"kab tak baandh ke rakkhun khud se tere sab barbaadon ko achchhaa ghar ko aag lagaa duun khaak karun sab yaadon ko achchhaa achchhaa Thiik hai yaaraa rahne de tamhid sabhi jaante hain achchhe se ham bhi tere jaise saadon ko ek chhalaavaa ek saraab thaa saari chaahat shirin ki jaao jaa kar khabar karo sab teshon ko farhaadon ko ab ke vaqt kaDaa hai ham par jo bhi kah dein aap bajaa vaqt kaa pahiyaa ghuum gayaa phir dekheinge shahzaadon ko kaise aas dilaaun dil ko kaise bolun sabr kare chain kahaan aane paataa hai qismat ke naa-shaadon ko maatam-vaatam khatm kareinge sog miTaaeinge saaraa yaa'ni aakhir dafnaa deinge aaj ki raat muraadon ko"
tab bhi jazbon mein ye hi shiddat thi — Mahrukh Ali Mahi
"tab bhi jazbon mein ye hi shiddat thi jab yahaan raat aur vahshat thi haae jo luT gai hai khvaahish mein yaar vo ruuh nek-sirat thi zindagi se gila nahin koi zindagi vaaris-e-aziyyat thi aur baaton kaa ham ko kyaa maa'lum haan magar aap se mohabbat thi aur koi nahin thaa meraa vahaan bas tiri yaad hi se nisbat thi aaine mein bhi ek aaina thaa yaa'ni surat mein ek surat thi is liye bhi uDaan bhar na saki khaak se is badan ko dahshat thi aur kuchh kab thaa in khayaalon mein ik jahannum thaa ek jannat thi"
تب بھی جذبوں میں یہ ہی شدت تھی جب یہاں رات اور وحشت تھی ہائے جو لٹ گئی ہے خواہش میں یار وہ روح نیک سیرت تھی زندگی سے گلہ نہیں کوئی زندگی وارث اذیت تھی اور باتوں کا ہم کو کیا معلوم ہاں مگر آپ سے محبت تھی اور کوئی نہیں تھا میرا وہاں بس تری یاد ہی سے نسبت تھی آئنے میں بھی ایک آئنہ تھا یعنی صورت میں ایک صورت تھی اس لیے بھی اڑان بھر نہ سکی خاک سے اس بدن کو دہشت تھی اور کچھ کب تھا ان خیالوں میں اک جہنم تھا ایک جنت تھی
तब भी जज़्बों में ये ही शिद्दत थी जब यहाँ रात और वहशत थी हाए जो लुट गई है ख़्वाहिश में यार वो रूह नेक-सीरत थी ज़िंदगी से गिला नहीं कोई ज़िंदगी वारिस-ए-अज़िय्यत थी और बातों का हम को क्या मा'लूम हाँ मगर आप से मोहब्बत थी और कोई नहीं था मेरा वहाँ बस तिरी याद ही से निस्बत थी आइने में भी एक आइना था या'नी सूरत में एक सूरत थी इस लिए भी उड़ान भर न सकी ख़ाक से इस बदन को दहशत थी और कुछ कब था इन ख़यालों में इक जहन्नुम था एक जन्नत थी

More by Mahrukh Ali Mahi
View all →"aap ki hamdardiyaan kab chaahiyein miskin ko hausla dene chale hain aap jo ghamgin ko koi bhi aayaa nahin thaa khvaab ki tadfin ko kuchh na kuchh isaal hi kar dil ke marhumin ko haafize ko chhaanT jo yaadein thiin khushiyon kaa sabab yaad rakh paaein faqat ham bas unhi do tiin ko meraa chehra miT bhi jaae gar to kyaa ho jaaegaa aur bhi chehre hain us ki aankh ki taskin ko aag kaa dariyaa kahaa thaa jis kisi ne 'ishq ko yaad rakhte kaash ham daanaa ki is talqin ko"
"dastur tark kar ke baghaavat kareinge ham aatish-kade mein jhonk ke duniyaa chaleinge ham sadmon kaa apne vaaste kuchh ehtimaam ho vahshat tamaam hogi to marne lageinge ham kaisi 'ajib baat pe aTkaa hai ab ke zehn tere nahin rahe to kahaan ke raheinge ham thakne lageinge ‘aalam-e-aavaargi mein jab vahshat kaa haath thaam ke aage baDheinge ham achchhaa chalo tamaam huaa saath aur salaam achchhaa khudaa ne chaahaa to phir se mileinge ham"
"rote hue ik baar main is taur hansun bhi sab ahl-e-hunar jaan sakein zor-e-junun bhi haq-hu pe dharo kaan bhale Thiik hai lekin kuchh apni samaa'at mein bharo kun-fayakun bhi ghhambir khamoshi hai magar dard hai sar mein ai kaash ki sannaaTon mein mil jaataa sukun bhi yaa'ni ki shab-o-roz tujhe duur se dekhun matlab ki main har roz marun roz jiyun bhi yaa'ni ki tire saath bhi chup-chaap guzaarun phir haath chhuDaa le ki guzar jaani thi yuun bhi kab aaegaa jaane mujhe alfaaz mein Dhalnaa jab logon se bolun ki main khush huun to lagun bhi"
"raaegaani uThaa zaruri hai kuchh na kuchh to ganvaa zaruri hai rah rahi huun andher-nagri mein raushni baanTnaa zaruri hai shor har samt hai jhamelon kaa kyaa bataaun ki kyaa zaruri hai khud se khud thaam kar chalo khud ko ik yahi aasraa zaruri hai habs-khaana banaa hai khaana-e-dil yaar mujh ko rulaa zaruri hai vahshatein bas gai hain siine mein aansuon ki ghizaa zaruri hai khud se ghaflat kaa dukh sataae bahut ab mujhe aaina zaruri hai gham ko siine lagaa ke chal 'maahi' garm-joshi dikhaa zaruri hai"
"ai dilaa bol kyaa karein teraa haao-hu kis tarah sunein teraa jaan-o-dil tere naam likh chhoDe aur ab bol kyaa karein teraa ab baraae lavaazimaat-e-junun hijr darkaar hai hamein teraa daaera qaid lag rahaa hai tujhe yaa'ni ye band toD dein teraa yaa'ni ab vo bhi tere saath nahin vo baDaa zo'm thaa jinhein teraa ham se puchhaa kareinge teraa log kyaa bataaeinge ham unhein teraa bas zaraa Thahr kaan dhar to zaraa kyaa bigaaDeingi minnatein teraa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"tirgi shama bani raahguzar mein aai saaat ik aisi bhi kal apne safar mein aai jis jagah chehra hi meyaar-e-vafaa Thahraa hai khaak hi khaak vahaan dast-e-hunar mein aai teri nazron mein thi duniyaa to yahi kyaa kam thaa hashr ye hai ki tu duniyaa ki nazar mein aai baar-haa yaaron ne saahil se kahaa thaa ham hain baar-haa naav magar apni bhanvar mein aai zindagi samjhun ise yaa ki ise maut kahun vo jo mehmaan ki surat mire ghar mein aai yuun bhi taarikh ki taarikh raqam hoti hai nikli taarikh mahal se to khanDar mein aai khvaab hi khvaab ki taabir huaa to jaanaa zindagi kyuun kisi aankhon ke asar mein aai shama jalte hi bujhi aur dhuaan aisaa uThaa lazzat-e-shaam yahaan khvaab-e-sahar mein aai zindagi kuchh hai 'ataa' sher-o-adab hai kuchh aur ye do-rangi ki vabaa kaisi hunar mein aai"