"munh banaae hue phirtaa hai vo kal se ham se koi aaj us ko milaa de kasi kal se ham se naala-o-aah-o-fughaan kyuun na huun hamdam apne dosti ishq ko hai roz-e-azal se ham se naala khaamosh phir aazurda na ho jaae kahin aaj bolaa hai vo kas radd-o-badal se ham se khauf rakhte hain tari kam-nigahi kaa varna yaar Darte hain koi tegh-e-ajal se ham se 'joshish' us arbada-ju turk-e-sitam-gaar ne aaj aashti ki hai baDi jang-o-jadal se ham se"
piiri mein bhalaa DhunDhiye kyaa bakht-e-javaan ko — Joshish Azimabadi
"piiri mein bhalaa DhunDhiye kyaa bakht-e-javaan ko ab qat-e-mohabbat hi hui jism se jaan ko mauquf kar is bazm mein ye charb-zabaani ai shama tu kaTvaae hai kyuun apni zabaan ko be-naam-o-nishaani hi baDaa naam-o-nishaan hai kyaa naam-o-nishaan chaahiye benaam-o-nishaan ko is manzil-e-hasti mein Thahartaa nahin koi kyaa jaane ki ye qaafila jaataa hai kahaan ko insaan to hai surat-e-haq kaabe mein kyaa hai ai shaikh bhalaa kyuun na karun sajde butaan ko 'joshish' gul-e-mazmun-e-chaman taba kaa tere dekhe na kabhi taa-ba-abad ru-e-khizaan ko"
پیری میں بھلا ڈھونڈھئے کیا بخت جواں کو اب قطع محبت ہی ہوئی جسم سے جاں کو موقوف کر اس بزم میں یہ چرب زبانی اے شمع تو کٹوائے ہے کیوں اپنی زباں کو بے نام و نشانی ہی بڑا نام و نشاں ہے کیا نام و نشاں چاہئے بے نام و نشاں کو اس منزل ہستی میں ٹھہرتا نہیں کوئی کیا جانے کہ یہ قافلہ جاتا ہے کہاں کو انسان تو ہے صورت حق کعبے میں کیا ہے اے شیخ بھلا کیوں نہ کروں سجدے بتاں کو ؔجوشش گل مضمون چمن طبع کا تیرے دیکھے نہ کبھی تا بہ ابد روئے خزاں کو
पीरी में भला ढूँढिए क्या बख़्त-ए-जवाँ को अब क़त्-ए-मोहब्बत ही हुई जिस्म से जाँ को मौक़ूफ़ कर इस बज़्म में ये चर्ब-ज़बानी ऐ शम्अ तू कटवाए है क्यूँ अपनी ज़बाँ को बे-नाम-ओ-निशानी ही बड़ा नाम-ओ-निशाँ है क्या नाम-ओ-निशाँ चाहिए बेनाम-ओ-निशाँ को इस मंज़िल-ए-हस्ती में ठहरता नहीं कोई क्या जाने कि ये क़ाफ़िला जाता है कहाँ को इंसान तो है सूरत-ए-हक़ काबे में क्या है ऐ शैख़ भला क्यूँ न करूँ सज्दे बुताँ को 'जोशिश' गुल-ए-मज़मून-ए-चमन तब्अ का तेरे देखे न कभी ता-ब-अबद रू-ए-ख़िज़ाँ को
More by Joshish Azimabadi
View all →"kijiye rindi kaa pesha shisha shisha hai sharaab lijiye ik ghunT shisha shisha shisha hai sharaab shisha-e-khaali na dekhaa saaqiyaa kuchh gham nahin taak ke resha-ba-resha shisha shisha hai sharaab jalva-e-mastaana se shirin ke har ik ang mein ghaur se Tuk dekh tesha shisha shisha hai sharaab us shikaar-afgan ki chashm-e-mast se ai mai-kasho ho gayaa mai-khaana besha shisha shisha hai sharaab misra-e-'sarvat' ne 'joshish' mast o divaana kiyaa dasht-dar-dasht besha besha shisha shisha hai sharaab"
"ahl-e-jahaan ke milne se ham ehtiraaz kar baiThe hain gosha-gir ho is dil se saaz kar surat usi ki hai mutajalli har ek mein dekhe jo koi chashm-e-haqiqat ko baaz kar sajda jise karein hain vo har-su hai jalva-gar jidhar tiraa mizaaj ho udhar namaaz kar go aasmaan par bhi uDaa tu to kyaa huaa main kaun huun kahaan huun ye bhi imtiyaaz kar kal ek pal bhi tu na thamaa us ke ru-ba-ru ai ashk kyaa milaa tujhe ifshaa-e-raaz kar 'joshish' ho jab talak ki haqiqat se tujh ko raah tab tak baraae-shughl tu sair-e-majaaz kar"
"nahin mo'taqid jo tire diid kaa main divaana huun us ki fahmid kaa taalluq kisi se nahin ghair-e-haq ye aalam huaa apni tajrid kaa khayaal-e-do-aalam huaa dil se duur yahaan vaqr kyaa jaam-e-jamshed kaa ham-aaghosh vo mujh se ho yaa na ho divaanaa huun main diid vaa diid kaa yahaan naa-muraadi hai ain-e-muraad na ho baarvar nakhl ummid kaa ye kuche mein laila ke majnun na ho iram mein hai goyaa shajar bed kaa tiraa sher 'joshish' tujhe hai pasand tu muhtaaj hai kis ki taaid kaa"
"apni vo be-sabaat hasti hai ki sadaa nisti hi hansti hai naam sunte ho jis kaa viraana vahi saudaaiyon ki basti hai shama se haath khinch ai gul-gir itni bhi kyaa daraaz-dasti hai chashm-e-vahdat se gar koi dekhe but-parasti bhi haq-parasti hai apne abr-e-mizha se ai 'joshish' jaa-e-aab aag hi barasti hai"
