SHAWORDS

rusvaai ke saath dil-e-naakaam aayaa — Kuldeep Kumar

HomeKuldeep KumarGhazal
"rusvaai ke saath dil-e-naakaam aayaa dekh ye tere 'ishq mein kyaa in'aam aayaa basti mein sab pyaase aur ik mai-khaana apne hisse aksar khaali jaam aayaa 'umr Dhali to zehn ne chhoD diyaa thaa saath dil hi aakhir-kaar hamaare kaam aayaa muddat baa'd kisi ne ham ko dastak di muddat baa'd labon par teraa naam aayaa raat gae phir dard uThaa thaa siine mein tujh par nazm likhi aur tab aaraam aayaa"
Urdu

رسوائی کے ساتھ دل ناکام آیا دیکھ یہ تیرے عشق میں کیا انعام آیا بستی میں سب پیاسے اور اک مے خانہ اپنے حصے اکثر خالی جام آیا عمر ڈھلی تو ذہن نے چھوڑ دیا تھا ساتھ دل ہی آخر کار ہمارے کام آیا مدت بعد کسی نے ہم کو دستک دی مدت بعد لبوں پر تیرا نام آیا رات گئے پھر درد اٹھا تھا سینے میں تجھ پر نظم لکھی اور تب آرام آیا

Hindi

रुस्वाई के साथ दिल-ए-नाकाम आया देख ये तेरे 'इश्क़ में क्या इन'आम आया बस्ती में सब प्यासे और इक मय-ख़ाना अपने हिस्से अक्सर ख़ाली जाम आया 'उम्र ढली तो ज़ेहन ने छोड़ दिया था साथ दिल ही आख़िर-कार हमारे काम आया मुद्दत बा'द किसी ने हम को दस्तक दी मुद्दत बा'द लबों पर तेरा नाम आया रात गए फिर दर्द उठा था सीने में तुझ पर नज़्म लिखी और तब आराम आया

rusvā.ī ke saath dil-e-nākām aayā
Kuldeep Kumar
Kuldeep Kumar
Kuldeep Kumar
poet119 quotes

More by Kuldeep Kumar

View all →
Quote
"kuza-gar main tire kis khvaab kaa chehra ho jaaun sirf ik jism ki mohlat hai main kyaa kyaa ho jaaun tujh mein aur mujh mein bas ik farq vafaa hi kaa hai main agar tark vafaa kar duun to tujh saa ho jaaun mujh ko mere hi andhere ne chhupaa rakkhaa hai jo tiri zaat mein aa jaaun sitaara ho jaaun sochte sab hain kahaani to mukammal ho jaae chaahtaa koi nahin hai ki main us kaa ho jaaun chaar din qaid mein rah kar ye tamannaa bhi gai pahle lagtaa thaa ki ai kaash parinda ho jaaun main to bas ek tasavvur huun vahi rahne de aise bhi soch na mujh ko ki main chehra ho jaaun sab ki aankhon mein khaTakti hai hamaari qurbat shahr kaa shahr lagaa hai ki akelaa ho jaaun ishq mein saaraa kamaal asl mein furqat kaa hai jo bhi ho jaae judaa mujh se main us kaa ho jaaun"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"dast-e-vahshat se zaraa aur sanvaareinge tujhe apne andaaz mein ai hijr guzaareinge tujhe gar hamein niind na aai to ye tai hai jaanaan tere darvaaze pe jaaeinge pukaareinge tujhe ai mohabbat tujhe taa-hashr nibhaaeinge ham itni jaldi kahaan palkon se utaareinge tujhe jis bhi lamhe mein tujhe jiine ki hasrat hogi ham usi lamhe ki dahliz pe maareinge tujhe phir se rakkhaa hai tujhe daav pe ai dil ham ne ham ko maa'lum hai is baar bhi haareinge tujhe vaqt-e-aakhir bhi ye jaan tum pe hi aTki hogi honTh jab jab bhi khuleinge to pukaareinge tujhe"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"kisi se rang to khushbu kisi se letaa huun udhaar jo bhi mile main khushi se letaa huun vo itni narm ki chhune ki kaun baat kare main us kaa naam bhi shaaistagi se letaa huun bhale ab 'ishq nahin us zahin laDki se magar main mashvare ab bhi usi se letaa huun main lau baDhaataa huun itni ki kuchh dikhaai na de main kaam andhere kaa bhi raushni se letaa huun main chaahtaa huun havaaon ko kuchh pata na chale har ek saans baDi khaamushi se letaa huun main saans rokne lagtaa huun ye jo ghusse mein ik intiqaam hai jo zindagi se letaa huun miraa yaqin jo khud par thaa kab kaa TuuT chukaa main khud ko ab kahaan sanjidgi se letaa huun"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar
Quote
"ye karaamaatein bahut bechain karti hain mujhe aap ki baatein bahut bechain karti hain mujhe in charaaghon se kaho soein na mujh ko chhoD kar ye siyah raatein bahut bechain karti hain mujhe ab bhi siine mein koi sahraa sulagtaa hai mire ab bhi barsaatein bahut bechain karti hain mujhe un mulaaqaaton ko main bechain rahtaa huun bahut jo mulaaqaatein bahut bechain karti hain mujhe zindagi se itni raghbat to nahin par jaane kyon maut ki baatein bahut bechain karti hain mujhe"
Kuldeep KumarKuldeep Kumar

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud