SHAWORDS

phir kabhi lauT kar na aaeinge — Habib Jalib

HomeHabib JalibGhazal
"phir kabhi lauT kar na aaeinge ham tiraa shahr chhoD jaaeinge dur-uftaada bastiyon mein kahin teri yaadon se lau lagaaeinge sham-e-maah-o-nujum gul kar ke aansuon ke diye jalaaeinge aakhiri baar ik ghazal sun lo aakhiri baar ham sunaaeinge surat-e-mauja-e-havaa 'jaalib' saari duniyaa ki khaak uDaaeinge"
Urdu

پھر کبھی لوٹ کر نہ آئیں گے ہم ترا شہر چھوڑ جائیں گے دور افتادہ بستیوں میں کہیں تیری یادوں سے لو لگائیں گے شمع ماہ و نجوم گل کر کے آنسوؤں کے دیئے جلائیں گے آخری بار اک غزل سن لو آخری بار ہم سنائیں گے صورت موجۂ ہوا جالبؔ ساری دنیا کی خاک اڑائیں گے

Hindi

फिर कभी लौट कर न आएँगे हम तिरा शहर छोड़ जाएँगे दूर-उफ़्तादा बस्तियों में कहीं तेरी यादों से लौ लगाएँगे शम-ए-माह-ओ-नुजूम गुल कर के आँसुओं के दिए जलाएँगे आख़िरी बार इक ग़ज़ल सुन लो आख़िरी बार हम सुनाएँगे सूरत-ए-मौजा-ए-हवा 'जालिब' सारी दुनिया की ख़ाक उड़ाएँगे

phir kabhī lauT kar na ā.eñge
Habib Jalib
Habib Jalib
Habib Jalib
poet101 quotes

More by Habib Jalib

View all →
Quote
"kam puraanaa bahut nayaa thaa firaaq ik 'ajab ramz-aashnaa thaa firaaq duur vo kab huaa nigaahon se dhaDkanon mein basaa huaa hai firaaq shaam-e-gham ke sulagte sahraa mein ik umanDti hui ghaTaa thaa firaaq amn thaa pyaar thaa mohabbat thaa rang thaa nuur thaa navaa thaa firaaq faasle nafraton ke miT jaaein pyaar hi pyaar sochtaa thaa firaaq ham se ranj-o-alam ke maaron ko kis mohabbat se dekhtaa thaa firaaq 'ishq insaaniyat se thaa us ko har ta'assub se maavaraa thaa firaaq"
Habib JalibHabib Jalib
Quote
"kahin aah ban ke lab par tiraa naam aa na jaae tujhe bevafaa kahun main vo maqaam aa na jaae zaraa zulf ko sambhaalo miraa dil dhaDak rahaa hai koi aur taair-e-dil tah-e-daam aa na jaae jise sun ke TuuT jaae miraa aarzu bharaa dil tiri anjuman se mujh ko vo payaam aa na jaae vo jo manzilon pe laa kar kisi ham-safar ko luTein unhin rahzanon mein teraa kahin naam aa na jaae isi fikr mein hain ghaltaan ye nizaam-e-zar ke bande jo tamaam-e-zindagi hai vo nizaam aa na jaae ye mah o nujum hans lein mire aansuon pe 'jaalib' miraa maahtaab jab tak lab-e-baam aa na jaae"
Habib JalibHabib Jalib

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"zindagi dushvaar hogi ye kabhi sochaa na thaa vo bagule gham ke uTThe jin kaa andesha na thaa saamne tum aa gae ho to bataa duun jaan-e-jaan jaise dil dhaDkaa thaa ab ki vaise dil dhaDkaa na thaa ye iraada kar liyaa thaa ham na bichhDeinge kabhi TuTeinge ik pal mein rishte ye kabhi sochaa na thaa yaad-e-maazi miT rahi hai vaqt ki raftaar se ab tasavvur mein hamaare koi bhi chehra na thaa sakht hairat ho rahi hai dekh kar apnaa vajud dhuup mein the sab ke saaye par miraa saayaa na thaa shauq-e-manzil dekh meri dekh meraa hausla shahr-e-dil ke raaston mein main kabhi Thahraa na thaa 'qalb' ko sahraa-navardi raas kyaa aati bhalaa vo kabhi aavaargi mein dar-ba-dar bhaTkaa na thaa"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"jahaan-e-dard-o-gham hai aur main huun tiraa naqsh-e-qadam hai aur main huun kisi ki aankh nam hai aur main huun vufur-e-shauq kam hai aur main huun mujhe hai daulat-e-kaunain haasil mire rab kaa karam hai aur main huun main apne aap ko pahchaantaa huun miraa apnaa bharam hai aur main huun yahi kyaa kam hai duniyaa-e-vafaa mein mujhe ehsaas-e-gham hai aur main huun kisi ki yaad kaa ehsaan hai mujh par sukun-e-dil baham hai aur main huun mujhe 'mahmud' koi Dar nahin hai miraa apnaa qalam hai aur main huun"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari