"vo mile hain magar malul hain ham jo khizaan mein khile vo phuul hain ham ham ko zulmat-panaah mat jaano ik nai subh ke rasul hain ham is tavajjoh kaa kyaa Thikaana hai teri pahli nazar ki bhuul hain ham tishnagi to hamein qubul na thi tishnagi ko magar qubul hain ham us badalti nigaah se puchho ishq kaa mo'atabar usuul hain ham kitne be-kaif kis qadar be-rang kis ki takhliq kaa husul hain ham pyaar ki chaandni mein khilte hain dasht-e-insaaniyat ke phuul hain ham zindagi ne kahaa ujaalaa hain maut ne jab kahaa fuzul hain ham aaj bhi mir-e-kaarvaan tum ho aaj bhi rahguzar ki dhuul hain ham"
tazkira dil kaa baar baar na kar — Masood Maikash Muradabadi
"tazkira dil kaa baar baar na kar husn ko husn-e-sharmsaar na kar lutf-e-nazzaara-e-bahaar uThaa sharh ajzaa-e-barg-o-baar na kar qad-o-gesu ko daad-e-ishrat de fikr-e-aadaab-e-gir-o-daar na kar baDh ke saaghar uThaa jo piinaa hai izn-e-saaqi kaa intizaar na kar shauq ki raushni mein baDhtaa jaa kuchh khayaal-e-maaal-e-kaar na kar din jo guzrein baghair-e-shaahid-o-jaam zindagi mein unhein shumaar na kar zer-e-divaar-e-mai-kada 'maikash' khauf-e-aashob-e-rozgaar na kar"
تذکرہ دل کا بار بار نہ کر حسن کو حسن شرمسار نہ کر لطف نظارۂ بہار اٹھا شرح اجزائے برگ و بار نہ کر قد و گیسو کو داد عشرت دے فکر آداب گیر و دار نہ کر بڑھ کے ساغر اٹھا جو پینا ہے اذن ساقی کا انتظار نہ کر شوق کی روشنی میں بڑھتا جا کچھ خیال مآل کار نہ کر دن جو گزریں بغیر شاہد و جام زندگی میں انہیں شمار نہ کر زیر دیوار مے کدہ میکشؔ خوف آشوب روزگار نہ کر
तज़्किरा दिल का बार बार न कर हुस्न को हुस्न-ए-शर्मसार न कर लुत्फ़-ए-नज़्ज़ारा-ए-बहार उठा शरह अज्ज़ा-ए-बर्ग-ओ-बार न कर क़द-ओ-गेसू को दाद-ए-इशरत दे फ़िक्र-ए-आदाब-ए-गीर-ओ-दार न कर बढ़ के साग़र उठा जो पीना है इज़्न-ए-साक़ी का इंतिज़ार न कर शौक़ की रौशनी में बढ़ता जा कुछ ख़याल-ए-मआल-ए-कार न कर दिन जो गुज़रें बग़ैर-ए-शाहिद-ओ-जाम ज़िंदगी में उन्हें शुमार न कर ज़ेर-ए-दीवार-ए-मय-कदा 'मैकश' ख़ौफ़-ए-आशोब-ए-रोज़गार न कर
More by Masood Maikash Muradabadi
View all →"gulon ko sahn-e-chaman mein qaraar kyaa hogaa khizaan ke daur mein shukr-e-bahaar kyaa hogaa ye shab umid-e-sahar mein guzaar di lekin sahar se taa-ba-shab intizaar kyaa hogaa havaa-e-dasht jo divaana-vaar guzri hai na jaane aaj lab-e-juebaar kyaa hogaa jise alam bhi mohabbat mein raas aa na sakaa kisi khushi kaa use e’tibaar kyaa hogaa bajaa nasihat-e-tark-e-sharaab bhi naaseh ilaaj-e-aamad-e-abr-e-bahaar kyaa hogaa shikaar-e-kaakul-o-rukh ho chukaa dil-e-'maikash' shikaar-e-gardish-e-lail-o-nahaar kyaa hogaa"
"khushi ke vaqt se daur-e-malaal se guzre tiri talaash mein hadd-e-khayaal se guzre hamein to asl mein tanhaa tujhi se milnaa thaa so ik nazar mein tire khadd-o-khaal se guzre bujhe bujhe se hain ghunchon ki zindagi ke charaagh sabaa se kah do chaman mein khayaal se guzre tire faqir mohabbat ke ek lamhe mein hazaar baar uruj-o-zavaal se guzre junun ki fitrat-e-aali pe baar hai ai dost vo bandagi jo maqaam-e-savaal se guzre kahin na daaman-e-aadaab-e-ishq ko chhoDaa firaaq hi ki tarah ham visaal se guzre dil-o-nazar ko khabar tak nahin hui 'maikash' kuchh is tarah vo hudud-e-khayaal se guzre"
"kaaba mahdud hai paaband-e-sanam-khaana hai ishq har qaid-e-khayaalaat se begaana hai kis qadar shokh miri fitrat-e-rindaana hai lab pe hai naam khudaa haath mein paimaana hai khaak hone pe bhi daamaan sharar hi mein rahaa kis qadar shoala-fishaan fitrat-e-parvaana hai faisla jazba-e-vahshat hai tujhi par mauquf ye qafas hai ye gulistaan hai ye viraana hai fursat-e-fikr-o-samaaat hai to sun lo aa kar dil ki dhaDkan mein nihaan dard kaa afsaana hai justaju-e-haram-o-dair nahin hai 'maikash' dil hi kaaba hai miraa dil hi sanam-khaana hai"
"hayaat-o-maut ke parde giraa ke tumhein dekhaa hai tum se bhi chhupaa ke mujhe taDpaa rahe hain yaad aa ke vo lamhaat-e-hasin ahd-e-vafaa ke vahaan daaman ko uljhaae hue huun guzarnaa thaa jahaan daaman bachaa ke miri khuddaariyon ki laaj rakh li main sadqe us dil-e-be-muddaaa ke tiri mahfil mein khaali haath aae kisi ummid par sab kuchh luTaa ke khayaalon mein tire aanchal ko dekhaa sitaare jab bhi chaTke muskuraa ke khabar bhi hai tujhe ai jaan-e-'maikash' fasaane ban gae har har adaa ke"
"fughaan se zabt-e-junun kaa nizaam TuuT gayaa ki mere haath se meraa hi jaam TuuT gayaa vahi hain tauq-o-salaasil vahi nizaam-e-chaman vo kaun hain jo ye kahte hain daam TuuT gayaa zarur pir-e-mughaan kaa bhi kuchh ishaara thaa ghalat kahaa ki muqaddar se jaam TuuT gayaa bikhar gae miri khaatir hayaat ke gesu kabhi jo shab ke sitaaron kaa daam TuuT gayaa kiyaa thaa jis ne haqaaeq se ham ko begaana vo ek nashsha-e-kaif-e-davaam TuuT gayaa tumhaare qurb ki saaat mein yuun huaa mahsus ki jaise silsila-e-subh-o-shaam TuuT gayaa usul-e-raah-numaa se jahaan mein ai 'maikash' hazaar daam bane ek daam TuuT gayaa"
More on Zindagi
View all →"vo mujhe zindagi bataataa hai phir bhalaa kyon nazar churaataa hai main usi ko uThaa rahaa thaa par vo mujhe hi faqat giraataa hai yaad us ko kiyaa yahaan main ne par mujhe vo vahaan bhulaataa hai raaz saare bataa diye main ne kyon magar raaz vo chhupaataa hai log masruf hain mohabbat mein aur vo dil miraa dukhaataa hai"
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"