SHAWORDS

tire qadmon pe Daali zindagi hai — Amar Abdabadi

HomeAmar AbdabadiGhazal
"tire qadmon pe Daali zindagi hai bil-aakhir to banaa li zindagi hai hamaari laa-ubaali zindagi hai tamannaaon se khaali zindagi hai hamaari ik jiyaali zindagi hai moassir aur jalaali zindagi hai azal se le kar aae dard-mandi hamaari dard vaali zindagi hai ise ai maut haathon haath lenaa baDe naazon se paali zindagi hai baDhi jaati hai az-khud jaanib-e-marg baDi hi bholi-bhaali zindagi hai khudaa ne aadmi se tang aa kar zamin par se uThaa li zindagi hai hai dil masrur to duniyaa munavvar vagarna raat kaali zindagi hai qazaa se ai 'amar' yuun be-khabar ho ki jaise laa-zavaali zindagi hai"
Urdu

ترے قدموں پہ ڈالی زندگی ہے بالآخر تو بنا لی زندگی ہے ہماری لاابالی زندگی ہے تمناؤں سے خالی زندگی ہے ہماری اک جیالی زندگی ہے مؤثر اور جلالی زندگی ہے ازل سے لے کر آئے درد مندی ہماری درد والی زندگی ہے اسے اے موت ہاتھوں ہاتھ لینا بڑے نازوں سے پالی زندگی ہے بڑھی جاتی ہے از خود جانب مرگ بڑی ہی بھولی بھالی زندگی ہے خدا نے آدمی سے تنگ آ کر زمیں پر سے اٹھا لی زندگی ہے ہے دل مسرور تو دنیا منور وگرنہ رات کالی زندگی ہے قضا سے اے امرؔ یوں بے خبر ہو کہ جیسے لا زوالی زندگی ہے

Hindi

तिरे क़दमों पे डाली ज़िंदगी है बिल-आख़िर तो बना ली ज़िंदगी है हमारी ला-उबाली ज़िंदगी है तमन्नाओं से ख़ाली ज़िंदगी है हमारी इक जियाली ज़िंदगी है मोअस्सिर और जलाली ज़िंदगी है अज़ल से ले कर आए दर्द-मंदी हमारी दर्द वाली ज़िंदगी है इसे ऐ मौत हाथों हाथ लेना बड़े नाज़ों से पाली ज़िंदगी है बढ़ी जाती है अज़-ख़ुद जानिब-ए-मर्ग बड़ी ही भोली-भाली ज़िंदगी है ख़ुदा ने आदमी से तंग आ कर ज़मीं पर से उठा ली ज़िंदगी है है दिल मसरूर तो दुनिया मुनव्वर वगरना रात काली ज़िंदगी है क़ज़ा से ऐ 'अमर' यूँ बे-ख़बर हो कि जैसे ला-ज़वाली ज़िंदगी है

tire qadmoñ pe Daalī zindagī hai
Amar Abdabadi
Amar Abdabadi
Amar Abdabadi
poet18 quotes

More by Amar Abdabadi

View all →
Quote
"zabt-e-dil se kaam liyaa hai 'ishq mein bhi aaraam liyaa hai pal pal subh-o-shaam liyaa hai ham ne tumhaaraa naam liyaa hai shukr ki jaa hai girte paDte teraa daaman thaam liyaa hai subh hui kuchh aur farozaan taDke kis kaa naam liyaa hai teri aankhein yaad aai hain jab haathon mein jaam liyaa hai is ki shaahid gardish-e-dauraan main ne kab aaraam liyaa hai aur bhi hain dil-chor jahaan mein ham ne tumhaaraa naam liyaa hai kyon li hain haathon par zulfein kyon haathon mein daam liyaa hai khaali haath chale duniyaa se ek khayaal-e-khaam liyaa hai bande hain be-daam tumhaare ham ne koi daam liyaa hai ruk si gai hai gardish-e-dauraan kis kaa daaman thaam liyaa hai us ki har duzdida nazar se ham ne ik paighaam liyaa hai duniyaa kis ke kaam aai hai kis ne is se kaam liyaa hai tum bhi haath mein thaam lo khanjar ham ne kaleja thaam liyaa hai haae 'amar' ye 'ishq-e-aakhir muft kaa hi ilzaam liyaa hai"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi
Quote
"ba-vaqt-e-marg gham-e-zindagi to kyaa hogaa nikal gai jo hamaari hansi to kyaa hogaa hui jo un se mulaaqaat bhi to kyaa hogaa agar na ham se hui baat hi to kyaa hogaa andhere jaa ke kahaan apnaa munh chhupaaeinge hamaare ghar mein hui raushni to kyaa hogaa hamaare vaaste dil ki lagi bajaa lekin vo kar rahe hon agar dil-lagi to kyaa hogaa ye maanaa ham ne ki shabnam tu roegi shab-bhar sahar ko gul ko na aai hansi to kyaa hogaa karungaa dil ko jalaa kar main raushni kab tak na shaam-e-gham ki sahar hi hui to kyaa hogaa kisi ki tirchhi nazar baat to hai maa'muli ye phaans dil mein hi aTki rahi to kyaa hogaa khileingi fasl-e-bahaaraan mein har taraf kaliyaan magar gai na miri bekali to kyaa hogaa jab un ko dekhte hi dil dhaDakne lagtaa hai jo un se milnaa hi Thahraa kabhi to kyaa hogaa abhi se husn hamaari anaa se naalaan hai jataai 'ishq ki jab bartari to kyaa hogaa 'amar' abhi se falak par dimaagh hai apnaa mili jo ham ko kahin bartari to kyaa hogaa"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi
Quote
"aayaa vo ru-baru ki miri aankh khul gai afsos aarzu ki miri aankh khul gai sad-shukr mere paanv kaa chakkar huaa tamaam phirtaa thaa ku-ba-ku ki miri aankh khul gai main tishna-lab rahaa lab-e-dariyaa bhi tishna-lab pahunchaa kinaar-e-ju ki miri aankh khul gai ubhraa huun raat bahr-e-tarannum mein Duub kar bolaa vo khush-gulu ki miri aankh khul gai naa-aashnaa-e-faiz-e-bahaaraan hi main rahaa uTThi gulon se bu ki miri aankh khul gai mujh tishna-lab ki tishna-labi kaa kamaal dekh haathon mein thaa subu ki miri aankh khul gai mumkin nahin ki vaqt-e-sahar aankh lag sake dekhaa vo khub-ru ki miri aankh khul gai dushman kaa pichhli raat sitaara thaa auj par thaa mere ru-baru ki miri aankh khul gai marg-e-'amar' ki baat ghalat thi khudaa kaa shukr sunnaa thi haao-hu ki miri aankh khul gai"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi
Quote
"makaan se chal ke aai laa-makaan tak miri aavaargi pahunchi kahaan tak na harf-e-aarzu aayaa zabaan tak ki darmaanda koi chaltaa kahaan tak cleaner se mudir-e-paasbaan tak kahaan se chal ke aayaa huun kahaan tak nazar aataa nahin tum saa jahaan mein pahunchti hai nazar meri jahaan tak zamin se uTh khaDaa jo 'azm le kar pahunchtaa hai vo zarra aasmaan tak jo mir-e-kaarvaan samjhe the khud ko vahi pahunche hain gard-e-kaarvaan tak zabaan daanton tale ham ne dabaa li jo harf-e-aarzu aayaa zabaan tak khushi se jabr jaabir aazmaa lein mire lab par agar aai fughaan tak na jaane kis jagah main aa gayaa huun nahin miltaa hai raste kaa nishaan tak nashe mein kar to li hai main ne tauba na pahunche baat ye pir-e-mughaan tak 'amar' hai ye mohabbat yaa tijaarat agar baat aa gai sud-o-ziyaan tak"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi
Quote
"haTaaeinge vo chehre se naqaab aahista aahista ki hotaa hai tulu’-e-aaftaab aahista aahista agar Dhalnaa to Dhalnaa ai shabaab aahista aahista ki Dhaltaa jis tarah hai maahtaab aahista aahista nigaah-e-mast-e-saaqi dekh lenaa shart hai zaahid zabaan ko lag hi jaati hai sharaab aahista aahista iraadon ko mire ik taale’-e-bedaar milne do haqiqat mein badal jaaeinge khvaab aahista aahista zamaane ki jabin se miT rahaa hai daagh-e-mahkumi ye kaisaa aa rahaa hai inqalaab aahista aahista 'amar' ab tark-e-'isyaan laazmi maa'lum hotaa hai ye daftar ho gayaa hai be-hisaab aahista aahista"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi
Quote
"qiyaam-e-aalam-e-faani nahin qiyaam abhi bashar ki is pe hai masruf-e-ehtimaam abhi tumhaare dard ko haasil nahin davaam abhi ki hai khayaal tumhaaraa khayaal-e-khaam abhi main us se qat'-e-ta'alluq kaa daa'vedaar to huun magar hai dil ki hai us shokh kaa ghulaam abhi kisi ne ru-e-munavvar se zulf jhaTki hai abhi tulu'-e-sahar hai hui thi shaam abhi badal rahi hai halaavat mein talkhi-e-ayyaam miri zabaan pe aayaa thaa teraa naam abhi jalaa diye hain sar-e-shaam daagh-e-dil ham ne vo un kaa aanaa aur aane kaa ehtimaam abhi ‘ilaaj-e-gardish-e-ayyaam hone vaalaa hai zaraa si der hai gardish mein aayaa jaam abhi jahaan pahunchne ke letaa huun khvaab bachpan se hai kitnaa duur khudaavand vo maqaam abhi qazaa ne di mujhe mohlat na muskuraane ki gham-e-hayaat se lenaa thaa intiqaam abhi jahaan ki raah-rau rukte hain saans lene ko hamaari ziist mein aayaa nahin maqaam abhi abhi to raah mein baaqi hain laakh nazzaare ai asp-e-umr zaraa ho na tez-gaam abhi vo jis se 'ishq kaa anjaam mere saamne hai nahin hui miri us se du'aa salaam abhi abhi se is tarah maayus hon na ahl-e-bazm 'amar' se bazm-e-sukhan mein hain khush-kalaam abhi"
Amar AbdabadiAmar Abdabadi

More on Zindagi

View all →
Quote
"zindagi bojhal hui aazaar se jism jhuktaa jaa rahaa hai baar se doston ne is qadar dhoke diye aur raghbat baDh gai aghyaar se zindagi kaa ik nayaa imkaan huaa ik daricha khul gayaa divaar se ab bayaan kaise karun rudaad-e-gham kaam mushkil hai dil-e-naa-chaar se hijr ki raaton mein bahtaa hi rahaa ek naala chashm-e-dariyaa-baar se misl-e-majnun regzaaron mein rahe sar paTakte ret ki divaar se ham asiraan-e-mohabbat hain yahaan uljhe hain ab gesu-e-khamdaar se 'qalb' teri ghazlein yuun shaadaan karein dard nikle hai tire ashaar se"
Anees QalbAnees Qalb
Quote
"is ishq-e-junun-khez mein kyaa kyaa nahin hotaa divaana hai jo qais se lailaa nahin hotaa kuchh hashr lahad par abhi barpaa nahin hotaa aae ho to Thahro koi zinda nahin hotaa kyuun kar ye kahun husn kaa nashsha nahin hotaa hotaa to bahut hai magar itnaa nahin hotaa kuchh kahiye to sharmaa ke jhukaa lete hain gardan bhule se bhi ab vaada-e-fardaa nahin hotaa milte hain vo dil surkh hui jaati hai chuTki naazuk hain bahut khun-e-tamannaa nahin hotaa deti hai mazaa mai kaa hamein talkhi-e-tauba jab haath mein paimaana-e-sahbaa nahin hotaa vo hashr ke din kushte ko Thukraa chuke sau-baar kuchh jaan si paD jaati hai zinda nahin hotaa boli ye tamannaa jo ruke vo dar-e-dil par ghar aap kaa hai aap se pardaa nahin hotaa tiron ko jagah dete hain jo siine mein apne un logon ke ai jaan kaleja nahin hotaa sahraa se qadam ghar ki taraf khaak uThaaun kaanTe se judaa paanv kaa chhaalaa nahin hotaa baiThe nazar aate hain vahi teri gali mein jin kaa kahin duniyaa mein Thikaanaa nahin hotaa furqat mein hai kyuun nazaa ki taklif gavaaraa mar jaaein 'riyaaz' aap se itnaa nahin hotaa"
Riyaz KhairabadiRiyaz Khairabadi
Quote
"jis din se meraa khvaab suhaanaa badal gayaa us din se zindagi kaa fasaana badal gayaa sunne lagaa huun jab se nasihat baDon ki main jaari thaa jo labon pe taraana badal gayaa pahchaan kaa havaala bhi baaqi nahin rahaa chehre ke saath aaina-khaana badal gayaa uThti nahin hai aankh bhi ab aasmaan ki samt jab se gali kaa chaand puraanaa badal gayaa tahzib jin ke ghar ki 'alaamat thi kal talak afsos aaj un kaa gharaanaa badal gayaa 'azmat kaa taaj sar pe hai 'akhilesh' ke sajaa aisi havaa chali ki zamaana badal gayaa itni sharaafaton mein kami aa gai hai aaj pahle thaa jo libaas puraanaa badal gayaa ahl-e-vafaa ne jis ki thi taarikh ki raqam 'faaruq' 'ishq kaa vo fasaana badal gayaa"
Farooque AdilFarooque Adil
Quote
"jab tak mizaaj-e-dost mein kuchh barhami rahi goyaa bujhi bujhi si miri zindagi rahi jis par nigaah-e-lutf-e-karam aap ki rahi hairat se har nigaah use dekhti rahi go main rahaa kashaakash-e-dauraan se ham-kanaar lekin mire labon pe hansi khelti rahi laayaa hai ishq ne mujhe aise maqaam par khud-aagahi rahi na khudaa-aagahi rahi josh-e-junun ne manzil-e-maqsud paa liyaa aql-e-salim dekhti hi dekhti rahi sab kuchh mujhe 'khayaal' ki duniyaa mein mil gayaa lekin tumhaare husn-e-nazar ki kami rahi"
Faiz Ul Hasan KhayalFaiz Ul Hasan Khayal
Quote
"aaina toD de rihaa kar de bevafaa ik yahi vafaa kar de rishta-e-dard toD de dil se rang ko phuul se judaa kar de zindagi-bhar tujhi ko chaahaa hai qarz kuchh to miraa adaa kar de de rahaa hai zakaat-e-husn agar mire haq se zaraa baDhaa kar de muddatein ho gaiin tujhe dekhe ab to milne kaa silsila kar de phir koi gul khile sar-e-mizhgaan phir dar-e-khvaab koi vaa kar de ik sitaare ko bakhsh kar mire khvaab phir use meraa aaina kar de baiThtaa jaa rahaa hai jaan kaa ghubaar ab use mujh se maavaraa kar de ai faqir-e-dayaar-e-laili-jaan mire haq mein bhi kuchh duaa kar de"
Ayub KhawarAyub Khawar