Quote
"aazaar bahut lazzat-e-aazaar bahut hai dil dast-e-sitam-gar kaa talabgaar bahut hai iqraar ki manzil bhi zarur aaegi ik din is vaqt to bas lazzat-e-inkaar bahut hai yaaraan-e-safar koi davaa DhunD ke laao insaan mire daur kaa bimaar bahut hai haan dekhiyo irfaan-e-baghaavat na jhulas jaae manzar miri duniyaa kaa sharar-baar bahut hai ham ghar ki panaahon se jo nikle to ye jaanaa hangaama pas-e-saaya-e-divaar bahut hai qaatil ki inaayat kaa maza aur hai varna jaan lene ko ye saans ki talvaar bahut hai kyaa log hain ye soch ke baiThe huun gharon mein bas zulm se be-zaari kaa izhaar bahut hai haalaat-e-zamaana se laraz jaate hain 'ajmal' yuun hai ki zamaane se hamein pyaar bahut hai"
