SHAWORDS

sar-kashi vusat-o-pahnaai tak — Aarij Meer

HomeAarij MeerGhazal
"sar-kashi vusat-o-pahnaai tak qurbatein sirf paziraai tak sath-dar-sath badan raushan hai kaun pahunchaa tiri raanaai tak talchhatein tairti hain simaabi dhuup ki yurishein binaai tak pau phaTi raat magar aankhon mein silvaTein zaat ki gahraai tak shaam khushbuein nasha aur naghma aur phir kho gai binaai tak"
Urdu

سرکشی وسعت و پہنائی تک قربتیں صرف پذیرائی تک سطح در سطح بدن روشن ہے کون پہنچا تری رعنائی تک تلچھٹیں تیرتی ہیں سیمابی دھوپ کی یورشیں بینائی تک پو پھٹی رات مگر آنکھوں میں سلوٹیں ذات کی گہرائی تک شام خوشبوئیں نشہ اور نغمہ اور پھر کھو گئی بینائی تک

Hindi

सर-कशी वुसअ'त-ओ-पहनाई तक क़ुर्बतें सिर्फ़ पज़ीराई तक सत्ह-दर-सत्ह बदन रौशन है कौन पहुँचा तिरी रानाई तक तलछटें तैरती हैं सीमाबी धूप की यूरिशें बीनाई तक पौ फटी रात मगर आँखों में सिलवटें ज़ात की गहराई तक शाम ख़ुशबुएँ नशा और नग़्मा और फिर खो गई बीनाई तक

sar-kashī vus.at-o-pahnā.ī tak
Aarij Meer
Aarij Meer
Aarij Meer
poet9 quotes

More by Aarij Meer

View all →
Quote
"har gaam pe haalaat se ik naqsh banaa hai ehsaas miraa chaaron taraf phail gayaa hai main bhi huun tahi-dast kharidaaron ki saf mein basti mein miri misr kaa baazaar lagaa hai chaahegaa bhalaa kaun ho divaaron kaa qaidi taqdir magar bair havaaon se paDaa hai barte hue alfaaz mire sher na chhuein haalaat nae hain miraa ehsaas nayaa hai maujein mire paanv se dabi ret na le jaaein armaan ke saahil pe koi soch rahaa hai har moD pe main khud se milaa haath pasaare main ne hi miri soch pe har vaar kiyaa hai"
Aarij MeerAarij Meer

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"chaahe khoTe hain yaa khare hain ham Dast-e-qudrat ke laaDle hain ham 'aks-e-rafta ko dekhiye saahib kitne maa'sum lag rahe hain ham raat jivan kaa giit gaati hai khvaab-e-tanvim dekhte hain ham 'umr lag jaaegi sanbhalne mein kis bulandi se yuun gire hain ham ek hangaam hai taghayyur kaa kunj-e-nisyaan mein paDe hain ham ab bhi mehndi kaa rang gahraa hai sandalin haath par rache hain ham ik tamaashaa hai kaar-zaar-e-hayaat dekh kar ser ho chuke hain ham jhilmilaate hain aarzu ke kanval dil-jharoke se jhaankte hain ham"
Bushra MasuudBushra Masuud