"jab hue tum chaman mein aan khaDe vohin ho gae gulon ke kaan khaDe shukr-e-gham hai ki dil ke maidaan mein aah o naale ke hain nishaan khaDe baiThne ki nahin rahi taaqat hovein kyaa ham se naa-tavaan khaDe us talak baal-e-shauq le pahunchaa rah gae dar pe daarbaan khaDe us ke tir-e-nigaah ki daulat hain dar-e-dil pe mehmaan khaDe be-sabab ham se ruThe jaate ho sun lo Tuk ho ke mehrbaan khaDe diin o imaan o jaan dene ko ham to hain ru-ba-ru har aan khaDe aaj vo imtihaan le 'joshish' ham bhi hain bahr-e-imtihaan khaDe"
More on Sham
View all →"qismat se jis kisi ko tiraa aastaan mile us kaa mizaaj farsh-e-zamin par kahaan mile har ek ko ye rutba-e-aali kahaan mile vo khush-nasib hai jise dard-e-nihaan mile sahbaa-e-ishq maarifat-e-haq mile mujhe phir kuchh yahaan mile na mujhe kuchh vahaan mile tufaan ki zad pe rakkhi hui shama ki tarah ham log be-amaan hain hamein bhi amaan mile maa'lum ye huaa ki tiri anjuman thi vo ahl-e-zabaan bhi ham ko jahaan be-zabaan mile naadaan hisaar-e-zaat se baahar nikal ke dekh gum-karda kaaenaat kaa shaayad nishaan mile 'hamza' bhaTak rahe hain bhalaa kis dayaar mein chaliye vahaan zamin se jahaan aasmaan mile"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
"saaqi tiraa jamaal bhi meri nazar mein hai main jaantaa huun nuur jo shams-o-qamar mein hai meraa lahu bahaa ke adu mutmain nahin ab meraa khaandaan bhi us ki nazar mein hai akhbaar dekhtaa hai vo hasrat ki aankh se qaari ki zindagi kisi achchhi khabar mein hai yunhi nahin hai shaam se aankhon mein iztiraab khushbu bataa rahi hai koi rahguzar mein hai maanjhi badal badal ke miri fikr thak gai lekin miraa safina abhi tak bhanvar mein hai chhuTkaaraa paa gae hain sabhi is khayaal se insaaniyat kaa dard faqat mere sar mein hai dariyaa ke do kinaare hain milte nahin kabhi 'muztar' azal se bair yahaan khair-o-shar mein hai"
"ho gayaa jis din se apnaa dil udaas ho gai duniyaa ki har mahfil udaas daagh-haa-e-yaas se hai dil udaas sham-e-mahfil se hui mahfil udaas marne vaale jitne the kyaa mar gae phir rahaa hai aaj kyon qaatil udaas dast-e-qaatil mein hinaa hai khuun nahin is liye hai shokhi-e-qaatil udaas pher li kis ne mohabbat ki nigaah ho rahaa hai kyon hamaaraa dil udaas vaqt-e-aakhir kyon na ho afsurdagi subh ko ho jaati hai mahfil udaas bekasi gor-e-gharibaan ki na puchh uf hai kaTti aakhiri manzil udaas aaegaa haan vo sitamgar aaegaa ho na itnaa 'muztar'-e-be-dil udaas"
"jab se aayaa huun tere gaanv mein rang hi rang hain fazaaon mein aa ki dukh sukh ki koi baat karein baiTh kar shishamon ki chhaanv mein main bhi kartaa huun zabt ki koshish to bhi takhfif kar adaaon mein vo tiraa dafatan bichhaD jaanaa vo miraa dekhnaa khalaaon mein ho agar koi gosh-bar-aavaaz ik khamoshi bhi hai sadaaon mein yahi mere liye ghanimat hai saans le luun khuli fazaaon mein"
"malte hain haath, haath lageinge anaar kab joban kaa un ke dekhiye hogaa ubhaar kab ushshaaq muntazir hain qayaamat kab aaegi be-parda munh dikhaaegaa vo parda-daar kab ik roz apni jaan pe ham khel jaaeinge tum puchhte rahoge yunhi baar baar kab bekas ko kaun roe gharibon kaa kaun hai meri lahad pe shama hui ashk-baar kab kaun aayaa paDhte faatiha kis ne chaDhaae phuul marne ke baad puchhtaa hai koi yaar kab ummid naa-umid ko un se nahin rahi dushman ke dost hain vo hue mere yaar kab jo unche unche hain vahi jaate hain baam par mahfil mein ham gharibon ko miltaa hai yaar kab jab naqd maal tu ne diyaa ham ne naqd-e-dil saaqi hamein bataa de ki pi thi udhaar kab milnaa chhuDaayaa tum se miraa rashk-e-ghair ne kartaa hai koi aap se jabr ikhtiyaar kab 'aaghaa' ko zabh karte ho apni gali mein kyuun jaaez hai meri jaan haram mein shikaar kab"