SHAWORDS

rote rote kaun hansaa thaa — Nasir Kazmi

HomeNasir KazmiGhazal
"rote rote kaun hansaa thaa baarish mein suraj niklaa thaa chalte hue aandhi aai thi raste mein baadal barsaa thaa ham jab qasbe mein utre the suraj kab kaa Duub chukaa thaa kabhi kabhi bijli hansti thi kahin kahin chhinTaa paDtaa thaa tere saath tire hamraahi mere saath miraa rasta thaa ranj to hai lekin ye khushi hai ab ke safar tire saath kiyaa thaa"
Urdu

روتے روتے کون ہنسا تھا بارش میں سورج نکلا تھا چلتے ہوئے آندھی آئی تھی رستے میں بادل برسا تھا ہم جب قصبے میں اترے تھے سورج کب کا ڈوب چکا تھا کبھی کبھی بجلی ہنستی تھی کہیں کہیں چھینٹا پڑتا تھا تیرے ساتھ ترے ہم راہی میرے ساتھ مرا رستہ تھا رنج تو ہے لیکن یہ خوشی ہے اب کے سفر ترے ساتھ کیا تھا

Hindi

रोते रोते कौन हँसा था बारिश में सूरज निकला था चलते हुए आँधी आई थी रस्ते में बादल बरसा था हम जब क़स्बे में उतरे थे सूरज कब का डूब चुका था कभी कभी बिजली हँसती थी कहीं कहीं छींटा पड़ता था तेरे साथ तिरे हमराही मेरे साथ मिरा रस्ता था रंज तो है लेकिन ये ख़ुशी है अब के सफ़र तिरे साथ किया था

rote rote kaun hañsā thā
Nasir Kazmi
Nasir Kazmi
Nasir Kazmi
poet145 quotes

More by Nasir Kazmi

View all →
Quote
"ishq jab zamzama-pairaa hogaa husn khud mahv-e-tamaashaa hogaa sun ke aavaaza-e-zanjir-e-sabaa qafas-e-ghuncha kaa dar vaa hogaa jaras-e-shauq agar saath rahi har-nafas shahpar-e-anqaa hogaa daaim aabaad rahegi duniyaa ham na honge koi ham saa hogaa kaun dekhegaa tulu-e-khurshi zarra jab dida-e-binaa hogaa ham tujhe bhuul ke khush baiThe hain ham saa bedard koi kyaa hogaa phir sulagne lagaa sahraa-e-khayaal abr ghir kar kahin barsaa hogaa phir kisi dhyaan ke sad-raahe par dil-e-hairat-zadaa tanhaa hogaa phir kisi subh-e-tarab kaa jaadu parda-e-shab se huvaidaa hogaa gul-zaminon ke khunuk ramnon mein jashn-e-raamish-gari barpaa hogaa phir nai rut kaa ishaara paa kar vo saman-bu chaman-aaraa hogaa gul-shab-taab ki khushbu le kar ablaq-e-subh ravaana hogaa phir sar-e-shaakh-e-shuaa-e-khurshid nikhat-e-gul kaa baseraa hogaa ik sadaa sang mein taDpi hogi ik sharar phuul mein larzaa hogaa tujh ko har phuul mein uryaan sote chaandni-raat ne dekhaa hogaa dekh kar aaina-e-aab-e-ravaan patta patta lab-e-goyaa hogaa shaam se soch rahaa huun 'naasir' chaand kis shahr mein utraa hogaa"
Nasir KazmiNasir Kazmi
Quote
"daur-e-falak jab dohraataa hai mausam-e-gul ki raaton ko kunj-e-qafas mein sun lete hain bhuli-bisri baaton ko reg-e-ravaan ki narm tahon ko chheDti hai jab koi havaa suune sahraa chikh uThte hain aadhi aadhi raaton ko aatish-e-gham ke sail-e-ravaan mein nindein jal kar raakh huiin patthar ban kar dekh rahaa huun aati jaati raaton ko mai-khaane kaa afsurda maahaul to yunhi rahnaa hai khushk labon ki khair manaao kuchh na kaho barsaaton ko 'naasir' mere munh ki baatein yuun to sachche moti hain lekin un ki baatein sun kar bhuul gae sab baaton ko"
Nasir KazmiNasir Kazmi

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid