"ab mulaaqaat kahaan shishe se paimaane se faatiha paDh ke chale aae hain mai-khaane se kyaa karein jaam-o-subu haath pakaD lete hain ji to kahtaa hai ki uTh jaaiye mai-khaane se phunk kar ham ne har ik gaam pe rakkhaa hai qadam aasmaan phir bhi na baaz aayaa sitam Dhaane se ham ko jab aap bulaate hain chale aate hain aap bhi to kabhi aa jaaiye bulvaane se are o vaada-faraamosh pahaaD aisi raat kyaa kahun kaise kaTi tere nahin aane se yaad rakh! vaqt ke andaaz nahin badleinge are allaah ke bande tire ghabraane se sar chaDhaaein kabhi aankhon se lagaaein saaqi tere haathon ki chhalak jaae jo paimaane se khaali rakkhi hui botal ye pataa deti hai ki abhi uTh ke gayaa hai koi mai-khaane se aaegi hashr ki naaseh ki samajh mein kyaa khaak jab samajhdaar samajhte nahin samjhaane se barq ke Dar se kaleje se lagaae hue hai chaar tinke jo uThaa laai hai viraane se dil zaraa bhi na pasijaa but-e-kaafir teraa kaaba allaah kaa ghar ban gayaa but-khaane se shama bechaari jo ik munis-e-tanhaai thi bujh gai vo bhi sar-e-shaam havaa aane se ghair kaahe ko suneinge tiraa dukhDaa 'bismil' un ko fursat kahaan hai apni ghazal gaane se"
saari ummid rahi jaati hai — Bismil Azimabadi
"saari ummid rahi jaati hai haae phir subh hui jaati hai niind aati hai na vo aate hain raat guzri hi chali jaati hai majmaa-e-hashr mein rudaad-e-shabaab vo sune bhi to kahi jaati hai daastaan puuri na hone paai zindagi khatm hui jaati hai vo na aae hain to bechain hai ruuh abhi aati hai abhi jaati hai zindagi aap ke divaane ki kisi surat se kaTi jaati hai gham mein parvaanon ke ik muddat se shama ghulti hi chali jaati hai aap mahfil se chale jaate hain daastaan baaqi rahi jaati hai ham to 'bismil' hi rahe khair hui ishq mein jaan chali jaati hai"
ساری امید رہی جاتی ہے ہائے پھر صبح ہوئی جاتی ہے نیند آتی ہے نہ وہ آتے ہیں رات گزری ہی چلی جاتی ہے مجمع حشر میں روداد باب وہ سنے بھی تو کہی جاتی ہے داستاں پوری نہ ہونے پائی زندگی ختم ہوئی جاتی ہے وہ نہ آئے ہیں تو بے چین ہے روح ابھی آتی ہے ابھی جاتی ہے زندگی آپ کے دیوانے کی کسی صورت سے کٹی جاتی ہے غم میں پروانوں کے اک مدت سے شمع گھلتی ہی چلی جاتی ہے آپ محفل سے چلے جاتے ہیں داستاں باقی رہی جاتی ہے ہم تو بسملؔ ہی رہے خیر ہوئی عشق میں جان چلی جاتی ہے
सारी उम्मीद रही जाती है हाए फिर सुब्ह हुई जाती है नींद आती है न वो आते हैं रात गुज़री ही चली जाती है मजमा-ए-हश्र में रूदाद-ए-शबाब वो सुने भी तो कही जाती है दास्ताँ पूरी न होने पाई ज़िंदगी ख़त्म हुई जाती है वो न आए हैं तो बेचैन है रूह अभी आती है अभी जाती है ज़िंदगी आप के दीवाने की किसी सूरत से कटी जाती है ग़म में परवानों के इक मुद्दत से शम्अ घुलती ही चली जाती है आप महफ़िल से चले जाते हैं दास्ताँ बाक़ी रही जाती है हम तो 'बिस्मिल' ही रहे ख़ैर हुई इश्क़ में जान चली जाती है

More by Bismil Azimabadi
View all →"bayaabaan-e-junun mein shaam-e-ghurbat jab sataayaa ki mujhe rah rah ke ai subh-e-vatan tu yaad aayaa ki nigaah-e-mast idhar meri taraf sharmaa ke dekhaa ki udhar meri tamanna muztarib ho ho ke taDpaa ki ab ahl-e-hosh ko farhaad-o-majnun yaad aate hain jo sach puchho to divaanon se aabaadi thi sahraa ki pahunch to le tumhaari bazm mein lailaa kaa divaana nazar nichi na hogi is tumhaare naam-levaa ki mohabbat aur kahte hain kise do dil ke milne ko chalo bas ho gai fursat na ham shaaki na tum shaaki saf-e-aakhir mein huun lekin mujhe ye fakhr kyaa kam hai tiri aankhon ne itni bhiiD mein meri nazar taaki jo kuchh jalve ke pichhe thaa vo ab aankhon ke aage hai kahaan pohnchi nigaahein aap ke mahv-e-tamaashaa ki chaman se toD li thi ek murjhaai kali main ne bas itni baat par duniyaa ki duniyaa ho gai shaaki ho mauqa' bhi to shaan-e-‘ishq ko ye kab gavaara hai ki teri be-rukhi se daad le apni tamanna ki barahman ki nazar mil jaae to dekhein haram vaale buton ke husn mein parchhaaiyaan us ru-e-zebaa ki bharaa aataa hai dil us sham'-e-afsurda ki qismat par sahar se shaam tak jo raah par vaalon ki dekhaa ki sabhi tere fidaai hain magar ai naujavaan qaatil ye 'bismil' hi pe kyon aakhir tiri talvaar chamkaa ki"
"be-vajh 'andalib ko khauf-e-khizaan nahin ujDaa to ban sakegaa nayaa aashiyaan nahin kuchh qaid hai jagah ki yahaan ho vahaan nahin sajdon kaa shauq ho to kahaan aastaan nahin kaliyon mein rang bhar na saki to bahaar kyaa gul ki qabaa na chhin saki to khizaan nahin kyaa zulm hai ki jaao ho roz is gali se tum aao ho bhuul kar bhi hamaare yahaan nahin jiinaa jo chaahiye to zamaane se jang ho karnaa jo chaahiye to koi nauha-khvaan nahin kyaa aap ko paDi hai jo suniyegaa shauq se zikr-e-amar se baDh ke miri daastaan nahin vaa'iz ke talkh vaa'z se allaah ki panaah mat puchhiye ki zakhm kahaan hain kahaan nahin meri nigaah kaam na de aur baat hai jalva tiraa ba-qadr-e-zarurat kahaan nahin ik aap hain ki ji mein jo aai vo kah gae ik ham adab se khol rahe hain zabaan nahin vahshat mein dekhtaa bhi hai divaana aap kaa daaman kahaan nahin hain garebaan kahaan nahin kyaa jaane kyaa huaa ki vo mahfil se uTh gae puuri abhi hui thi miri daastaan nahin dair-o-haram kahin na milaa vaae re nasib allaah ham ne tujh ko pukaaraa kahaan nahin milte hain dair bhi to haram hi ke aas-paas 'bismil' se tum miloge kahaan aur kahaan nahin"
"kahaan qaraar hai kahne ko dil qaraar mein hai jo thi khizaan mein vahi kaifiyat bahaar mein hai chaman ki khair ho kyaa hai jo aaj har taair paron ko apne sameTe hue bahaar mein hai ab aisaa jiinaa bhi jiine mein koi jiinaa hai na aap bas mein na dil apne ikhtiyaar mein hai chaman mein the to sataati thi fikr-e-daana-o-daam qafas mein hain to dil aTkaa huaa bahaar mein hai kahin khuli to nahin zulf-e-kham-ba-kham us ki ik iztiraab kaa 'aalam mire ghubaar mein hai vo dil-farebi-e-rang-e-bahaar kyaa jaane ki jis kaa hosh Thikaane nahin bahaar mein hai isi kaa naam hai shokhi to iztiraab hai kyaa kisi ke dil kaa talaatum nigaah-e-yaar mein hai chaman mein aa hi gae hain to muskuraa diije kali bhi aap ke hansne ke intizaar mein hai idhar bhi ek uchaTti nazar khudaa ke liye khaDaa huaa koi pahron se intizaar mein hai qadam qadam pe to hai saamnaa qayaamat kaa zamaana phir bhi qayaamat ke intizaar mein hai yahaan to zuhd kaa daaman bhi chaak hai 'bismil' yahaan miraa dil-e-divaana kis shumaar mein hai"
"dekhaa dam-e-aakhir jo mohabbat ki nazar se lauTaa liyaa bimaar ko allaah ke ghar se hosh uD gae milte hi nazar un ki nazar se aaghaaz mein ghabraa gae anjaam ke Dar se jaanaa to ye jaanaa tire andaaz-e-nazar se mahfil mein koi aae koi aane ko tarse zaahid ki qasam sajdon mein bhi baanT ke dekhaa ye baar-e-gunah phir bhi na utraa mire sar se didaar kahaan hasrat-e-didaar mein 'aashiq sar phoDte hain aap ki divaar se dar se jab tak na milegaa tiri rahmat kaa sahaaraa ye baar-e-garaan uTh na sakegaa mire sar se mandir mein pujaari bane masjid mein namaazi kyaa kyaa na gharibon ne kiyaa aap ke Dar se phir dam pe bani paD gae phir jaan ke laale kambakht nazar laD gai phir un ki nazar se khaali na phire thoDi bahut pi hi ke uTThe baiThe rahe jo aas lagaae tire dar se baalin se vo uTh hi gae kahti rahi duniyaa aise mein nahin uThte hain bimaar ke ghar se khaali na mili ek bhi but-khaane ki chaukhaT allaah ke joyaa jo phire apne safar se 'bismil' ne jo do din ke liye riish baDhaai vaa'iz ki tarah gir gayaa duniyaa ki nazar se"
"pher letaa hai jo munh dekh ke surat meri aai kyon TuuT ke aise pe tabi'at meri khinch laai hai idhar un ko mohabbat meri jazb-e-dil tu hi bataa de unhein turbat meri munh pe raunaq hai na vo agli si surat meri kyaa se kyaa ho gai ik aan mein surat meri aaj turbat pe miri TuuT gayaa haar un kaa aaj chauthi ki dulhan ban gai turbat meri baa'd marne ke huaa karti hai har chiiz ki qadr yaad aaegi mire baa'd mohabbat meri vo na aate to na aate magar itnaa karte puchh lete mire ahbaab se haalat meri kyaa huaa kis ki nazar lag gai hairat hai mujhe kyon na baaqi rahi pahli si tabi'at meri ye kharaaba ye udaasi ye bhayaanak raatein sham' bhi rone lagi dekh ke turbat meri ik nai tarh kaa hai apne junun kaa andaaz ik zamaane se niraali hai tabi'at meri talve rah rah ke khujaate hain khudaa khair kare dekhein kyaa rang nayaa laati hai vahshat meri chaadarein chaDhti hain hai gul-badanon kaa mela phir kai roz se gulzaar hai turbat meri teri zulfein to bigaDti bhi hain banti bhi hain jo bigaD kar na bane phir vo hai qismat meri kucha-gardi miri qismat mein likhi hai 'bismil' baiThne degi na ab mujh ko ye vahshat meri"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"