SHAWORDS

shor kar ke sukun paate hain — Atif Naseer

HomeAtif NaseerGhazal
"shor kar ke sukun paate hain qaid mein beDiyaan hilaate hain ek jaisi hai bhuuk donon ki aao ik dusre ko khaate hain maskhara ban ke ji rahe hain ham zinda rahne ko muskuraate hain 'umr kaa ek saal ghaTne par log kitni khushi manaate hain chhoD logon ko mujh se baatein kar log to ungliyaan uThaate hain dushmani siikh lo mire yaaro jang mein saamne se aate hain"
Urdu

شور کر کے سکون پاتے ہیں قید میں بیڑیاں ہلاتے ہیں ایک جیسی ہے بھوک دونوں کی آؤ اک دوسرے کو کھاتے ہیں مسخرہ بن کے جی رہے ہیں ہم زندہ رہنے کو مسکراتے ہیں عمر کا ایک سال گھٹنے پر لوگ کتنی خوشی مناتے ہیں چھوڑ لوگوں کو مجھ سے باتیں کر لوگ تو انگلیاں اٹھاتے ہیں دشمنی سیکھ لو مرے یارو جنگ میں سامنے سے آتے ہیں

Hindi

शोर कर के सुकून पाते हैं क़ैद में बेड़ियाँ हिलाते हैं एक जैसी है भूक दोनों की आओ इक दूसरे को खाते हैं मसख़रा बन के जी रहे हैं हम ज़िंदा रहने को मुस्कुराते हैं 'उम्र का एक साल घटने पर लोग कितनी ख़ुशी मनाते हैं छोड़ लोगों को मुझ से बातें कर लोग तो उँगलियाँ उठाते हैं दुश्मनी सीख लो मिरे यारो जंग में सामने से आते हैं

shor kar ke sukūn paate haiñ
Atif Naseer
Atif Naseer
Atif Naseer
poet8 quotes

More by Atif Naseer

View all →
Quote
"kaisaa 'ajib vaqt thaa ji mein bhi kyaa samaai thi us ki gali ke ho liye haalaanki jag-hansaai thi vaise mili thi vo mujhe beron ke baagh mein magar sandal ke peD si mahak us ke badan se aai thi us ne kahaa jo ek din hans bhi liyaa karo kabhi ham ne udaasi toD di mushkil se jo kamaai thi us ne mujhe tasalliyaan jitni bhi diin vo jhuuT thiin main ne bhi us ko daastaan sachchi kahaan sunaai thi main ne baDhaa ke haath phir sach-much hi us ko chhu liyaa ik din vo mere khvaab mein itne qarib aai thi phir kyaa huaa ki raat bhar taaron ne siskiyaan bharin us ne kisi udaas shaam apni palak uThaai thi kheme jalaae jaane se paidal phiraae jaane tak vo din kabhi na phir huaa vo shaam phir na aai thi duniyaa ne jo kahaa kahaa duniyaa se khair kyaa gila tum se to ek rabt thaa tum se to aashnaai thi ham ne bhi baagh-e-‘ishq se chori kiyaa thaa ek vasl khinchvaae kaan hijr se aur khuub maar khaai thi"
Atif NaseerAtif Naseer

More on Raat

View all →
Quote
"na koi dost ho meraa na ho adu meraa tum apne munh se agar kah do mujh ko tu meraa fasurdagi mein junun-e-havaa-e-gul yaani khizaan ke daur mein saudaa-e-rang-o-bu meraa jo tum nahin to bahaar-e-jinaan mein khaak nahin bahut vasia hai daamaan-e-aarzu meraa nibhegi ai dil-e-aavaara ab na tujh se miri bas aaj se na main teraa huun aur na tu meraa banaa rahe hain vo jalve ki apne tasvirein dikhaa dikhaa ke tamaashaa-e-rang-o-bu meraa kisi ki zulf-e-siyah kah rahi hai khul khul kar ghaTaa ne rang uDaayaa hai hu-ba-hu meraa mah-e-siyaam kaa aur intizaam kyaa karte janaab-e-shaikh uDaa le gae subu meraa jafaa kaa rang judaa hai vafaa kaa rang judaa malo na dast-e-hinaai mein tum lahu meraa taDap rahi hai jo abr-e-siyaah mein bijli firaaq mein yahi naqsha thaa hu-ba-hu meraa suhaani raat hai chhiTki hai chaandni 'muztar' miri nigaah mein phirtaa hai maah-ru meraa"
M
Muztar Muzaffarpuri
Quote
"raakh ke Dher pe kyaa shoala-bayaani karte ek qisse ki bhalaa kitni kahaani karte husn itnaa thaa ki mumkin hi na thi khud-nigari ek imkaan ki kab tak nigaraani karte shola-e-jaan ko bujhaate yunhi qatra qatra khud ko ham aag banaate tujhe paani karte phuul saa tujh ko mahaktaa huaa rakhte shab bhar apne saanson se tujhe raat ki raani karte naddiyaan dekhein to bas sharm se paani ho jaaein chashm-e-khun-basta se paidaa vo ravaani karte sab se kahte ki ye qissa hai puraanaa saahab aah ki aanch se tasvir puraani karte dar-o-divaar badalne mein kahaan ki mushkil ghar jo hotaa to bhalaa naql-e-makaani karte koi aa jaataa kabhi yunhi agar dil ke qarib ham tiraa zikr pae-yaad-dahaani karte sach to ye hai ki tire hijr kaa ab ranj nahin kyaa dikhaave ke liye ashk-fishaani karte dil ko har lahza hi di aql pe ham ne tarjih yaar-e-jaani ko kahaan dushman-e-jaani karte shab isi tarah basar hoti hai meri 'irfaan' harf-e-khush-rang ko andoh-e-maaani karte"
Irfan SattarIrfan Sattar
Quote
"phir khuun mein vahshat raqsaan hai tajdid sitam karne ke liye ik taaza zakhm ki khvaahish hai ik sadma kam karne ke liye ham din-bhar duniyaa-daari mein hans hans ke baatein karte hain phir saari raat pighalte hain ik ashk raqam karne ke liye vo vasl ki jis ne ham donon ko yaksar be-buniyaad kiyaa ab fursat hai aa mil baiThein us vasl kaa gham karne ke liye ik kaari zakhm ki chaahat ne kyaa kyaa na hamein gulzaar kiyaa ham kis kis se mansub hue ik hijr baham karne ke liye insaan ke jiine marne ke majburi ke mukhtaari ke ye saare khel zaruri hain taamir adam karne ke liye"
Irfan SattarIrfan Sattar