SHAWORDS

phir mausam-e-gul aayaa zakhmon pe bahaar aai — Ain Tabish

HomeAin TabishGhazal
"phir mausam-e-gul aayaa zakhmon pe bahaar aai phir khilne lage donon main aur miri tanhaai vo baat jo kahni thi vo baat na kahni thi kuchh meri thi rusvaai kuchh teri thi rusvaai taarikh ne muD muD kar donon ko bahut dekhaa ik jabr-e-fazilat thaa ik tarz-e-shakebaai vo raat jo guzri thi vo raat guzarni thi jis subh ko aanaa thaa vo subh nahin aai ham par jo guzarni thi ham par to vo guzri thi gul khilte rahe yunhi gulshan pe na aanch aai"
Urdu

پھر موسم گل آیا زخموں پہ بہار آئی پھر کھلنے لگے دونوں میں اور مری تنہائی وہ بات جو کہنی تھی وہ بات نہ کہنی تھی کچھ میری تھی رسوائی کچھ تیری تھی رسوائی تاریخ نے مڑ مڑ کر دونوں کو بہت دیکھا اک جبر فضیلت تھا اک طرز شکیبائی وہ رات جو گزری تھی وہ رات گزرنی تھی جس صبح کو آنا تھا وہ صبح نہیں آئی ہم پر جو گزرنی تھی ہم پر تو وہ گزری تھی گل کھلتے رہے یونہی گلشن پہ نہ آنچ آئی

Hindi

फिर मौसम-ए-गुल आया ज़ख़्मों पे बहार आई फिर खिलने लगे दोनों मैं और मिरी तन्हाई वो बात जो कहनी थी वो बात न कहनी थी कुछ मेरी थी रुस्वाई कुछ तेरी थी रुस्वाई तारीख़ ने मुड़ मुड़ कर दोनों को बहुत देखा इक जब्र-ए-फ़ज़ीलत था इक तर्ज़-ए-शकेबाई वो रात जो गुज़री थी वो रात गुज़रनी थी जिस सुब्ह को आना था वो सुब्ह नहीं आई हम पर जो गुज़रनी थी हम पर तो वो गुज़री थी गुल खिलते रहे यूँही गुलशन पे न आँच आई

phir mausam-e-gul aayā zaḳhmoñ pe bahār aa.ī
Ain Tabish
Ain Tabish
Ain Tabish
poet44 quotes

More by Ain Tabish

View all →
Quote
"khaaksaari thi ki bin dekhe hi ham khaak hue aur kabhi maarka-e-fath-o-zafar dekh na paae us ne dekhaa hai to phir dekhnaa kyaa ho jaae dekhte rahnaa hai zaalim ko idhar dekh na paae be-hunar dekh na sakte the magar dekhne aae dekh sakte the magar ahl-e-hunar dekh na paae ho gae khvaahish-e-nazzaara se be-khud itne dekhnaa chaahte the us ko magar dekh na paae kab use lauT ke dekheinge ye dekhaa jaae ham ne duniyaa to bahut dekh li ghar dekh na paae log jab dekhne par aae to itnaa dekhaa aankh pathraa gai aur had-e-nazar dekh na paae vo bhi kyaa dekhnaa thaa dekhne vaale bole jalva har-chand rahaa pesh-e-nazar dekh na paae diip jalte rahe taaqon mein ujaalaa na huaa aankh paaband-e-tahayyur thi udhar dekh na paae ye tayaqqun nahin hotaa thaa kidhar dekh sake ye ta'ayyun nahin hotaa thaa kidhar dekh na paae vo taghaaful thaa ki us ne hamein dekhaa hi nahin vo tasaahul thaa ki ham us ki nazar dekh na paae is qadar tez chali ab ke havaa-e-naa-bud chaah kar shahr-e-tamannaa kaa khanDar dekh na paae yuun huaa dil-zadagaan lauT gae aakhir-e-shab raat to jaag ke kaaTi thi sahar dekh na paae kis ne dekhi hai ujaalon se sulagti hui raat aur jo dekh sake khvaab-e-sahar dekh na paae"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"ab to vo zamin hai na zamaana hai udhar kaa bas ham hain idhar aur fasaana hai udhar kaa jo kuchh hai muqaabil vo muqaabil kaa nahin hai jo kuchh hai mayassar vo khazaana hai udhar kaa ik jaan jo mire paas hai nazr-e-digaraan hai ik dil jo idhar hai vo divaana hai udhar kaa tu sar pe kafan baandh ke niklaa hai udhar ko ye sheva magar jaadu-garaana hai udhar kaa ai sokhta-jaan kuchh to idhar ki bhi khabar rakh ye kyaa tujhe le de ke bahaana hai udhar kaa ab aisaa tarah-daar idhar to nahin koi dastaar bataati hai gharaanaa hai udhar kaa"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"ai mire 'aks-e-ziyaan-kaar ye ji chaahtaa hai aaina toD duun is baar ye ji chaahtaa hai ji bahut chaahtaa hai toD duun sab divaarein khuub maa'lum hai be-kaar ye ji chaahtaa hai phir vahi khvaab ki taa'bir ho jis ki naapaid aur vahi dida-e-khun-baar ye ji chaahtaa hai chahl-khaana koi aur ganj-e-giraan-maaya koi raat ho darpae-aazaar ye ji chaahtaa hai dil pe jab ranj-e-giraan-baar ziyaada ho jaae khiDkiyaan khol mire yaar ye ji chaahtaa hai aisaa saudaa ho ki ham apne hi haathon bik jaaein ham hi baazaar-o-kharidaar ye ji chaahtaa hai subh hone mein bahut der agar hoti hai toD dein raat ki divaar ye ji chaahtaa hai"
Ain TabishAin Tabish
Quote
"kai mausam andheri raat ke album se nikle to ham bhi haath baandhe ik hisaar-e-gham se nikle 'ajab hairat mein the khvaabon nahaae phuul chehre bhari barsaat mein jab girya-e-paiham se nikle rakhaa thaa aatish-e-sayyaal par namnaak manzar vo bas ik vahm thaa jis huzn ke 'aalam se nikle dam-e-rukhsat bahut ashkon ne ki thi chaara-saazi tilism-e-aab jaise qatra-e-zamzam se nikle sukut-e-shab mein ik hangaama barpaa ho gayaa thaa puraane kuchh dar-o-divaar jab album se nikle sukut-e-vaqt ne hangaama barpaa kar diyaa thaa puraane gumbad-o-mehraab jab album se nikle"
Ain TabishAin Tabish

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri