rah sakegaa baDe farebi hain jaan lenaa nahin hain saada zamaane vaale jo khaar tum ne alag kiye to gulaab baaqi na rah sakegaa main us ke baare mein gar bataa duun tum us ke baare mein jaan lo gar to naam mein us ke jo lagaa hai janaab baaqi na rah sakegaa jo chup huun main to ye mat samajhnaa tumhaari koi khataa nahin hai savaal karne lagungaa main to javaab baaqi na rah sakegaa tujhe khabar hi nahin hai 'dipak' ki 'ishq ki raushni mein kyaa hai charaagh jalne lagegaa ye to hijaab baaqi na rah sakegaa"
Deepak AgrawalDeepak Agrawal
Quote
"kaun samjhegaa mujhe kaam se pahle pahle mujh ko jaaneinge sabhi naam se pahle pahle kaisi bechaini mujhe gher rahi hai aa kar kitnaa aaraam thaa aaraam se pahle pahle mujh se Dhalnaa tiraa dekhaa nahin jaataa suraj niind aa jaae mujhe shaam se pahle pahle ab bhi lagtaa hai vo manzar mujhe taaza taaza koi utraa thaa kabhi baam se pahle pahle mere beTe tiri taaqat nahin kamzori hai tujh ko jaaneinge mire naam se pahle pahle aate aate hi main anjaam talak aayaa huun kitne ilzaam the in'aam se pahle pahle"
Deepak AgrawalDeepak Agrawal

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud