SHAWORDS

tamaashaa-e-alam hai aur main huun — Hamdam Siddiqi

HomeHamdam SiddiqiGhazal
"tamaashaa-e-alam hai aur main huun khushi ke saath gham hai aur main huun zamaane kaa sitam hai aur main huun ye sab un kaa karam hai aur main huun rah-e-haq par qadam hai aur main huun sar-e-aflaak kham hai aur main huun tamavvuj par abhi hai bahr-e-hasti safina zer-o-bam hai aur main huun abhi kaise kahun subh-e-bahaaraan abhi to shaam-e-gham hai aur main huun kahin bazm-e-nashaat-e-aish-o-ishrat kahin par chashm-e-nam hai aur main huun badal Daalun nizaam-e-zindagi ye baDi mushkil mein dam hai aur main huun kisi lamha bhaDak kar bujh na jaae charaagh-e-subh-dam hai aur main huun mujhe tanhaa na samjho mere 'hamdam' hujum-e-ranj-o-gham hai aur main huun"
Urdu

تماشائے الم ہے اور میں ہوں خوشی کے ساتھ غم ہے اور میں ہوں زمانے کا ستم ہے اور میں ہوں یہ سب ان کا کرم ہے اور میں ہوں رہ حق پر قدم ہے اور میں ہوں سر افلاک خم ہے اور میں ہوں تموج پر ابھی ہے بحر ہستی سفینہ زیر و بم ہے اور میں ہوں ابھی کیسے کہوں صبح بہاراں ابھی تو شام غم ہے اور میں ہوں کہیں بزم نشاط عیش و عشرت کہیں پر چشم نم ہے اور میں ہوں بدل ڈالوں نظام زندگی یہ بڑی مشکل میں دم ہے اور میں ہوں کسی لمحہ بھڑک کر بجھ نہ جائے چراغ صبح دم ہے اور میں ہوں مجھے تنہا نہ سمجھو میرے ہمدمؔ ہجوم رنج و غم ہے اور میں ہوں

Hindi

तमाशा-ए-अलम है और मैं हूँ ख़ुशी के साथ ग़म है और मैं हूँ ज़माने का सितम है और मैं हूँ ये सब उन का करम है और मैं हूँ रह-ए-हक़ पर क़दम है और मैं हूँ सर-ए-अफ़्लाक ख़म है और मैं हूँ तमव्वुज पर अभी है बहर-ए-हस्ती सफ़ीना ज़ेर-ओ-बम है और मैं हूँ अभी कैसे कहूँ सुब्ह-ए-बहाराँ अभी तो शाम-ए-ग़म है और मैं हूँ कहीं बज़्म-ए-नशात-ए-ऐश-ओ-इशरत कहीं पर चश्म-ए-नम है और मैं हूँ बदल डालूँ निज़ाम-ए-ज़िंदगी ये बड़ी मुश्किल में दम है और मैं हूँ किसी लम्हा भड़क कर बुझ न जाए चराग़-ए-सुब्ह-दम है और मैं हूँ मुझे तन्हा न समझो मेरे 'हमदम' हुजूम-ए-रंज-ओ-ग़म है और मैं हूँ

tamāshā-e-alam hai aur maiñ huuñ
Hamdam Siddiqi
Hamdam Siddiqi
Hamdam Siddiqi
poet9 quotes

More by Hamdam Siddiqi

View all →
Quote
"jab se chaman mein apnaa huaa aashiyaan udaas fasl-e-bahaar mein bhi rahaa gulsitaan udaas bazm-e-nashaat aish-o-tarab ke maaal se honaa thaa ho rahaa hai dil-e-shaadmaan udaas allaah re ye daur-e-taraqqi kaa madd-o-jazr hai irtiqaa-e-aql se saaraa jahaan udaas ik jaam-e-iltifaat ki khaatir ai saaqiyaa takte rahe hain teri taraf mai-kashaan udaas vo kyaa payaam-e-zist hamein deinge dosto jin ke khayaal-o-fikr ki hai daastaan udaas ojhal nazar se manzil-e-maqsud dekh kar ik mir-e-kaarvaan se huaa kaarvaan udaas ho kar sharik-e-bazm to 'hamdam' kabhi thaa khush ab jaane kyaa huaa hai ki vo hai yahaan udaas"
Hamdam SiddiqiHamdam Siddiqi
Quote
"DhunDhtaa phirtaa hai kaabe mein sanam hai ki nahin ai dil-e-naadaan tujhe paas-e-haram hai ki nahin phir vahi barq-e-tabassum khirman-e-dil par giri aap hi kahiye ki ye zulm-o-sitam hai ki nahin ai masihaa-e-zamaana ye bataa detaa mujhe jo jigar mein dard hai mere vo kam hai ki nahin jo khalish bechain kar deti hai mujh ko baar baar aap ke siine mein bhi vo soz-e-gham hai ki nahin mere saaqi main nahin aataa ghaTaa le aai hai dekhun tu bhi maail-e-lutf-o-karam hai ki nahin ab ke rahbar jo banaaein to parakh kar dekh lein ahl-e-dil ahl-e-nazar ahl-e-qalam hai ki nahin paD ke haathon mein zamaane ke zaraa 'hamdam' bataa zindagi vaqf-e-alam mashq-e-sitam hai ki nahin"
Hamdam SiddiqiHamdam Siddiqi
Quote
"jurat-o-azm chaahiye dil mein koi mushkil nahin hai mushkil mein us safine kaa tazkira be-sud ho chukaa hai jo gharq saahil mein haae us kaarvaan ki paamaali luT gayaa jo pahunch ke manzil mein ye hai shaan-e-kamaal-e-khuddaari be-niyaazi hai un ki mahfil mein roghan-e-khun-e-aarzu se mire jal rahaa hai charaagh mahfil mein phunk saktaa hai khirman-e-hasti vo sharaaraa hai tuda-e-gul mein raushni vo hai aur ye zulmat farq itnaa hai haqq-o-baatil mein munh ki khaani paDegi ai 'hamdam' jo bhi aayaa tire muqaabil mein"
Hamdam SiddiqiHamdam Siddiqi
Quote
"phuul hain ham bahaar hain ham log khushnumaa khush-gavaar hain ham log shaair-e-dil-figaar hain ham log fitratan shoala-baar hain ham log muund kar aankhein khol dete hain ghaafil-o-hoshiyaar hain ham log ham se kyaa puchhte ho haal-e-dil daastaan-e-hazaar hain ham log zinat-e-anjuman agar hain aap raunaq-e-bazm-e-yaar hain ham log khuub achchhi tarah samajh liije vaqt ki ik pukaar hain ham log yaa tiri yaad dil mein rahti hai yaa taghaaful-shiaar hain ham log yaa hain apne vatan mein ai 'hamdam' yaa gharib-ud-dayaar hain ham log"
Hamdam SiddiqiHamdam Siddiqi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar