SHAWORDS

shokhi-e-dard-e-dil-e-zaar gul-e-naghma hai — Nirmal Nadeem

HomeNirmal NadeemGhazal
"shokhi-e-dard-e-dil-e-zaar gul-e-naghma hai us kaa har lahja-e-guftaar gul-e-naghma hai soi soi si khalaaon ko ham-aaghosh karo qulzum-e-zakhm se bedaar gul-e-naghma hai khvaab-e-imkaan-e-vafaa hai vo mujassam koi ham hue jis ke parastaar gul-e-naghma hai chaandni ki hai nai shama shagufta pur-nur sar-taa-paa ishq kaa shahkaar gul-e-naghma hai chaand suraj ye sitaare hain sharaare us ke us ki angDaai to anvaar gul-e-naghma hai shash-jihaat us ke hain auraaq-e-ziyaa oDhe hue muskuraataa huaa sansaar gul-e-naghma hai mauj-dar-mauj badan kartaa hai jaadu jaise har adaa us ki pur-asraar gul-e-naghma hai aaina si hai vo doshiza mohabbat ki misaal honT shoala hai to rukhsaar gul-e-naghma hai rishta-e-ruh ne baandhaa hai hamein kis ke 'nadim' main qalandar huun miraa yaar gul-e-naghma hai"
Urdu

شوخیٔ درد دل زار گل نغمہ ہے اس کا ہر لہجۂ گفتار گل نغمہ ہے سوئی سوئی سی خلاؤں کو ہم آغوش کرو قلزم زخم سے بیدار گل نغمہ ہے خواب امکان وفا ہے وہ مجسم کوئی ہم ہوئے جس کے پرستار گل نغمہ ہے چاندنی کی ہے نئی شمع شگفتہ پر نور سر تا پا عشق کا شہکار گل نغمہ ہے چاند سورج یہ ستارے ہیں شرارے اس کے اس کی انگڑائی تو انوار گل نغمہ ہے شش جہات اس کے ہیں اوراق ضیا اوڑھے ہوئے مسکراتا ہوا سنسار گل نغمہ ہے موج در موج بدن کرتا ہے جادو جیسے ہر ادا اس کی پر اسرار گل نغمہ ہے آئنہ سی ہے وہ دوشیزہ محبت کی مثال ہونٹ شعلہ ہے تو رخسار گل نغمہ ہے رشتۂ روح نے باندھا ہے ہمیں کس کے ندیمؔ میں قلندر ہوں مرا یار گل نغمہ ہے

Hindi

शोख़ी-ए-दर्द-ए-दिल-ए-ज़ार गुल-ए-नग़्मा है उस का हर लहजा-ए-गुफ़्तार गुल-ए-नग़्मा है सोई सोई सी ख़लाओं को हम-आग़ोश करो क़ुल्ज़ुम-ए-ज़ख़्म से बेदार गुल-ए-नग़्मा है ख़्वाब-ए-इम्कान-ए-वफ़ा है वो मुजस्सम कोई हम हुए जिस के परस्तार गुल-ए-नग़्मा है चाँदनी की है नई शम्अ' शगुफ़्ता पुर-नूर सर-ता-पा इश्क़ का शहकार गुल-ए-नग़्मा है चाँद सूरज ये सितारे हैं शरारे उस के उस की अंगड़ाई तो अनवार गुल-ए-नग़्मा है शश-जिहात उस के हैं औराक़-ए-ज़िया ओढ़े हुए मुस्कुराता हुआ संसार गुल-ए-नग़्मा है मौज-दर-मौज बदन करता है जादू जैसे हर अदा उस की पुर-असरार गुल-ए-नग़्मा है आइना सी है वो दोशीज़ा मोहब्बत की मिसाल होंट शो'ला है तो रुख़्सार गुल-ए-नग़्मा है रिश्ता-ए-रूह ने बाँधा है हमें किस के 'नदीम' मैं क़लंदर हूँ मिरा यार गुल-ए-नग़्मा है

shoḳhī-e-dard-e-dil-e-zār gul-e-naġhma hai
Nirmal Nadeem
Nirmal Nadeem
Nirmal Nadeem
poet15 quotes

More by Nirmal Nadeem

View all →
Quote
"kaabe se ranj hai na adaavat kunisht se dil ye bahal na paaegaa apnaa bahisht se is aarzu mein ek hi pal ko sukun mile ham dil badal rahe hain tire sang-o-khisht se ik tum hi the na jis ko kabhi raas aa saki duniyaa ye chal rahi hai miri sarguzisht se raah-e-vafaa mein ab kyaa luTaaoge soch lo daakhil to ho gae ho dil-o-jaan ki kisht se jis se azaab-e-ishq ki taaqat mein ho kami munh ham nahin lagaate kabhi us palisht se dil hai ke raqs kartaa hai zanjir baandh kar lag kar kahin na baiThaa ho ye ahl-e-chisht se har gosha hai sukun ke aab-e-baqaa se tar baahar nikal ke dekh zaraa khub-o-zisht se baDh kar junun ne kar hi diyaa aasmaan buland taalim le rahaa thaa vo meri sarisht se Thahro 'nadim' saans to lene do zoaf mein ghabraa rahaa hai ishq mire sar-navisht se"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem
Quote
"bazm-e-khubaan se uThe daar-o-rasan tak pahunche aap hi aap mire paanv gagan tak pahunche ek main hi thaa jo sayyaad ki jholi mein giraa uD gae saare parinde jo chaman tak pahunche sirf dil hi ko jalaanaa to koi baat nahin ishq ik aag agar hai to badan tak pahunche bandishon hi ki numaaish hai hayaat-e-aadam ek dhaage se bandhe aur kafan tak pahunche umr kamtar hi se koshish thi musalsal jaari sher apnaa bhi koi tarz-e-sukhan tak pahunche aakhiri ek ye khvaahish hai mire siine mein khaak jab meri uDe apne vatan tak pahunche sharm kaa phuul main aankhon se teri chun lungaa is se pahle ki jhaDe aur dahan tak pahunche aasmaanon ko dabaa legaa vo pairon ke tale shauq insaan kaa gar us ki lagan tak pahunche kyaa zarurat ki karein chal ke tavaaf-e-duniyaa fikr apni ye agar gang-o-jaman tak pahunche soch lenaa thaa tujhe itnaa ki kyaa hogaa 'nadim' aaj kaa sher agar tere sajan tak pahunche"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem
Quote
"nibhaayaa ishq ne rishta jo pyaas paani kaa uDaa ke le gayaa hosh-o-havaas paani kaa kaTe shajar ke sisakte hue se patton par dikhaai detaa hai chehra udaas paani kaa sharif logon ki aankhon mein aag rakh degi pahan ke niklegi jab vo libaas paani kaa vo aise dekhtaa rahtaa hai meri aankhon mein lagaane baiThaa huun jaise qayaas paani kaa kinaare ho ke khaDe shor sun rahe ho kyaa utar ke dekho tahon mein hiraas paani kaa tumhein sanvarne ki sajne ki kyaa zarurat hai chamaktaa rahtaa hai rukh par ujaas paani kaa lipaT gae hain mire paanv se sabhi aflaak jo mere haath mein aayaa gilaas paani kaa isi liye to miraa sar buland rahtaa hai hamesha azm rahaa mere paas paani kaa 'nadim' ghuum ke saare jahaan mein dekh liyaa koi bachaa hi nahin ab shanaas paani kaa"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem
Quote
"vafaa ki raah mein dushvaariyaan bahut si hain magar junun ki bhi tayyaariyaan bahut si hain jalaal apni mohabbat kaa sab se unchaa hai badan mein aise to bimaariyaan bahut si hain hamaare paas faqat dil kaa dard hai lekin tumhaare paas to ayyaariyaan bahut si hain har ek shakhs ki fikrein judaa judaa Thahrin jahaan-e-aam mein khuddaariyaan bahut si hain vafaa ki saari misaalein ginaa to duun lekin vatan mein apne bhi ghaddaariyaan bahut si hain dilon mein palte hue khvaab jaante hi nahin tabaah karne ko be-kaariyaan bahut si hain kisi ne mujh se kahaa thaa ki yaar sun to sahi adaa mein husn ki makkaariyaan bahut si hain saji hai bazm-e-mohabbat ye jaan kis ke liye yahaan to logon mein bezaariyaan bahut si hain 'nadim' kyuun tu tah-e-iztiraab Duub gayaa dilon ke khel mein bhi paariyaan bahut si hain"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem
Quote
"ragon mein meri sharaaron kaa raqs jaari hai junun hai ranj hai gham hai ki be-qaraari hai dil-e-asir ke zakhmon mein kyaa nahin maujud vafaa hai ishq hai vahshat hai jaan-nisaari hai labon pe dasht hai aankhon mein khuun ke dhabbe samundaron se magar apni ru-bakaari hai adaa-e-naaz se kartaa hai zulm vo mujh par use na khauf-e-khudaa hai na sharmsaari hai havaa mein ghulti hui khushbuon ne farmaayaa gurez tum se nahin jag se parda-daari hai jise gale se lagaayaa banaa diyaa suraj bulandiyon se kahin baDh ke khaaksaari hai thirak rahe hain munDeron pe mor khvaahish ke vo jab se aaya hai dil mein surur taari hai tumhaare chehre se bahtaa hai nuur kaa jharnaa tumhaari zulfon se aalam mein aabiyaari hai falak se hoti hai naazil duaaon ki tanvir ibaadaton se miraa rang-e-aah-o-zaari hai qarib aa ke kabhi dekho meri tanhaai is intizaar ke daaman mein kyaa khumaari hai parinde shaakh se ik ek kar ke uDte gae hamin bache hain hamaari bhi ab ke baari hai badan to surat-e-divaar ishtihaar huaa zabaan pe ishq ke chhaalon ki laala-kaari hai Dhali hai shaam bujhaane mein aag suraj ki charaagh-e-dard jalaane mein shab guzaari hai hamaare khvaab bhaTakte hain dasht-o-sahraa mein kise bataaein ki kyaa aarzu hamaari hai 'nadim' donon jahaan us ki dosti pe nisaar usi se ranj usi se hi gham-gusaari hai"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem
Quote
"bhanvar se bach ke vo saahil ke paas Duub gayaa jahaan kaa dekh ke khauf-o-hiraas Duub gayaa ajab se khauf mein lipTaa hai gaanv kaa panghaT sunaa hai phir se koi devdaas Duub gayaa mujhe sharaab hi itni mili thi duniyaa se ki maare sharm ke meraa gilaas Duub gayaa gavaara ho na sakaa us ko bahr kaa ehsaan labon pe le ke qayaamat ki pyaas Duub gayaa kahun to kis se kahun apne dil ki taklifein mire hi gham mein miraa gham-shanaas Duub gayaa huaa jo saamnaa suraj kaa mere zakhmon se falak pe chhoD ke apnaa libaas Duub gayaa 'nadim' apne ghamon se nikal chukaa thaa magar gham-e-jahaan se ho kar udaas Duub gayaa"
Nirmal NadeemNirmal Nadeem

More on Raat

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri