Quote
"visaal-o-hijr ke dauraaniye paDe hue hain kahin pe khvaab kahin ratjage paDe hue hain lahu kaa rang bhi taaza hai jaa-ba-jaa dekho kahin pe baste kahin qaaede paDe hue hain juDaa huaa hai mire ghar se koi viraana jahaan pe duur talak vaaqiye paDe hue hain tumhaare lams ne lazzat kaa ras nichoDaa hai abhi badan mein kai zaaiqe paDe hue hain main khud ko kaise sanbhaalun jo karbalaa pahunchun qadam qadam pe vahaan saanehe paDe hue hain hamein safar kaa ishaaraa nahin huaa varna zamin pe raaste hi raaste paDe hue hain kisi kaa aks kisi se badal na jaae kahin ik aaine mein kai aaine paDe hue hain"
