SHAWORDS

saaqi phir aaya saaghar-e-sahbaa liye hue — Abdul Mannan Bedil Azimabadi

"saaqi phir aaya saaghar-e-sahbaa liye hue yaa meri zindagi kaa sahaaraa liye hue aankhon mein hain vo chashma-e-sahbaa liye hue yaa aab-e-zindagi ke hain dariyaa liye hue baiThaa huun intizaar mein ik hila-ju ke phir rag-rag mein iztiraab ki duniyaa liye hue tajdid-e-vaada phir hui tamhid-e-iztiraab phir khirman-e-umid hai shoala liye hue nazr-e-nigaah-e-nargis-e-mastaana ho gayaa aaya thaa shaikh khirqa-e-taqvaa liye hue meraa sukut matlab-e-be-lafz ho to ho main aauun aur arz-e-tamannaa liye hue is tarah us ki bazm se dil le chalaa huun main jis tarah koi jaae janaaza liye hue phir kar rahaa huun ghaur vajuhaat-e-ishq par us paikar-e-jamaal kaa naqsha liye hue zaalim kaa har sitam hai tavajjoh ki ik dalil us ki jafaa vafaa kaa hai naqsha liye hue phir jaa rahaa hai 'bedil'-e-afsurda dekhiye ghaarat-gar-e-sukun ki tamanna liye hue"
Urdu

ساقی پھر آیا ساغر صہبا لئے ہوئے یا میری زندگی کا سہارا لئے ہوئے آنکھوں میں ہیں وہ چشمۂ صہبا لئے ہوئے یا آب زندگی کے ہیں دریا لئے ہوئے بیٹھا ہوں انتظار میں اک حیلہ جو کے پھر رگ رگ میں اضطراب کی دنیا لئے ہوئے تجدید وعدہ پھر ہوئی تمہید اضطراب پھر خرمن امید ہے شعلہ لئے ہوئے نذر نگاہ نرگس مستانہ ہو گیا آیا تھا شیخ خرقۂ تقویٰ لئے ہوئے میرا سکوت مطلب بے لفظ ہو تو ہو میں آؤں اور عرض تمنا لئے ہوئے اس طرح اس کی بزم سے دل لے چلا ہوں میں جس طرح کوئی جائے جنازہ لئے ہوئے پھر کر رہا ہوں غور وجوہات عشق پر اس پیکر جمال کا نقشہ لئے ہوئے ظالم کا ہر ستم ہے توجہ کی اک دلیل اس کی جفا وفا کا ہے نقشہ لئے ہوئے پھر جا رہا ہے بیدلؔ افسردہ دیکھیے غارت گر سکوں کی تمنا لئے ہوئے

Hindi

साक़ी फिर आया साग़र-ए-सहबा लिए हुए या मेरी ज़िंदगी का सहारा लिए हुए आँखों में हैं वो चश्मा-ए-सहबा लिए हुए या आब-ए-ज़ि़ंदगी के हैं दरिया लिए हुए बैठा हूँ इंतिज़ार में इक हीला-जू के फिर रग-रग में इज़्तिराब की दुनिया लिए हुए तज्दीद-ए-वा'दा फिर हुई तम्हीद-ए-इज़्तिराब फिर ख़िरमन-ए-उमीद है शो'ला लिए हुए नज़्र-ए-निगाह-ए-नर्गिस-ए-मस्ताना हो गया आया था शैख़ ख़िर्क़ा-ए-तक़्वा लिए हुए मेरा सुकूत मतलब-ए-बे-लफ़्ज़ हो तो हो मैं आऊँ और अर्ज़-ए-तमन्ना लिए हुए इस तरह उस की बज़्म से दिल ले चला हूँ मैं जिस तरह कोई जाए जनाज़ा लिए हुए फिर कर रहा हूँ ग़ौर वजूहात-ए-इश्क़ पर उस पैकर-ए-जमाल का नक़्शा लिए हुए ज़ालिम का हर सितम है तवज्जोह की इक दलील उस की जफ़ा वफ़ा का है नक़्शा लिए हुए फिर जा रहा है 'बेदिल'-ए-अफ़्सुर्दा देखिए ग़ारत-गर-ए-सुकूँ की तमन्ना लिए हुए

saaqī phir aaya sāġhar-e-sahbā liye hue
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
poet20 quotes

