"kisi kaa khat hai yaa ye ghazal hai ye kaisaa parcha paDaa huaa hai gulaal se lab bane hain is mein kitaab chehra banaa huaa hai nigaah us ki hai jhiil jaisi kamaan jaisi bhavon ke niche to surkh honTon ke ek jaanib bhi til kaa pahra lagaa huaa hai haan sabz qindil jal rahi hai balaa ki surkhi ubal rahi hai adaa se palkein jhuki huiin hain hayaa kaa aanchal paDaa huaa hai lo ab hamaari saqil aankhein qadim raston pe chal paDi hain vafaa ke khanDar se kuchh pare hi hamaaraa malba paDaa huaa hai safed baalon ke pichhe apni javaan umri ke pal nahin hain hai ahd-e-tifli kaa ek buDhaa jo laDkhaDaataa khaDaa huaa hai bahut hasin hai ye sachchaa moti jo rang se is ke munsalik hai magar use ye khabar nahin hai hamaaraa aansu juDaa huaa hai hai chaap us ki hamaari dhaDkan jo dil mein dhak dhak lagi hui hai firaaq us kaa visaal hi hai vo ban ke dhaDkaa lagaa huaa hai bahut sanvaaraa musavviron ne bahut se Daale hain rang is mein magar ye surat hai meri surat so rang is kaa uDaa huaa hai"
pahle kulfat uThaai daftar ki — Abu Leveeza Ali
"pahle kulfat uThaai daftar ki phir uThe khaak chhaani dar-dar ki tum ko DhunDaa na dil ke khaanon mein ham ne kunDi bajaai har ghar ki ham to sahraa-navard hain bhaai baat kar yuun na ham se tu ghar ki dard se phaT rahaa ho jin kaa sar un ko haajat nahin hai patthar ki teri yaadon se siina chiir liyaa aur baaton ne jaa li khanjar ki dard ko dil kaa de diyaa rasta aur phir ham ne li khabar sar ki maare maare phire tiri khaatir sahraa-surat banaa li hai ghar ki ham ko ik laash to giraani hai kaun silvaT sameTe bistar ki"
پہلے کلفت اٹھائی دفتر کی پھر اٹھے خاک چھانی در در کی تم کو ڈھونڈا نہ دل کے خانوں میں ہم نے کنڈی بجائی ہر گھر کی ہم تو صحرا نورد ہیں بھائی بات کر یوں نہ ہم سے تو گھر کی درد سے پھٹ رہا ہو جن کا سر ان کو حاجت نہیں ہے پتھر کی تیری یادوں سے سینہ چیر لیا اور باتوں نے جا لی خنجر کی درد کو دل کا دے دیا رستہ اور پھر ہم نے لی خبر سر کی مارے مارے پھرے تری خاطر صحرا صورت بنا لی ہے گھر کی ہم کو اک لاش تو گرانی ہے کون سلوٹ سمیٹے بستر کی
पहले कुल्फ़त उठाई दफ़्तर की फिर उठे ख़ाक छानी दर-दर की तुम को ढूँडा न दिल के ख़ानों में हम ने कुंडी बजाई हर घर की हम तो सहरा-नवर्द हैं भाई बात कर यूँ न हम से तू घर की दर्द से फट रहा हो जिन का सर उन को हाजत नहीं है पत्थर की तेरी यादों से सीना चीर लिया और बातों ने जा ली ख़ंजर की दर्द को दिल का दे दिया रस्ता और फिर हम ने ली ख़बर सर की मारे मारे फिरे तिरी ख़ातिर सहरा-सूरत बना ली है घर की हम को इक लाश तो गिरानी है कौन सिलवट समेटे बिस्तर की

More by Abu Leveeza Ali
View all →"palaT jaanaa koi mushkil nahin thaa miraa hi vaapsi kaa dil nahin thaa mataa-e-zist laa-haasil nahin thaa vale paane ke main qaabil nahin thaa vo chhuriyaan dhaar jis par ho rahin thiin miraa hi dil thaa koi sil nahin thaa khulaa baab-e-junun jab mujh pe yaaro miraa tab koi mustaqbil nahin thaa mariz-e-ishq hone tak sunaa hai adhuri zaat thaa kaamil nahin thaa mujhe gharqaab thaa az had zaruri vagarna ziist ke qaabil nahin thaa main pyaasaa thaa magar honTon se mahrum samundar thaa magar saahil nahin thaa na do ilzaam bhaunre ko 'ali' tum vo hargiz phuul kaa qaatil nahin thaa"
"aql thi aagahi ne maar diyaa diid ko raushni ne maar diyaa ek bekas thaa jis ke khvaabon ko us ki be-chaargi ne maar diyaa ham ne chaahaa ki baat ban jaae ziist ki be-rukhi ne maar diyaa dekh kar paani mar gayaa pyaasaa us ko sachchi khushi ne maar diyaa thaa jo apnaa banaa vo an-jaanaa phir usi ajnabi ne maar diyaa kyaa taajjub ki koi baat nahin aadmi aadmi ne maar diyaa"
"shikast-e-khurdgi ke baad hausla nahin huaa jo chukaa pahlaa vaar hi to dusraa nahin huaa kahaa huaa sunaa huaa likhaa huaa nahin huaa hamaare haq mein to koi bhi faisla nahin huaa qadam saqil ho gae tavil raah ho gai malaal thaa kamaal par visaal thaa nahin huaa sukut-e-lab kaa vo sabab hain siskiyaan vo hichkiyaan nigaah-e-ishq se faro vo haadisa nahin huaa tamaam dil ke paarche bikhar chuke zamin par hisaab rakhne vaale kaa muhaasba nahin huaa palaT gae tamaash-bin gai vo shoabada-gari thi gung vo zabaan jab kahaa huaa nahin huaa hui buland ik sadaa ki ab karo vo faisla nigaah-e-naaz-yaafta vo dusraa nahin huaa tumhaare naqsh-e-paa pe main jo chal rahaa huun der se main khatm ho rahaa to huun pa raasta nahin huaa"
"paanv jab mere aasmaan mein the us ghaDi aap hi dhyaan mein the jis ghaDi ham bahut the pur-ummid us ghaDi aap ke jahaan mein the usrat-e-zist ham gharibon par dhuup chhuTi to ham thakaan mein the sair divaar-o-dar ki ki ham ne aish thi raat ham makaan mein the yaad rahte to chuur ho jaate khvaab kyaa kyaa mare gumaan mein the yaad hai ham bhi kaar-aamad the tiir the aur tiri kamaan mein the kis qadar ho chali hai be-zaari dil mein bhi ham the ham to jaan mein the"
"aankh kaa ishaara hai ham pe aashkaaraa hai tir-e-nim-kash hai kab ye nazar to aaraa hai hai jo ishq kaa chakkar sar-ba-sar khasaara hai dard ki hukumat hai aur dukh sahaaraa hai ai miri mataa-e-jaan ham mein kyaa hamaaraa hai dil ko gham hain duniyaa ke aur dil tumhaaraa hai hijr do ghaDi kaa hi aag hai sharaara hai mujh mein ek dariyaa hai aur ik kinaara hai"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"