"ai sar-phiri havaa tujhe is ki khabar bhi hai tu jis taraf chali hai udhar meraa ghar bhi hai dastaar mujh se maangne vaale nazar uThaa dastaar hi nahin mire shaane pe sar bhi hai zaahir mein Thik-Thaak hai har ek aadmi andaaz-e-guftugu mein bikharne kaa Dar bhi hai teri hi khushbuon se mahakti hai rahguzar teri taraf safar bhi tu hi ham-safar bhi hai duniyaa tiri 'ajib hai mere khudaa jahaan jiine ki aarzu bhi hai marne kaa Dar bhi hai allaah se 'bashar' nahin chhuptaa kisi kaa haal kyaa hai hamaare dil mein use ye khabar bhi hai"
sar uThaa ke mat chaliye aaj ke zamaane mein — Charan Singh Bashar
"sar uThaa ke mat chaliye aaj ke zamaane mein jaan jaati rahti hai hausla dikhaane mein kis se haq talab kiije bevafaa zamaane mein honTh suukh jaate hain haal-e-dil sunaane mein haath ki lakiron se faisle nahin hote azm kaa bhi hissa hai zindagi banaane mein kho gae kahaan mere eatibaar ke rishte kis ne bo diye kaanTe phuul se gharaane mein manzilon ki baatein to khvaab jaisi baatein hain umr biit jaati hai raasta banaane mein ai 'bashar' miri aankhein jugnuon ki aadi thiin kis ne bijliyaan rakh diin mere aashiyaane mein"
سر اٹھا کے مت چلئے آج کے زمانے میں جان جاتی رہتی ہے حوصلہ دکھانے میں کس سے حق طلب کیجے بے وفا زمانے میں ہونٹھ سوکھ جاتے ہیں حال دل سنانے میں ہاتھ کی لکیروں سے فیصلے نہیں ہوتے عزم کا بھی حصہ ہے زندگی بنانے میں کھو گئے کہاں میرے اعتبار کے رشتے کس نے بو دیئے کانٹے پھول سے گھرانے میں منزلوں کی باتیں تو خواب جیسی باتیں ہیں عمر بیت جاتی ہے راستہ بنانے میں اے بشرؔ مری آنکھیں جگنوؤں کی عادی تھیں کس نے بجلیاں رکھ دیں میرے آشیانے میں
सर उठा के मत चलिए आज के ज़माने में जान जाती रहती है हौसला दिखाने में किस से हक़ तलब कीजे बेवफ़ा ज़माने में होंठ सूख जाते हैं हाल-ए-दिल सुनाने में हाथ की लकीरों से फ़ैसले नहीं होते अज़्म का भी हिस्सा है ज़िंदगी बनाने में खो गए कहाँ मेरे ए'तिबार के रिश्ते किस ने बो दिए काँटे फूल से घराने में मंज़िलों की बातें तो ख़्वाब जैसी बातें हैं उम्र बीत जाती है रास्ता बनाने में ऐ 'बशर' मिरी आँखें जुगनुओं की आदी थीं किस ने बिजलियाँ रख दीं मेरे आशियाने में

More by Charan Singh Bashar
View all →"kisi gum-karda-e-manzil ne hi pahre pe rakkhi hai vo ik zinda lahu ki buund jo kaanTe pe rakkhi hai jo qaatil hain vo sab mahfuz hain apne Thikaanon mein magar ik be-sahaaraa laash chauraahe pe rakkhi hai mire zakhmon ko marham ki tamanna tum se kyaa hogi ki tum ne pyaar ki buniyaad hi badle mein rakkhi hai gharon ki aag ham se bujh nahin sakti magar khush hain ki ham ne saari zimmedaari hamsaae pe rakkhi hai"
"main andheraa ek shab kaa tiraa sham' saa zamaana bhalaa kaise hogaa mumkin koi mil ke ghar basaanaa abhi aag se lipaTne kaa hunar hai mujh mein zinda abhi gardish-e-zamaana mire saamne na aanaa jahaan be-zamir andheron ne kiyaa hai khair-maqdam usi raah par charaaghon ko jalaa ke chhoD jaanaa miraa dil hai muztarib saa tiraa dil hai mutmain saa na tiraa yahaan Thikaanaa na miraa yahaan Thikaanaa main safar pe lauT jaane kaa iraada jab karun huun koi ai 'bashar' kahe hai mire shahr se na jaanaa"
"kab tak rahegaa shab kaa safar dekhnaa ye hai hai kitni duur aur sahar dekhnaa ye hai har ik qadam pe vaqt badal jaae hai yahaan kis tarh tai karoge safar dekhnaa ye hai buDhaa darakht tez havaaon ke saamne kab tak rahegaa sina-sipar dekhnaa ye hai honTon pe khil rahe hain sadaaqat ke chand phuul neze pe kab buland ho sar dekhnaa ye hai dange mein to halaak hue be-shumaar log kal kis tarah chhapegi khabar dekhnaa ye hai insaaniyat ke naam pe kab tak laDeinge ham kab tak bahegaa khun-e-'bashar' dekhnaa ye hai"
"hamin jaise binaa patvaar dariyaa paar karte hain vo kyaa maujon se Takraaeinge jo paani se Darte hain unhin ko ai vatan kyon haashiye pe rakkhaa jaataa hai tiri surat mein jo khun-e-jigar se rang bharte hain agar zinda hi rahnaa hai to rahiye apni sharton par ki khuddaari se khaali log sau sau baar marte hain ghanimat hai bachaa rakkhaa hai ham ne rang-o-khushbu ko ki ham vo phuul hain jo roz sho'lon se guzarte hain 'bashar' sach bolne vaalon ko koi kyaa Daraaegaa jo Darte hain khudaa se vo kahaan duniyaa se Darte hain"
"fazaa-e-aadmiyyat ko sanvarne hi nahin dete siyaasat-daan dilon ke zakhm bharne hi nahin dete zamaana vo bhi thaa jab haadse kaa Dar sataataa thaa magar ab haadse logon ko Darne hi nahin dete kuchh ham ne khvaab aise paal rakkhe hain ki jo ham ko haqiqat ki zamin par paanv rakhne hi nahin dete ye maanaa 'ishq se banti hai jannat zindagi lekin masaail zindagi se 'ishq karne hi nahin dete guzargaahon ke aage manzilein aavaaz deti hain magar Thahre hue lamhe guzarne hi nahin dete 'bashar' be-rahm hain ye parbaton jaise usuul apne kisi ke dil ki vaadi mein utarne hi nahin dete"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"