More by Abdul Mannan Bedil Azimabadi

View all →
Quote
"maail us but kaa jidhar tir-e-nazar hotaa hai surat-e-qibla-numaa dil bhi udhar hotaa hai dard siine mein kahaan aur kidhar hotaa hai ye to ham kah nahin sakte hain magar hotaa hai mutmain aap rahein khauf ki kuchh baat nahin kahin aashiq ke bhi naalon mein asar hotaa hai dil huaa jaataa hai jaulaan-gah-e-yaas-o-hirmaan dekh kis tarah se viraan tiraa ghar hotaa hai meri tadbir pe hans deti hai taqdir miri naala jis vaqt ki juyaa-e-asar hotaa hai tujh ko Dar kyaa hai miraa qissa-e-gham sun to sahi kahin aashiq ke bayaan mein bhi asar hotaa hai jaaguzin hotaa hai ik dil mein koi parda-nashin yaani ab rashk-e-do-sad kaaba ye ghar hotaa hai rahm kyon aae unhein sun ke hamaaraa naama kab siyah-bakhton ke rone mein asar hotaa hai vaaizo kaaba ki taarif se saabit ye huaa ki sanam-khaana hi allaah kaa ghar hotaa hai barg-haa-e-gul-e-tar kaise bikhar jaate hain girya-e-bulbul-e-naalaan mein asar hotaa hai zaahid-e-gosha-nashin kab use pahchaan sakaa vahi aarif hai jise zauq-e-nazar hotaa hai shab ko sab logon se poshida janaab-e-'bedil' aap kaa jaanaa ye har roz kidhar hotaa hai"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Quote
"meraa lab-e-khamosh agar iltijaa kare shaayad tiri nigaah-e-karam e'tinaa kare allaah zor-e-be-asari kaa bhalaa kare yaksaan hai koi naala kare yaa duaa kare dil e'timaad-e-vaada-e-sabr-aazmaa kare kaam apnaa teri shokhi-e-taaqat-rubaa kare us kaa shabaab josh pe aae khudaa kare dil zindagi se haath uThaa kar duaa kare gar ho sake to itnaa shahid-e-jafaa kare tegh-e-nigaah-e-yaar ke haq mein duaa kare parvaana daur-e-gard-e-bisaat-e-umid ho dar-parda shama-e-bazm-e-mohabbat jalaa kare izaa-kushi kaa daur bahaar-e-hayaat hai dil apnaa gul-faroshi-e-daagh-e-jafaa kare kuchh ikhtiyaar bhi hai jo majburiyaan hain kuchh is kashmakash mein kahiye to insaan kyaa kare pahunche ye arsh par bhi to parvaa na ho unhein kahiye to naala meraa rasaa ho ke kyaa kare aah-e-falak-rasaa se to kuchh bhi na ho sakaa shaayad ki kuchh bulandi-e-dast-e-duaa kare majburi-e-atam mein hai zor ikhtiyaar kaa jo kaam mujh se ho na sake vo khudaa kare quraan mein likhaa hai jo laa-taqnatu sarih zauq-e-nigaah kahiye to kyunkar khataa kare kyon chheDein shokhiyaan dil-e-shorish-pasand ko kyon baiThe baiThe koi qayaamat bapaa kare phir daam mein phansungaa ki main said-e-shauq huun sayyaad mashq ke liye mujh ko rihaa kare lab aashnaa-e-aarzu-e-dil kabhi na ho aur maajraa-e-ishq kaa qissa huaa kare 'bedil' jo mast ho khabar-e-fasl-e-gul se vo daavaa-e-paarsaai-e-be-sarfa kyaa kare"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Quote
"kyon kahaa paas tire aaina-e-dil na rahe kyaa ye khvaahish hai koi teraa muqaabil na rahe taalib-e-dard ko matlub hai saamaan-e-tapish nashtar-e-gham rahe pahlu mein agar dil na rahe un ki ye zid hai niraali ki mire siine mein dil-e-vaarafta rahe aarzu-e-dil na rahe haath bismil ne baDhaayaa hai lipaT jaane ko ki kafan ban ke rahe daaman-e-qaatil na rahe rahrav-e-raah-e-mohabbat ko hidaayat ye hai jaada-paimaai rahe hasrat-e-manzil na rahe khaana-e-dil mein utarne kaa ye matlab Thahraa mehmaan ban ke rahe khanjar-e-qaatil na rahe qatl-e-ushshaaq se qaatil kaa ye matlab to nahin ghaayat-e-ishq-o-vafaa uqda-e-mushkil na rahe de ke jaan is liye letaa huun sukun-e-khaatir daaimi ban ke rahe daulat-e-aajil na rahe kyon khafaa hote ho divaanon ki khvaahish ye hai naghma-e-ishq bane shor-e-salaasil na rahe nazr-e-gham is liye ki jaan-e-hazin 'bedil' ne us ki gardan pe kahin minnat-e-qaatil na rahe"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Quote
