SHAWORDS

taa-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makaan hai — Amritanshu Sharma

"taa-hadd-e-nazar barhami-e-kaun-o-makaan hai dekhe se to lagtaa hai ki aaghaaz-e-jahaan hai ik aan hi khinchte hain nigaahon mein do manzar ye aalam-e-maujud haqiqat hai gumaan hai dekhe to bahut dair-o-haram taak kalisaa duniyaa mein magar tujh saa hasin koi kahaan hai har zarra tiraa paikar-e-partav nazar aaya ye soch rahaa huun tu nihaan hai ki ayaan hai bulbul ke ye naghme ki havaaon ki ye sarsar karte hain bhajan teraa ki aavaaz-e-azaan hai"
Urdu

تا حد نظر برہمیٔ کون و مکاں ہے دیکھے سے تو لگتا ہے کہ آغاز جہاں ہے اک آن ہی کھنچتے ہیں نگاہوں میں دو منظر یہ عالم موجود حقیقت ہے گماں ہے دیکھے تو بہت دیر و حرم تاک کلیسا دنیا میں مگر تجھ سا حسیں کوئی کہاں ہے ہر ذرہ ترا پیکر پرتو نظر آیا یہ سوچ رہا ہوں تو نہاں ہے کہ عیاں ہے بلبل کے یہ نغمے کہ ہواؤں کی یہ صرصر کرتے ہیں بھجن تیرا کہ آواز اذاں ہے

Hindi

ता-हद्द-ए-नज़र बरहमी-ए-कौन-ओ-मकाँ है देखे से तो लगता है कि आग़ाज़-ए-जहाँ है इक आन ही खिंचते हैं निगाहों में दो मंज़र ये आलम-ए-मौजूद हक़ीक़त है गुमाँ है देखे तो बहुत दैर-ओ-हरम ताक कलीसा दुनिया में मगर तुझ सा हसीं कोई कहाँ है हर ज़र्रा तिरा पैकर-ए-परतव नज़र आया ये सोच रहा हूँ तू निहाँ है कि अयाँ है बुलबुल के ये नग़्मे कि हवाओं की ये सरसर करते हैं भजन तेरा कि आवाज़-ए-अज़ाँ है

tā-hadd-e-nazar barhamī-e-kaun-o-makāñ hai
Amritanshu Sharma
Amritanshu Sharma
Amritanshu Sharma
poet15 quotes

More by Amritanshu Sharma

View all →
Quote
"aisaa nahin milegaa kahin be-qaraar dil aashuftagi kaa maaraa huaa sogvaar dil baazaar bhi hai dair-o-haram bhi hain ishq bhi jhele to jhele kitnaa gham-e-rozgaar dil kuchh roz se vo khasta-tani hai ki kyaa kahun siina rafu kiyaa to huaa taar-taar dil thaa ik khayaal us kaa so vo bhi chalaa gayaa kis se nikaale jaa ke bhalaa ab ghubaar-e-dil bas ek sang-e-dar se rahaa rishta umr-bhar aisaa nahin milegaa ibaadat-guzaar dil teri hi be-niyaaz adaa kaa asar ye hai ab khud hi DhunDhne lagaa raah-e-faraar dil is shahr-e-rang-o-nur se aage nikal gayaa ab jaa chukaa hai ishq-e-majaazi ke paar dil"
Amritanshu SharmaAmritanshu Sharma
Quote
"milte hain shahr-e-yaar mein manzar gulaab ke sab saaebaan gulaab ke sab dar gulaab ke jab aaftaab khuun mein nahaayaa zavaal par baadal lahu-lahu the ki lashkar gulaab ke saayaa kisi kaa sehn-e-chaman par bikhar gayaa aur ban rahe hain baagh mein paikar gulaab ke koi to rang-e-aatish-e-lab ko badal gayaa pahle the un ke honT baraabar gulaab ke yaaqut thaa sharar the lahu thaa ki aab-e-surkh aankhein thiin un ki yaa ki the saaghar gulaab ke bhanvaron se puchhe koi bhalaa ras ko chhoD kar kyaa DhunDte hain jaane vo andar gulaab ke bulbul se koi kah de chaman mein ki in dinon 'amrit' bhi ho gae hain sukhanvar gulaab ke"
Amritanshu SharmaAmritanshu Sharma

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"aakhiri hal thaa yahi pesh-e-nazar jaane diyaa ek gahri saans li phir khvaab mar jaane diyaa saarbaanaa de gavaahi mujh ko pyaari thi anaa rakh liyaa zaad-e-safar aur ham-safar jaane diyaa hazrat-e-naaseh ki khush-uftaadgi pe daad hai khud jidhar se aae the sab ko udhar jaane diyaa is harim-e-naaz mein yuun be-mahaabaa guftugu kuchh bharam rakkhaa to hotaa tum ko gar jaane diyaa tujh ko rokaa jaa rahaa thaa raushni thi jab talak shaam ke Dhalte samay suraj ko ghar jaane diyaa aankh sapne dekhti thi aansuon se kyon bhari chaahti to puchh leti main magar jaane diyaa dostaa qismat na ho to koshishein bekaar hain sabr kaa paimaana ham ne khud hi bhar jaane diyaa dil musir thaa baarhaa kuchh jaanchne ko ruk gae aakhirash us ne hamein baar-e-digar jaane diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud