"likh rahaa hai hamaare chehron par roz ik khvaab vaqt kaa khanjar vo kahin aur so gayaa jaa kar raat bhar jaagtaa rahaa bistar tez aandhi se aur kuchh na huaa le gai mujh gharib kaa chhappar dekh kar us ko jhiil ki maanind pheinknaa hi paDaa hai mujh kankar ghar ki taa'rif mein nahin aataa phir bhi kahne ko hai ye meraa ghar us ne pheinkaa na thaa miri jaanib mere sar par lagaa magar patthar khvaahishon kaa alaav hai insaan dekh liije nigaah se chhu kar reza reza paDaa hai aaina sach ki taqdir to yahi hai magar titliyaan regzaar aur dariyaa kitnaa mushkil hai aarzu kaa safar"
saavan aayaa tum na aae din biite — Murtaza Ali Shad
"saavan aayaa tum na aae din biite ham ne nainon diip jalaae din biite amvaa ki chhaanv mein baiThe yug biitaa tum ko dil ki baat sunaae din biite baadal panchhi aur pardes hai ek samaan nadiyaa tu kyon niir bahaae din biite jaane kab suraj niklaa kab rain hui ham to kuchh bhi jaan na paae din biite honTon par muskaan magar dil mein agni aankhon mein saavan lahraae din biite haar to apne bhaag ki rekhaa dukh kaisaa jiit ke tum bhi jiit na paae din biite saanson mein kab phuul khile kuchh yaad nahin adhron se amrit chhalkaae din biite jiinaa to mushkil thaa lekin sach ye hai jiit ke tum bhi jiit na paae din biite ujle kaale pankh pasaare yug yug se ek parinda hamein uDaae din biite"
ساون آیا تم نہ آئے دن بیتے ہم نے نینوں دیپ جلائے دن بیتے اموا کی چھاؤں میں بیٹھے یگ بیتا تم کو دل کی بات سنائے دن بیتے بادل پنچھی اور پردیس ہے ایک سمان ندیا تو کیوں نیر بہائے دن بیتے جانے کب سورج نکلا کب رین ہوئی ہم تو کچھ بھی جان نہ پائے دن بیتے ہونٹوں پر مسکان مگر دل میں اگنی آنکھوں میں ساون لہرائے دن بیتے ہار تو اپنے بھاگ کی ریکھا دکھ کیسا جیت کے تم بھی جیت نہ پائے دن بیتے سانسوں میں کب پھول کھلے کچھ یاد نہیں ادھروں سے امرت چھلکائے دن بیتے جینا تو مشکل تھا لیکن سچ یہ ہے جیت کے تم بھی جیت نہ پائے دن بیتے اجلے کالے پنکھ پسارے یگ یگ سے ایک پرندہ ہمیں اڑائے دن بیتے
सावन आया तुम न आए दिन बीते हम ने नैनों दीप जलाए दिन बीते अमवा की छाँव में बैठे युग बीता तुम को दिल की बात सुनाए दिन बीते बादल पंछी और परदेस है एक समान नदिया तू क्यों नीर बहाए दिन बीते जाने कब सूरज निकला कब रैन हुई हम तो कुछ भी जान न पाए दिन बीते होंटों पर मुस्कान मगर दिल में अग्नी आँखों में सावन लहराए दिन बीते हार तो अपने भाग की रेखा दुख कैसा जीत के तुम भी जीत न पाए दिन बीते साँसों में कब फूल खिले कुछ याद नहीं अधरों से अमृत छलकाए दिन बीते जीना तो मुश्किल था लेकिन सच ये है जीत के तुम भी जीत न पाए दिन बीते उजले काले पँख पसारे युग युग से एक परिंदा हमें उड़ाए दिन बीते

More by Murtaza Ali Shad
View all →"junun-e-shauq ki daar-o-rasan ki baat chali hamaare baa'd hamaare chalan ki baat chali gham-e-hayaat ne sab kuchh bhulaa diyaa thaa magar taDap uThe jo tiri anjuman ki baat chali bayaan-e-mausam-e-gul daastaan-e-raqs-e-bahaar ba-tarz-e-nau usi gul-pairahan ki baat chali fazaa-e-subh-e-gulistaan se shaam-e-zindaan tak khulus-e-ham-nafasaan-e-vatan ki baat chali shuaa-e-dard se jab sang-e-be-hisi pighlaa tilism-e-shisha-giraan-e-kuhan ki baat chali"
"havaa ki jalti hui ridaa ko sahaab kar de sulagti raaton ki saaaton ko gulaab kar de main pyaas ban kar samundaron ko pukaar aayaa jazaa de yaa meri tishnagi kaa hisaab kar de saraab-o-sahraa habaab-o-dariyaa miri kahaani varaq varaq noch kar mujhe be kitaab kar de lahu ki baarish zamin se pyaar kaa sila hai to kaaT de meraa sar mujhe aaftaab kar de duaa ke sukhe hue labon par itaab kaisaa nichoD de baadalon ko aatish ko aab kar de"
"dasht-e-ehsaas mein aavaaz-e-daraa milti hai mujh ko har saans mein tamhid-e-navaa milti hai raat so jaae to bedaar havaa milti hai ghar ki dahliz pe qadmon ki sadaa milti hai tujh ko shaayad nahin maalum harif-e-jaada ye saDak dasht-e-balaa-khez se jaa milti hai ham jise bechnaa chaahein vo kharidein kyon kar zindagi ham se tu baazaar mein kyaa milti hai chaand paane ko musir ho koi rotaa bachcha aaina haath mein de do to jazaa milti hai ghar ke shishon pe tiraa naam likhaa hai jab se dhuup gul-daan ke phulon se khafaa milti hai tujh ko sochein bhi nahin aur kahaani ki tarah baat kyon kucha-o-baazaar se jaa milti hai"
"dekhte kyaa diid ke qaabil koi manzar na thaa paanv dharti par na the aur aasmaan sar par na thaa khud hamin ko khud-kushi kaa shauq thaa chaaragaro doston ki aastinon mein koi khanjar na thaa har paDaav ek shab ke vaaste manzil banaa jis ki khaatir dar-ba-dar bhaTke hamaaraa ghar na thaa qarz miTTi kaa thaa miTTi ke havaale kar diyaa vo jo ham ne dasht ko saunpaa hamaaraa sar na thaa barf mausam aandhiyaan shaakh-o-shajar kuchh bhi na the uDne vaalon ko magar andoh-e-baal-o-par na thaa gumbad-e-koh-e-nidaa se bach nikalnaa thaa muhaal raaste chaaron taraf the aur koi dar na thaa main hi shaaista na Thahraa sangsaari kaa ki aaj sab uThe haathon mein parcham the koi patthar na thaa ham ne nazron se chhuaa palkon se chumaa hai use log kahte the ki khushbu kaa koi paikar na thaa"
"gumrahi mein nae raabte mil gae raah bhaTke hue qaafile mil gae meri tanhaa-ravi kaa bharam miT gayaa ham-safar raaston mein nae mil gae jaane vaale isi moD par ek din phir mileinge agar raaste mil gae main tire aur nazdik aa jaaungaa qurbaton mein agar faasle mil gae teri tasvir album se gum thi magar khat kai tere likhe hue mil gae jaane kyaa baat thi aaj pardes mein ajnabi ajnabi se gale mil gae aaj phir raat ki aankh nam ho gai phir se ham khvaab ko jaagte mil gae"
More on Yaad
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
"kahe detaa huun go hai to nahin ye baat kahne ki tiri khvaahish nahin dil mein ziyaada der rahne ki bachaa kar dil guzartaa jaa rahaa huun har ta’alluq se kahaan us aable ko taab hai ab choT sahne ki rag-o-pai mein na hangaama kare to kyaa kare aakhir ijaazat jab nahin is ranj ko aankhon se bahne ki bas apni apni tarjihaat apni apni khvaahish hai tujhe shohrat kamaane ki mujhe ik she'r kahne ki jahaan kaa huun vahin ki raas aaegi fazaa mujh ko ye duniyaa bhi bhalaa koi jagah hai mere rahne ki jo kal 'irfaan' par guzri sunaa kuchh us ke baare mein khabar tum ne suni tufaan mein dariyaa ke bahne ki"
"kal shab dil-e-aavaara ko siine se nikaalaa ye aakhiri kaafir bhi madine se nikaalaa ye fauj nikalti thi kahaan khaana-e-dil se yaadon ko nihaayat hi qarine se nikaalaa main khuun bahaa kar bhi huaa baagh mein rusvaa us gul ne magar kaam pasine se nikaalaa Thahre hain zar-o-sim ke haqdaar tamaashaai aur maar-e-siyah ham ne dafine se nikaalaa ye soch ke saahil pe safar khatm na ho jaae baahar na kabhi paanv safine se nikaalaa"
"Tuut kar ab sanvar gayaa huun main is tarah se bikhar gayaa huun main jo tire naam ki gali hai vo us gali se guzar gayaa huun main yaadein teri sameT laayaa huun aaj jab se udhar gayaa huun main khud mukarnaa sikhaa diyaa us ne phir kahaa ki mukar gayaa huun main kal talak jo na kar sakaa thaa main aaj vo kaam kar gayaa huun main yuun kahin main nahin Thahartaa par tere dar par Thahar gayaa huun main"
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"