"doston ko yuun sataanaa chhoD de dushmanon kaa dil baDhaanaa chhoD de tum hi duniyaa bhi miri ho diin bhi kyaa hai gar saaraa zamaana chhoD de haal-e-dil kahnaa jo chaahaa ye kahaa be-sar-o-paa ye fasaana chhoD de bazm-e-dushman mein vo jaa kar luT gae rahzan aur aisaa khazaanaa chhoD de sharm kar ai dil taghaaful us kaa dekh ab bhi haal-e-dil sunaanaa chhoD de taab-e-nazzaara se khud mahrum hain aashiqon se munh chhupaanaa chhoD de us ko main parda-nashin samjhun agar meri nazron mein samaanaa chhoD de tund mai aur saaqiyaa vo shoala-khu aag paani mein lagaanaa chhoD de daagh-e-dil bulbul ko hai rashk-e-bahaar kyon khizaan mein chahchahaanaa chhoD de kyon jiye kyunkar jiye 'bedil' agar mahvashon se dil lagaanaa chhoD de"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Quote
"majruh-e-aarzu kabhi meraa jigar na ho minnat-shanaas tir-e-nazar dil agar na ho mumkin hai ye ki zabt karun aankh tar na ho Dar hai kahin taraavish-e-lakht-e-jigar na ho tikhi nigah se dekh lein khanjar agar na ho mumkin nahin ki tir-e-nazar kaargar na ho daaman ko kyon bachaae hue jaa rahe hain vo paamaal gham ki khaak sar-e-rahguzar na ho anjaan tum bane raho ye aur baat hai aisaa to kyaa hai tum ko hamaari khabar na ho bimaar-e-gham hai soz-e-alam kaa phunkaa huaa har qatra ashk-e-surkh kaa Dar hai sharar na ho hain sarfarosh lazzat-e-raahat se aashnaa sardaar kaun hai vo jise dard-e-sar na ho aisaa nishaana chaahiye naavak-fagan mire dil par lage jo tiir jigar ko khabar na ho sarmaaya-daar-e-aib-e-vafaa huun azal se main kuchh gham nahin mujhe jo mata-e-hunar na ho 'bedil' ke dil se zulf kaa jaataa nahin khayaal ye khaana-e-khudaa kisi kaafir kaa ghar na ho"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi
Quote
"dekhne vaale ye bole chashm-haa-e-yaar ke ye to mastaane hain shaayad khaana-e-khammaar ke dil miraa shaayad hai shaidaaon mein tir-e-yaar ke zakhm-haa-e-dil mushaabah hain lab-e-sofaar ke paar utaaraa bahr-e-naa-paidaa-kanaar-e-ishq se sadqe jaaun kyon na teri tegh-e-langar-daar ke uTh sakaa hargiz kisi surat na teraa naa-tavaan dab gayaa jo niche tere saaya-e-divaar ke kyaa khabar us ko ki kab raat aai aur kab din gayaa roz-o-shab yaksaan hain aage chashm-e-shab-bedaar ke jaan-fazaai gham-rubaai dilkashi farhat-dahi hain khavaas-e-khaas ye khaak-e-dar-e-dildaar ke jo dikhaa de jalva ru-e-shaahid-e-maqsud kaa sadqe saaqi is sharaab-e-aaina-kirdaar ke ishq mein us but ke rahbaan-o-shuyukh-o-barhaman hain ye sab ke sab muqayyad rishta-e-zunnaar ke bole behtar hai husul-e-aarzu se aarzu vaah sadqe jaaiye is pahlu-e-inkaar ke gham uThaanaa zulm sahnaa sabr karnaa yaa ki shukr kaun hai husn-e-amal laaeq tiri sarkaar ke kyon na main samjhun ki mujh ko mil gai daad-e-sukhan vo bahut shaaeq hain ai 'bedil' mire ashaar ke"
A
Abdul Mannan Bedil Azimabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"
Ata AbidiAta Abidi
Quote
"ye hai mai-kada yahaan rind hain yahaan sab kaa saaqi imaam hai ye haram nahin hai ai shaikh ji yahaan paarsaai haraam hai jo zaraa si pi ke bahak gayaa use mai-kade se nikaal do yahaan tang-nazar kaa guzar nahin yahaan ahl-e-zarf kaa kaam hai koi mast hai koi tishna-lab to kisi ke haath mein jaam hai magar is pe koi kare bhi kyaa ye to mai-kade kaa nizaam hai ye janaab-e-shaikh kaa falsafa hai 'ajib saare jahaan se jo vahaan piyo to halaal hai jo yahaan piyo to haraam hai tujhe apne husn kaa vaasta mere shauq-e-did pa rahm khaa zaraa muskuraa ke naqaab uThaa ki nazar ko shauq-e-salaam hai na sunnaa to huur o qusur ki ye hikaayatein mujhe vaa'izaa koi baat kar dar-e-yaar ki dar-e-yaar hi se to kaam hai na to e'tikaaf se kuchh gharaz na savaab-o-zuhd se vaasta tiri diid aisi namaaz hai na sujud hai na qayaam hai ye durust ki 'aib hai mai-kashi ye ba-jaa ki baada haraam hai magar ab savaal ye aa paDaa ki tumhaare haath mein jaam hai jo uThi to subh-e-davaam thi jo jhuki to shaam hi shaam thi tiri chashm-e-mast mein saaqiyaa miri zindagi kaa nizaam hai miraa farz hai ki paDaa rahun tiri baargaah mein saaqiyaa koi tishna-lab hai ki sair hai yahi dekhnaa tiraa kaam hai isi kaaenaat mein ai 'jigar' koi inqalaab uThegaa phir ki buland ho ke bhi aadmi abhi khvaahishon kaa ghulaam hai"
Jigar MoradabadiJigar Moradabadi