SHAWORDS

qufl-e-zindaan aaj kholaa jaaegaa — Mohammad Baqar Shams

"qufl-e-zindaan aaj kholaa jaaegaa laash qaidi ki nikaali jaaegi aa rahaa hai un kaa ab 'ahd-e-shabaab zulm ki buniyaad Daali jaaegi zindagi bhar ham rahe mahrum-e-did saath tasvir-e-khayaali jaaegi aa rahi hai zulf un ki taa-qadam kis kamar se ye sanbhaali jaaegi sajda-gaah-e-'aam hogaa un kaa dar qaid masjid ki uThaa li jaaegi zulm Dhaane vaale ye bhi jaan lein aah-e-mazlumaan na khaali jaaegi sajda-e-but se agar rokaa gayaa ik nai masjid banaa li jaaegi fasl-e-gul mein daa'vat-e-pir-e-mughaan shaikh saahab se na Taali jaaegi"
Urdu

قفل زنداں آج کھولا جائے گا لاش قیدی کی نکالی جائے گی آ رہا ہے ان کا اب عہد شباب ظلم کی بنیاد ڈالی جائے گی زندگی بھر ہم رہے محروم دید ساتھ تصویر خیالی جائے گی آ رہی ہے زلف ان کی تا قدم کس کمر سے یہ سنبھالی جائے گی سجدہ گاہ عام ہوگا ان کا در قید مسجد کی اٹھا لی جائے گی ظلم ڈھانے والے یہ بھی جان لیں آہ مظلوماں نہ خالی جائے گی سجدۂ بت سے اگر روکا گیا اک نئی مسجد بنا لی جائے گی فصل گل میں دعوت پیر مغاں شیخ صاحب سے نہ ٹالی جائے گی

Hindi

क़ुफ़्ल-ए-ज़िंदाँ आज खोला जाएगा लाश क़ैदी की निकाली जाएगी आ रहा है उन का अब 'अहद-ए-शबाब ज़ुल्म की बुनियाद डाली जाएगी ज़िंदगी भर हम रहे महरूम-ए-दीद साथ तस्वीर-ए-ख़याली जाएगी आ रही है ज़ुल्फ़ उन की ता-क़दम किस कमर से ये सँभाली जाएगी सज्दा-गाह-ए-'आम होगा उन का दर क़ैद मस्जिद की उठा ली जाएगी ज़ुल्म ढाने वाले ये भी जान लें आह-ए-मज़लूमाँ न ख़ाली जाएगी सजदा-ए-बुत से अगर रोका गया इक नई मस्जिद बना ली जाएगी फ़स्ल-ए-गुल में दा'वत-ए-पीर-ए-मुग़ाँ शैख़ साहब से न टाली जाएगी

qufl-e-zindāñ aaj kholā jā.egā
Mohammad Baqar Shams
Mohammad Baqar Shams
Mohammad Baqar Shams
poet42 quotes

More by Mohammad Baqar Shams

View all →
Quote
"ghar ko bhi kar diyaa viraane mein shaamil main ne zauq-e-vahshat ko mire vo bhi to kaafi na huaa na huaa us pe bhi vo shokh vafaa kaa qaail zulm hans hans ke sahe aur kabhi shaaki na huaa duun kis ummid pe ab jaan ki vo zulm-shi'aar kuche mein apne mire dafn pe raazi na huaa jis ne un mast-nigaahon se milaain aankhein phir vo minnat-kash-e-paimaana-e-saaqi na huaa baada gar khuld mein hai sab ke liye amr-e-mubaah jis ne masjid mein piyaa vo bhi to aasi na huaa dil mein jab hook uThi zabt-e-fughaan kar na sakaa raaz is ghar kaa jo thaa mujh se vo makhfi na huaa 'umr jis dasht mein majnun ne guzaari apni vo mire zauq-e-junun ke liye kaafi na huaa"
Mohammad Baqar ShamsMohammad Baqar Shams
Quote
"kis tarh vo 'aalam ko na divaana banaa de ye husn ye andaaz-o-adaa jis ko khudaa de dekhi nahin jaati hai kisi se miri haalat ab vo bhi ye kahte hain khudaa us ko shifaa de phir hosh ke 'aalam mein bhalaa aauun main kyunkar ghash mein mujhe daaman se jo vo apne havaa de jaan-baazi-e-parvaana pe kiije na ta'ajjub qismat hai jise himmat-e-mardaana khudaa de vo dekh ke kahte hain miri naz' mein uljhan yuun maut javaani mein kisi ko na khudaa de kyaa jaane vo kyaa lutf hai aashufta-sari mein jab tak na kisi ko dil-e-divaana khudaa de muusaa talab-e-did pe israar na kiije kyaa ho jo naqaab-e-rukh-e-raushan vo uThaa de khilqat ki zabaan kaa hai ye adnaa saa karishma thoDi si ho baat aur vo afsaana banaa de aae hain 'ayaadat ko sirhaane dam-e-aakhir allaah miri naz' ke lamhaat baDhaa de kyon sajde mein us ke na jhukein sab ki jabinein ik khaak ke putle ko jo insaan banaa de"
Mohammad Baqar ShamsMohammad Baqar Shams
Quote
"havaa ne ye kiyaa ehsaan ki jaa kar un ke aivaan mein miraa rang-e-parida bhar diyaa tasvir-e-jaanaan mein bagule hain na sahraa hai na saaein saaein aavaazein lagegaa ji hamaaraa kis tarah se baagh-e-rizvaan mein unhin ki yaad jannat mein bhi taDpaane lagi dil ko na dekhi jab adaaein un ke aisi hur-o-ghilmaan mein bagule hain faqat ik munis-e-tanhaai sahraa mein inhin ke saath mein har samt phirtaa huun bayaabaan mein nazar lagne kaa un ke vaaste ganDaa banaane ko bachaa rakkhe hain main ne taar kuchh apne garebaan mein junun-e-'ishq thaa makhsus mujh se baa'd majnun ke na aayaa baa'd mere koi divaana bayaabaan mein mah-o-maa'shuq ho abr-e-bahaaraan ho gulistaan ho isi kaa naam jannat hai nigaah-e-hosh-mandaan mein nasihat ke bahaane se janaab-e-shaikh aae hain nazaara kar rahe hain baiTh kar bazm-e-hasinaan mein"
Mohammad Baqar ShamsMohammad Baqar Shams
Quote
"bachpanaa guzraa aayaa 'ahd-e-shabaab uD gai niind dekhne lagaa khvaab chaandni phaili hai mire ghar mein jaagtaa huun ki dekhtaa huun khvaab talab-e-did par giri bijli chaahne vaale kaa yahi thaa javaab kyon na phir ghash pe ghash mujhe aae un ko aaghosh mein liye hai shabaab zulfein bikhri hain ru-e-anvar par jaan-e-‘aashiq pe hai do-guna 'azaab bhejaa masjid se mai-kade ki taraf shaikh ko bhi dikhaa di raah-e-savaab hasratein saari mar gaiin dil ki kaisaa aabaad ghar huaa hai kharaab mausam-e-gul ho saaghar-e-mul ho but-e-raa'naa ho aur 'ahd-e-shabaab na rahe phir namaaz ki haajat shaikh gar pi lein ek jaam-e-sharaab aasmaan par jo maah-e-kaamil hai ham ne dekhaa zamin pe us kaa javaab kis ne rukh se naqaab ulTi hai maah-e-kaamil ko aa rahaa hai hijaab"
Mohammad Baqar ShamsMohammad Baqar Shams

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar