SHAWORDS

tez ehsaas-e-khudi darkaar hai — Firaq Gorakhpuri

"tez ehsaas-e-khudi darkaar hai zindagi ko zindagi darkaar hai jo chaDhaa jaae khumistaan-e-jahaan haan vahi lab-tishnagi darkaar hai devtaaon kaa khudaa se hogaa kaam aadmi ko aadmi darkaar hai sau gulistaan jis udaasi par nisaar mujh ko vo afsurdagi darkaar hai shaaeri hai sar-basar tahzib-e-qalb us ko gham shaaistagi darkaar hai shoala mein laataa hai jo soz-o-gudaaz vo khulus-e-baatni darkaar hai khubi-e-lafz-o-bayaan se kuchh sivaa shaaeri ko saahiri darkaar hai qaadir-e-mutlaq ko bhi insaan ki sunte hain be-chaargi darkaar hai aur honge taalib-e-madh-e-jahaan mujh ko bas teri khushi darkaar hai aql mein yuun to nahin koi kami ik zaraa divaangi darkaar hai hosh vaalon ko bhi meri raae mein ek guuna be-khudi darkaar hai khatraa-e-bisyaar-daani ki qasam ilm mein bhi kuchh kami darkaar hai dosto kaafi nahin chashm-e-khirad ishq ko bhi raushni darkaar hai meri ghazlon mein haqaaeq hain faqat aap ko to shaaeri darkaar hai tere paas aayaa huun kahne ek baat mujh ko teri dosti darkaar hai main jafaaon kaa na kartaa yuun gila aaj teri naa-khushi darkaar hai us ki zulf aaraasta-pairaasta ik zaraa si barhami darkaar hai zinda-dil thaa taaza-dam thaa hijr mein aaj mujh ko be-dili darkaar hai halqa halqa gesu-e-shab rang-e-yaar mujh ko teri abtari darkaar hai aql ne kal mere kaanon mein kahaa mujh ko teri zindagi darkaar hai tez-rau tahzib-e-aalam ko 'firaaq' ik zaraa aahistagi darkaar hai"
Urdu

تیز احساس خودی درکار ہے زندگی کو زندگی درکار ہے جو چڑھا جائے خمستان جہاں ہاں وہی لب تشنگی درکار ہے دیوتاؤں کا خدا سے ہوگا کام آدمی کو آدمی درکار ہے سو گلستاں جس اداسی پر نثار مجھ کو وہ افسردگی درکار ہے شاعری ہے سربسر تہذیب‌ قلب اس کو غم شائستگی درکار ہے شعلہ میں لاتا ہے جو سوز و گداز وہ خلوص باطنی درکار ہے خوبیٔ لفظ و بیاں سے کچھ سوا شاعری کو ساحری درکار ہے قادر مطلق کو بھی انسان کی سنتے ہیں بے چارگی درکار ہے اور ہوں گے طالب مدح جہاں مجھ کو بس تیری خوشی درکار ہے عقل میں یوں تو نہیں کوئی کمی اک ذرا دیوانگی درکار ہے ہوش والوں کو بھی میری رائے میں ایک گونہ بے خودی درکار ہے خطرۂ بسیار دانی کی قسم علم میں بھی کچھ کمی درکار ہے دوستو کافی نہیں چشم خرد عشق کو بھی روشنی درکار ہے میری غزلوں میں حقائق ہیں فقط آپ کو تو شاعری درکار ہے تیرے پاس آیا ہوں کہنے ایک بات مجھ کو تیری دوستی درکار ہے میں جفاؤں کا نہ کرتا یوں گلہ آج تیری ناخوشی درکار ہے اس کی زلف آراستہ پیراستہ اک ذرا سی برہمی درکار ہے زندہ دل تھا تازہ دم تھا ہجر میں آج مجھ کو بے دلی درکار ہے حلقہ حلقہ گیسوئے شب رنگ یار مجھ کو تیری ابتری درکار ہے عقل نے کل میرے کانوں میں کہا مجھ کو تیری زندگی درکار ہے تیز رو تہذیب عالم کو فراقؔ اک ذرا آہستگی درکار ہے

Hindi

तेज़ एहसास-ए-ख़ुदी दरकार है ज़िंदगी को ज़िंदगी दरकार है जो चढ़ा जाए ख़ुमिस्तान-ए-जहाँ हाँ वही लब-तिश्नगी दरकार है देवताओं का ख़ुदा से होगा काम आदमी को आदमी दरकार है सौ गुलिस्ताँ जिस उदासी पर निसार मुझ को वो अफ़्सुर्दगी दरकार है शाएरी है सर-बसर तहज़ीब-ए-क़ल्ब उस को ग़म शाइस्तगी दरकार है शो'ला में लाता है जो सोज़-ओ-गुदाज़ वो ख़ुलूस-ए-बातनी दरकार है ख़ूबी-ए-लफ़्ज़-ओ-बयाँ से कुछ सिवा शाएरी को साहिरी दरकार है क़ादिर-ए-मुतलक़ को भी इंसान की सुनते हैं बे-चारगी दरकार है और होंगे तालिब-ए-मदह-ए-जहाँ मुझ को बस तेरी ख़ुशी दरकार है अक़्ल में यूँ तो नहीं कोई कमी इक ज़रा दीवानगी दरकार है होश वालों को भी मेरी राय में एक गूना बे-ख़ुदी दरकार है ख़तरा-ए-बिस्यार-दानी की क़सम इल्म में भी कुछ कमी दरकार है दोस्तो काफ़ी नहीं चश्म-ए-ख़िरद इश्क़ को भी रौशनी दरकार है मेरी ग़ज़लों में हक़ाएक़ हैं फ़क़त आप को तो शाएरी दरकार है तेरे पास आया हूँ कहने एक बात मुझ को तेरी दोस्ती दरकार है मैं जफ़ाओं का न करता यूँ गिला आज तेरी ना-ख़ुशी दरकार है उस की ज़ुल्फ़ आरास्ता-पैरास्ता इक ज़रा सी बरहमी दरकार है ज़िंदा-दिल था ताज़ा-दम था हिज्र में आज मुझ को बे-दिली दरकार है हल्क़ा हल्क़ा गेसु-ए-शब रंग-ए-यार मुझ को तेरी अबतरी दरकार है अक़्ल ने कल मेरे कानों में कहा मुझ को तेरी ज़िंदगी दरकार है तेज़-रौ तहज़ीब-ए-आलम को 'फ़िराक़' इक ज़रा आहिस्तगी दरकार है

tez ehsās-e-ḳhudī darkār hai
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
Firaq Gorakhpuri
poet251 quotes

More by Firaq Gorakhpuri

View all →
Quote
"daur-e-aaghaaz-e-jafaa dil kaa sahaaraa niklaa hausla kuchh na hamaaraa na tumhaaraa niklaa teraa naam aate hi sakte kaa thaa 'aalam mujh par jaane kis tarah ye mazkur dobaaraa niklaa hosh jaataa hai jigar jaataa hai dil jaataa hai parde hi parde mein kyaa teraa ishaaraa niklaa hai tire kashf-o-karaamaat ki duniyaa qaail tujh se ai dil na magar kaam hamaaraa niklaa kitne saffaak sar-e-qatl-gah-e-aalam the laakhon mein bas vahi allaah kaa pyaaraa niklaa ibrat-angez hai kyaa us ki javaan-margi bhi haae vo dil jo hamaaraa na tumhaaraa niklaa 'ishq ki lau se farishton ke bhi par jalte hain rashk-e-khurshid-e-qayaamat ye sharaaraa niklaa sar-ba-sar be-sar-o-saamaan jise samjhe the vo dil rashk-e-jamshed-o-kai-o-khusrau-o-daaraa niklaa rone vaale hue chup hijr ki duniyaa badli sham' be-nur hui subh kaa taaraa niklaa ungliyaan uTThin 'firaaq'-e-vatan-aavaara par aaj jis samt se vo dard kaa maaraa niklaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"sunaa to hai ki kabhi be-niyaaz-e-gham thi hayaat dilaai yaad nigaahon ne teri kab ki baat zamaan makaan hai faqat madd-o-jazr-e-josh-e-hayaat bas ek mauj ki hain jhalkiyaan qaraar-o-sabaat hayaat ban gai thi jin mein ek khvaab-e-hayaat are davaam-o-abad the vahi to kuchh lamhaat hayaat-e-dozakhiyaan bhi tamaam mubham hai azaab bhi na mayassar huaa kahaan ki najaat tiri nigaah ki subhein nigaah ki shaamein harim-e-raaz ye duniyaa jahaan na dan hain na raat bas ik sharaab-e-kuhan ke karishme hain saaqi nae zamaane nai mastiyaan nai barsaat kisi pe zulm buraa hai magar ye kahtaa huun ki aadmi pe ho ehsaan aadmi haihaat sukut-e-raaz vahi hai jo daastaan ban jaae nigaah-e-naaz vahi jo nikaale baat mein baat gham-o-nishaat mohabbat ki chhoD de laalach har ik se uThte nahin ye azaab ye barkaat tamaam aks hai duniyaa tamaam aks adam kahaan tak aaina-dar-aaina hayaat-o-mamaat fazaa mein mahki hui chaandni ki naghma-e-raaz ki utrein sina-e-shaair mein jis tarah naghmaat bas ek raaz-e-tasalsul bas ik tasalsul-e-raaz kahaan pahunch ke hui khatm bahs-e-zaat-o-sifaat chamakte dard khile chehre muskuraate ashk sajaai jaaegi ab tarz-e-nau se bazm-e-hayaat jise sab ahl-e-jahaan zindagi samajhte hain kabhi kabhi to mile aisi zindagi se najaat agar khudaa bhi mile to na le ki o naadaan hai tu hi kaaba-e-din tu hi qibla-e-haajaat tamaam khastagi-o-maandgi hai aalam-e-hijr thake thake se ye taare thaki thaki si ye raat tiri ghazal to nai ruuh phunk deti hai 'firaaq' der se chhuTi hui hai nabz-e-hayaat"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"hijr-o-visaal-e-yaar kaa parda uThaa diyaa khud baDh ke ishq ne mujhe meraa pataa diyaa gard-o-ghubaar-e-hasti-e-faani uDaa diyaa ai kimiyaa-e-ishq mujhe kyaa banaa diyaa vo saamne hai aur nazar se chhupaa diyaa ai ishq-e-be-hijaab mujhe kyaa dikhaa diyaa vo shaan-e-khaamushi ki bahaarein hain muntazir vo rang-e-guftugu ki gulistaan banaa diyaa dam le rahi thiin husn ki jab sehr-kaariyaan in vaqfa-haa-e-kufr ko imaan banaa diyaa maalum kuchh mujhi ko hain un ki ravaaniyaan jin qatra-haa-e-ashk ko dariyaa banaa dayaa ik barq-e-be-qaraar thi tamkin-e-husn bhi jis vaqt ishq ko gham-e-sabr-aazmaa diyaa saaqi mujhe bhi yaad hain vo tishna-kaamiyaan jin ko harif-e-saaghar-o-minaa banaa diyaa maalum hai haqiqat-e-gham-haa-e-rozgaar duniyaa ko tere dard ne duniyaa banaa diyaa ai shokhi-e-nigaah-e-karam muddaton ke baad