SHAWORDS

pyaar kaa paudaa ik lagaayaa hai — Abid Maroof Mughal

"pyaar kaa paudaa ik lagaayaa hai aur mohabbat kaa din manaayaa hai dil mein sab ke utar chukaa hai vo giit jo tum ne kal sunaayaa hai mujh pe ilzaam aa gayaa kaise dil kisi aur ne churaayaa hai kaise dushman mujhe haraaeinge sar pe maan ki duaa kaa saaya hai aaj phir tirgi ke saae the ik diyaa aaj phir jalaayaa hai haar kar bhi khushi hui 'aabid' apne beTe ne hi haraayaa hai"
Urdu

پیار کا پودا اک لگایا ہے اور محبت کا دن منایا ہے دل میں سب کے اتر چکا ہے وہ گیت جو تم نے کل سنایا ہے مجھ پہ الزام آ گیا کیسے دل کسی اور نے چرایا ہے کیسے دشمن مجھے ہرائیں گے سر پہ ماں کی دعا کا سایہ ہے آج پھر تیرگی کے سائے تھے اک دیا آج پھر جلایا ہے ہار کر بھی خوشی ہوئی عابدؔ اپنے بیٹے نے ہی ہرایا ہے

Hindi

प्यार का पौदा इक लगाया है और मोहब्बत का दिन मनाया है दिल में सब के उतर चुका है वो गीत जो तुम ने कल सुनाया है मुझ पे इल्ज़ाम आ गया कैसे दिल किसी और ने चुराया है कैसे दुश्मन मुझे हराएँगे सर पे माँ की दुआ का साया है आज फिर तीरगी के साए थे इक दिया आज फिर जलाया है हार कर भी ख़ुशी हुई 'आबिद' अपने बेटे ने ही हराया है

pyaar kā paudā ik lagāyā hai
Abid Maroof Mughal
Abid Maroof Mughal
Abid Maroof Mughal
poet27 quotes

More by Abid Maroof Mughal

View all →
Quote
"rang us kaa badalne vaalaa hai nayaa suraj nikalne vaalaa hai maut ki oT mein na ho jaaun phir koi tiir chalne vaalaa hai bhuuk peTon mein sarsaraane lagi saanp insaan nigalne vaalaa hai saari khilqat hai aaj sahmi hui koi laavaa ubalne vaalaa hai kab ye mumkin hai sach na khul paae kab ye tufaan Talne vaalaa hai us ko apnon ki kyaa khabar hai ki jo dar pe ghairon ke palne vaalaa hai apne hi ghar ki fikr hai sab ko shahr to saaraa jalne vaalaa hai jis ke honTon pe jhuuT rahtaa thaa aakhirash sach ugalne vaalaa hai"
Abid Maroof MughalAbid Maroof Mughal

More on Maa

View all →
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"hai jo ik maa'raka faisal nahin hone detaa jin vo ho ke mujhe botal nahin hone detaa qatl ik roz hi kartaa huun isi goshe mein aur saabit ise maqtal nahin hone detaa zid hai us ki ki har ik shaakh ho phir sabz hi sabz garche paidaa koi konpal nahin hone detaa raushni apne khayaalon hi se karni hogi koi raushan kahin mash'al nahin hone detaa chun-ki miTTi ki bhi ek apni alag khushbu hai main kahin bhi ise sandal nahin hone detaa ik parinda ki jo sahtaa hai havaaon kaa dabaao aur parvaaz ko paidal nahin hone detaa Dar hai us ko nazar aae na kahin zehn kaa 'aks vo miraa aaina saiqal nahin hone detaa tiraa qaanun hai jangal kaa ghanimat hai ki tu mire is shahr ko jangal nahin hone detaa chalo baat us ki sunein ek 'ajab mantiq se jo kisi baat ko muhmal nahin hone detaa"
M
M. Qamruddin
Quote
"muzhda ai zauq-e-asiri ki nazar aataa hai daam-e-khaali qafas-e-murgh-e-giraftaar ke paas jigar-e-tishna-e-aazaar tasalli na huaa ju-e-khun ham ne bahaai bun-e-har khaar ke paas mund gaiin kholte hi kholte aankhein hai hai khuub vaqt aae tum is 'aashiq-e-bimaar ke paas main bhi ruk ruk ke na martaa jo zabaan ke badle dashna ik tez saa hotaa mire gham-khvaar ke paas dahan-e-sher mein jaa baiThe lekin ai dil na khaDe ho jiye khubaan-e-dil-aazaar ke paas dekh kar tujh ko chaman bas-ki numu kartaa hai khud-ba-khud pahunche hai gul gosha-e-dastaar ke paas mar gayaa phoD ke sar 'ghaalib'-e-vahshi hai hai baiThnaa us kaa vo aa kar tiri divaar ke paas kab faqiron ko rasaai bu-e-mai-khvaar ke paas to bane bu dijiye maikhaane ki divaar ke paas"
Mirza GhalibMirza Ghalib
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
Irfan SattarIrfan Sattar