SHAWORDS

roz ke intizaam se pahle — Dinesh Kumar

HomeDinesh KumarGhazal
"roz ke intizaam se pahle main ne kal pi li shaam se pahle ghunT bharne pe hosh aayaa thaa main nashe mein thaa jaam se pahle kyaa karun ab zabaan se meri ram nikaltaa hai raam se pahle dil miraa ab sharaab maange hai kaam ke baad kaam se pahle kuchh pilaane kaa bandobast karo tum mire ehtiraam se pahle chashm-e-hasrat ko paDh ke dekho tum kyaa ye maange salaam se pahle zindagi ko talaashtaa huun main maut ke ehtimaam se pahle"
Urdu

روز کے انتظام سے پہلے میں نے کل پی لی شام سے پہلے گھونٹ بھرنے پہ ہوش آیا تھا میں نشے میں تھا جام سے پہلے کیا کروں اب زبان سے میری رم نکلتا ہے رام سے پہلے دل مرا اب شراب مانگے ہے کام کے بعد کام سے پہلے کچھ پلانے کا بندوبست کرو تم مرے احترام سے پہلے چشم حسرت کو پڑھ کے دیکھو تم کیا یہ مانگے سلام سے پہلے زندگی کو تلاشتا ہوں میں موت کے اہتمام سے پہلے

Hindi

रोज़ के इंतिज़ाम से पहले मैं ने कल पी ली शाम से पहले घूँट भरने पे होश आया था मैं नशे में था जाम से पहले क्या करूँ अब ज़बान से मेरी रम निकलता है राम से पहले दिल मिरा अब शराब माँगे है काम के बाद काम से पहले कुछ पिलाने का बंदोबस्त करो तुम मिरे एहतिराम से पहले चश्म-ए-हसरत को पढ़ के देखो तुम क्या ये माँगे सलाम से पहले ज़िंदगी को तलाशता हूँ मैं मौत के एहतिमाम से पहले

roz ke intizām se pahle
Dinesh Kumar
Dinesh Kumar
Dinesh Kumar
poet41 quotes

More by Dinesh Kumar

View all →
Quote
"tir-e-abru jab kamaan tak aa gae un ki zad mein jism-o-jaan tak aa gae daagh sirat par lage the aur ham basti-e-surat-garaan tak aa gae rafta rafta kam huaa zabt-e-alam dard-e-jaan meri zabaan tak aa gae ham ko bhi ik gul-badan ki chaah thi ham bhi koi gulsitaan tak aa gae manzil-e-maqsud bhi dikhne lagi ham jo mir-e-kaarvaan tak aa gae yaad aayaa jab hamein bachpan bahut ham khilaunon ki dukaan tak aa gae qaatilon ke paas thi daulat apaar un ke haq mein hukmaraan tak aa gae mausam-e-gul sirf yaadon mein hai ab umr guzri ham khizaan tak aa gae"
Dinesh KumarDinesh Kumar
Quote
"nekiyaan to aap ki saari bhulaa di jaaeingi ghalatiyaan raai bhi hon parvat banaa di jaaeingi raushni darkaar hogi jab bhi mahlon ko zaraa shahr ki sab jhuggiyaan pal mein jalaa di jaaeingi phir koi tasvir haakim ko lagi hai aaina ungliyaan tai hain musavvir ki kaTaa di jaaeingi un ke armaanon ki parvaa ahl-e-mahfil ko kahaan subh hote hi sabhi shamein bujhaa di jaaeingi naam patthar par shahidon ke likhe to jaaeinge haan magar qurbaaniyaan un ki bhulaa di jaaeingi kaun murjhaane se rokegaa gulon ko ai 'dinesh' bulbulein hi baagh se jab sab uDaa di jaaeingi"
Dinesh KumarDinesh Kumar
Quote
"tiraa vajud tiri shakhsiyat kahaani kyaa kisi ke kaam na aae to zindagaani kyaa havas hai jism ki aankhon se pyaar ghaaeb hai badal gae hain sabhi ishq ke maaani kyaa azal se jaari hai taa hashr hi chalegaa safar samay ke saamne dariyaaon ki ravaani kyaa ye maantaa huun main mehmaan khudaa ki rahmat hai ke tum ne dekhi nahin meri mezbaani kyaa khumaar-e-ishq bhi utregaa roz-e-vasl ke baad rahegi apni bhalaa umr bhar javaani kyaa binaa laDe hi jo tu mushkilon se haaraa hai ragon mein teri lahu ban gayaa hai paani kyaa khushi ki chaah mein kuchh gham uThaane paDte hain gulon ki khaar nahin karte paasbaani kyaa"
Dinesh KumarDinesh Kumar
Quote
"hunar nahin jo havaaon ke par katarne kaa rahegaa khauf hamesha hi bujh ke marne kaa ham aainon ke mukhaatab na ho sakeinge kabhi hamein to khatra hai apnaa naqaab utarne kaa vafaa ki raah pe marnaa bhi thaa mujhe manzur koi to hogaa sabab mere ab mukarne kaa daraaD baDhti hai baDh jaae bad-gumaani ki iraada meraa bhi un se na baat karne kaa baheliye ki kahaani se hi Dare taair rahaa na hausla un mein uDaan bharne kaa na us ne dil se mujhe rokne ki koshish ki na mere paas samay thaa vahaan Thaharne kaa safed hone lagin hain hamaari bhi qalamein nishaan paDne lagaa vaqt ke guzarne kaa falak se rahh-numaai 'dinesh' ne ki thi savaal uThtaa kahaan zulmaton se Darne kaa"
Dinesh KumarDinesh Kumar

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar