Quote
"ghazal kahein to vahi daastaan niklegi har ek sher mein aah-o-fughaan niklegi safar ki mushkilein rone kaa faaeda kyaa hai ki jaate jaate hi meri thakaan niklegi jabin ke niche do kashti mein baandh li hai nadi zarur legi ye ik din ufaan niklegi ye saare tanz ye taane ye rishte naate sab kahaan chhupeinge jo meri zabaan niklegi vo jis ne khud pe rivaayat kaa rakh liyaa hai qafas vo ek laDki meraa aasmaan niklegi main chand lamhe agar ziist se haTaa duun to ye meri zindagi bas khaak-daan niklegi ye zabt sabr tabassum hue hain chaak sabhi main sakht jaan huun lekin ye jaan niklegi"
