SHAWORDS

safed-posh darindon ne gul khilaae the — Abdur Rahim Nashtar

"safed-posh darindon ne gul khilaae the zamin surkh hui sabz karne aae the samajh liyaa thaa jinhein main ne raushni kaa safir vo aastin mein khanjar chhupaa ke laae the musaafiron ko ghani chhaanv le ke baiTh gai darakht raah ke donon taraf lagaae the mujhe bhi chaaron taraf tishnagi ne dauDaayaa miri nigaah pe aab-e-ravaan ke saae the mujhe ghurur hai main doston ki neki huun unhein khushi hai ki dariyaa mein Daal aae the mire aziiz the vo qabr khod ke rakh di mujhe jo de gae miTTi vo sab paraae the havaa to apnaa qarina badal nahin sakti charaagh aap ne kis zoam mein jalaae the"
Urdu

سفید پوش درندوں نے گل کھلائے تھے زمین سرخ ہوئی سبز کرنے آئے تھے سمجھ لیا تھا جنہیں میں نے روشنی کا سفیر وہ آستین میں خنجر چھپا کے لائے تھے مسافروں کو گھنی چھاؤں لے کے بیٹھ گئی درخت راہ کے دونوں طرف لگائے تھے مجھے بھی چاروں طرف تشنگی نے دوڑایا مری نگاہ پہ آب رواں کے سائے تھے مجھے غرور ہے میں دوستوں کی نیکی ہوں انہیں خوشی ہے کہ دریا میں ڈال آئے تھے مرے عزیز تھے وہ قبر کھود کے رکھ دی مجھے جو دے گئے مٹی وہ سب پرائے تھے ہوا تو اپنا قرینہ بدل نہیں سکتی چراغ آپ نے کس زعم میں جلائے تھے

Hindi

सफ़ेद-पोश दरिंदों ने गुल खिलाए थे ज़मीन सुर्ख़ हुई सब्ज़ करने आए थे समझ लिया था जिन्हें मैं ने रौशनी का सफ़ीर वो आस्तीन में ख़ंजर छुपा के लाए थे मुसाफ़िरों को घनी छाँव ले के बैठ गई दरख़्त राह के दोनों तरफ़ लगाए थे मुझे भी चारों तरफ़ तिश्नगी ने दौड़ाया मिरी निगाह पे आब-ए-रवाँ के साए थे मुझे ग़ुरूर है मैं दोस्तों की नेकी हूँ उन्हें ख़ुशी है कि दरिया में डाल आए थे मिरे अज़ीज़ थे वो क़ब्र खोद के रख दी मुझे जो दे गए मिट्टी वो सब पराए थे हवा तो अपना क़रीना बदल नहीं सकती चराग़ आप ने किस ज़ो'म में जलाए थे

safed-posh darindoñ ne gul khilā.e the
Abdur Rahim Nashtar
Abdur Rahim Nashtar
Abdur Rahim Nashtar
poet34 quotes

More by Abdur Rahim Nashtar

View all →
Quote
"panchhiyon ke ru-ba-ru kyaa zikr-e-naadaari karun pankh TuuTe hi sahi uDne ki tayyaari karun chhoD jaaun apne pichhe 'aalam-e-hairat tamaam maut ke pahlu mein chhup kar shoabada-kaari karun naachti hai jumbish-e-angusht par vo faahisha zindagi kah kar jise khud se riyaa-kaari karun sabz paudon ki taraf baDhne lagi sarkash havaa us ke kapDe noch luun thoDi gunaah-gaari karun nannhi-munni konpalon ko rang-o-nikhat chaahiye kuchh havaa kaa khauf kuchh mausam ki dildaari karun gungunaate shokh panchhi lahlahaati khetiyaan nit-nae khvaabon se nam aankhon mein gul-kaari karun marsiya apnaa sunaaun shahr-e-naa-pursaan ke biich pattharon se aur kyaa ummid-e-gham-khvaari karun"
Abdur Rahim NashtarAbdur Rahim Nashtar
Quote
"main teri chaah mein jhuTaa havas mein sachchaa huun buraa samajh le magar dusron se achchhaa huun main apne aap ko jachtaa huun be-hisaab magar na jaane teri nigaahon main kaisaa lagtaa hon bichhaa rahaa huun kai jaal ird-gard tire tujhe jakaDne ki khvaahish mein kab se baiThaa hon tu barf hai to pighal jaaegaa tamaazat se tu aag hai to main jhonkaa tujhe havaa kaa huun bikhar bhi jaae to mujh se na bach sakegaa kabhi tujhe sameT ke lafzon mein baandh saktaa hon main yuun bhi huun mujhe maalum hi na thaa 'nashtar' samajh rahaa thaa bahut nek huun farishta huun"
Abdur Rahim NashtarAbdur Rahim Nashtar
Quote
"vo so rahaa hai khudaa duur aasmaanon mein farishte loriyaan gaate hain us ke kaanon mein zamin pe girte hain kaT kaT ke sar farishton ke ajiib zalzala aayaa hai aasmaanon mein saDak pe aa gae sab log bilbilaate hue na jaane kaun makin aa gae makaanon mein phaTe puraane badan se kise kharid sakun saje hain kaanch ke paikar baDi dukaanon mein vahin pighal ke na rah jaae meraa sang-e-sadaa ki zard zahr kaa parda hai is ke kaanon mein nikal ke zard charaaghon se zahr kaa aaseb pahunch gayaa hai mire ghar miri dukaanon mein"
Abdur Rahim NashtarAbdur Rahim Nashtar
Quote
"ukhaDti saans ki antim pukaar ho jaaun zamin pe khuun na gire ungliyaan bhigo jaaun havaaein DhunD rahi hain kise chahaar taraf main kis dishaa mein chalun kis dayaar ko jaaun ye lamha lamha manaazir ki titliyaan uD kar chali na jaaein kahin yuun ki main bhi kho jaaun akele rah ke bhi qimat na lag saki us ki to ab ye buund samandar mein hi Dubo jaaun tu phuul hai na guhar kis tarah sajaaun tujhe har ek saans mein dhaDkan tiri piro jaaun bulaa rahi hai mujhe meri khaak apni taraf main apne aap se niklun tamaam ho jaaun bichhi hui hai zamin mere vaaste 'nashtar' yahin kahin isi miTTi kaa ang ho jaaun"
Abdur Rahim NashtarAbdur Rahim Nashtar

More on Khushi

View all →
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"subh-e-nau laati hai har shaam tumhein kyaa maalum zakhm khushiyon ke hain paighaam tumhein kyaa maalum bhuul kar bhi jo kisi bazm mein aayaa na gayaa sainkaDon us pe hain ilzaam tumhein kyaa maalum log gulshan mein to chalte hain sar-afraazi se un mein kitne hain tah-e-daam tumhein kyaa maalum kuchh andhere bhi khataavaar-e-tabaahi hain magar raushni par bhi hai ilzaam tumhein kyaa maalum jis ko tum DhunDte ho sham-e-rukh-e-naaz liye vo to arse se hai gumnaam tumhein kyaa maalum jo rukh-e-zist pe thaa harf-e-ghalat ki maanind mil rahaa hai use inaam tumhein kyaa maalum jo kafan baandh ke chalte hain vafaa ki rah mein zindagi kar chuke nilaam tumhein kyaa maalum surkh-ru kaun huaa kucha-e-jaanaan mein kabhi naamvar bhi hue badnaam tumhein kyaa maalum do qadam bhi na chale raah-e-vafaa mein ham log hai abhi zauq-e-talab khaam tumhein kyaa maalum jo jalaa raat ki tanhaai mein us par bhi 'khayaal' bevafaai kaa hai ilzaam tumhein kyaa maalum"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"pata kaise chale duniyaa ko qasr-e-dil ke jalne kaa dhuein ko raasta miltaa nahin baahar nikalne kaa bataa phulon ki masnad se utar ke tujh pe kyaa guzri miraa kyaa main to aadi ho gayaa kaanTon pe chalne kaa mire ghar se ziyaada duur sahraa bhi nahin lekin udaasi naam hi leti nahin baahar nikalne kaa chaDhegaa zahr khushbu kaa use aahista aahista kabhi bhugtegaa vo khamyaaza phulon ko masalne kaa musalsal jaagne ke baad khvaahish ruuTh jaati hai chalan sikhaa hai bachche ki tarah us ne machalne kaa zar-e-dil le ke pahunchaa thaa mataa-e-jaan bhi kho baiThaa diyaa us ne na mauqaa bhi kaf-e-afsos milne kaa khushi se kaun kartaa hai ghamon ki parvarish 'saajid' kise hai shauq logo dard ke saanche mein Dhalne kaa"
Iqbal SajidIqbal Sajid