khvaab-e-giraan-e-gham se mujhe kyuun jagaa diyaa kuchh shorishein taghaaful-e-pinhaan mein thiin jinhein hangaama-zaar-e-hashr-e-tamannaa banaa diyaa baDhtaa hi jaa rahaa hai jamaal-e-nazar-fareb husn-e-nazar ko husn-e-khud-aaraa banaa diyaa phir dekhnaa nigaah laDi kis se ishq ki gar husn ne hijaab-e-taghaaful uThaa diyaa jab khuun ho chukaa dil-e-hasti-e-etibaar kuchh dard bach rahe jinhein insaan banaa diyaa gum-karda-e-vafur-e-gham-e-intizaar huun tu kyaa chhupaa ki mujh ko mujhi se chhupaa diyaa raat ab harif-e-subh-e-qayaamat hi kyuun na ho jo kuchh bhi ho us aankh ko ab to jagaa diyaa ab main huun aur lutf-o-karam ke takallufaat ye kyuun hijaab-e-ranjish-e-be-jaa banaa diyaa thi yuun to shaam-e-hijr magar pichhli raat ko vo dard uThaa 'firaaq' ki main muskuraa diyaa"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"haath aae to vahi daaman-e-jaanaan ho jaae chhuT jaae to vahi apnaa garebaan ho jaae ishq ab bhi hai vo mahram-e-be-gaana-numaa husn yuun laakh chhupe laakh numaayaan ho jaae hosh-o-ghaflat se bahut duur hai kaifiyyat-e-ishq us ki har be-khabari manzil-e-irfaan ho jaae yaad aati hai jab apni to taDap jaataa huun meri hasti tiraa bhulaa havaa paimaan ho jaae aankh vo hai jo tiri jalva-gah-e-naaz bane dil vahi hai jo saraapaa tiraa armaan ho jaae paak-baazaan-e-mohabbat mein jo bebaaki hai husn gar us ko samajh le to pashemaan ho jaae sahl ho kar hui dushvaar mohabbat teri use mushkil jo banaa lein to kuchh aasaan ho jaae ishq phir ishq hai jis ruup mein jis bhes mein ho ishrat-e-vasl bane yaa gham-e-hijraan ho jaae kuchh mudaavaa bhi ho majruh dilon kaa ai dost marham-e-zakhm tiraa jaur-pashemaan ho jaae ye bhi sach hai koi ulfat mein pareshaan kyuun ho ye bhi sach hai koi kyunkar na pareshaan ho jaae ishq ko arz-e-tamannaa mein bhi laakhon pas-o-pesh husn ke vaaste inkaar bhi aasaan ho jaae jhilmilaati hai sar-e-bazm-e-jahaan sham-e-khudi jo ye bujh jaae charaagh-e-rah-e-irfaan ho jaae sar-e-shorida diyaa dasht-o-bayaabaan bhi diye ye miri khubi-e-qismat ki vo zindaan ho jaae uqda-e-ishq ajab uqda-e-mohmal hai 'firaaq' kabhi laa-hal kabhi mushkil kabhi aasaan ho jaae"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri
Quote
"ab daur-e-aasmaan hai na daur-e-hayaat hai ai dard-e-hijr tu hi bataa kitni raat hai har kaaenaat se ye alag kaaenaat hai hairat-saraa-e-ishq mein din hai na raat hai jiinaa jo aa gayaa to ajal bhi hayaat hai aur yuun to umr-e-khizr bhi kyaa be-sabaat hai kyuun intihaa-e-hosh ko kahte hain be-khudi khurshid hi ki aakhiri manzil to raat hai hasti ko jis ne zalzala-saamaan banaa diyaa vo dil qaraar paae muqaddar ki baat hai ye mushagaafiyaan hain giraan tab-e-ishq par kis ko dimaagh-e-kaavish-e-zaat-o-sifaat hai toDaa hai laa-makaan ki hadon ko bhi ishq ne zindaan-e-aql teri to kyaa kaaenaat hai gardun sharaar-e-barq-e-dil-e-be-qaraar dekh jin se ye teri taaron bhari raat raat hai gum ho ke har jagah hain za-khud raftagaan-e-ishq un ki bhi ahl-e-kashf-o-karaamaat zaat hai hasti ba-juz fanaa-e-musalsal ke kuchh nahin phir kis liye ye fikr-e-qaraar-o-sabaat hai us jaan-e-dosti kaa khulus-e-nihaan na puchh jis kaa sitam bhi ghairat-e-sad-iltifaat hai yuun to hazaar dard se rote hain bad-nasib tum dil dukhaao vaqt-e-musibat to baat hai unvaan ghaflaton ke hain qurbat ho yaa visaal bas fursat-e-hayaat 'firaaq' ek raat hai"
Firaq GorakhpuriFiraq Gorakhpuri

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar