SHAWORDS

yaad-e-firaaq-e-yaar tiraa shukriyaa bahut — Ajmal Ajmali

HomeAjmal AjmaliGhazal
"yaad-e-firaaq-e-yaar tiraa shukriyaa bahut kal raat dil mein dard hamaare uThaa bahut kal raat tere gham ne lagaai thi phir sabil kal raat ham ne zahr-e-halaahal piyaa bahut muddat ke baad phir se mulaaqaat ho gai ham ko udaas dekh ke royaa kiyaa bahut shaayad nasim teraa badan chhu ke aai thi apni sahar mein rang-e-qayaamat rahaa bahut 'ajmal' na aap saa bhi koi sakht-jaan milaa dekhein hain ham ne yuun to sitam-aashnaa bahut"
Urdu

یاد فراق یار ترا شکریہ بہت کل رات دل میں درد ہمارے اٹھا بہت کل رات تیرے غم نے لگائی تھی پھر سبیل کل رات ہم نے زہر ہلاہل پیا بہت مدت کے بعد پھر سے ملاقات ہو گئی ہم کو اداس دیکھ کے رویا کیا بہت شاید نسیم تیرا بدن چھو کے آئی تھی اپنی سحر میں رنگ قیامت رہا بہت اجملؔ نہ آپ سا بھی کوئی سخت جاں ملا دیکھیں ہیں ہم نے یوں تو ستم آشنا بہت

Hindi

याद-ए-फ़िराक-ए-यार तिरा शुक्रिया बहुत कल रात दिल में दर्द हमारे उठा बहुत कल रात तेरे ग़म ने लगाई थी फिर सबील कल रात हम ने ज़हर-ए-हलाहल पिया बहुत मुद्दत के बाद फिर से मुलाक़ात हो गई हम को उदास देख के रोया किया बहुत शायद नसीम तेरा बदन छू के आई थी अपनी सहर में रंग-ए-क़यामत रहा बहुत 'अजमल' न आप सा भी कोई सख़्त-जाँ मिला देखें हैं हम ने यूँ तो सितम-आश्ना बहुत

yād-e-firāq-e-yār tirā shukriyā bahut
Ajmal Ajmali
Ajmal Ajmali
Ajmal Ajmali
poet19 quotes

More by Ajmal Ajmali

View all →
Quote
"aazaar bahut lazzat-e-aazaar bahut hai dil dast-e-sitam-gar kaa talabgaar bahut hai iqraar ki manzil bhi zarur aaegi ik din is vaqt to bas lazzat-e-inkaar bahut hai yaaraan-e-safar koi davaa DhunD ke laao insaan mire daur kaa bimaar bahut hai haan dekhiyo irfaan-e-baghaavat na jhulas jaae manzar miri duniyaa kaa sharar-baar bahut hai ham ghar ki panaahon se jo nikle to ye jaanaa hangaama pas-e-saaya-e-divaar bahut hai qaatil ki inaayat kaa maza aur hai varna jaan lene ko ye saans ki talvaar bahut hai kyaa log hain ye soch ke baiThe huun gharon mein bas zulm se be-zaari kaa izhaar bahut hai haalaat-e-zamaana se laraz jaate hain 'ajmal' yuun hai ki zamaane se hamein pyaar bahut hai"
Ajmal AjmaliAjmal Ajmali
Quote
"ai husn jab se raaz tiraa paa gae hain ham hasti se apni aur qarib aa gae hain ham yuun bhi huaa ki jaan ganvaa di tire liye yuun bhi huaa ki tujh se bhi katraa gae hain ham raah-e-vafaa mein aise maqaamaat bhi mile apnaa sar-e-niyaaz bhi Thukraa gae hain ham yaadash-ba-khair ik gul-e-shaadaab the kabhi aisi khizaan paDi hai ki kumhlaa gae hain ham subh-e-visaal thi to tabiat thi baagh baagh shaam-e-firaaq aai to sanvlaa gae hain ham insaan teri fath pe ab bhi yaqin hai go apni zindagi se bhi ghabraa gae hain ham mahrumiyon kaa baar-e-giraan dosh par liye ai maut sun ki tere qarib aa gae hain ham apne subu mein talkhi-e-dauraan sameT kar baa-sad-khulus nosh bhi farmaa gae hain ham taarikh-e-inqilaab-e-zamaana se puchh lo jab jab sadaa mili sar-e-daar aa gae hain ham 'ajmal' jab un ki bazm mein chheDi hai dil ki baat apne to khair ghair ko taDpaa gae hain ham"
Ajmal AjmaliAjmal Ajmali
Quote
"raaste ke pech-o-kham kyaa shai hain sochaa hi nahin ham safar par jab se nikle muD ke dekhaa hi nahin do ghaDi ruk kar Thahar kar sochte manzil ki baat raaste mein koi aisaa moD aayaa hi nahin zindagi ke saath ham nikle the le kar kitne khvaab zindagi bhi khatm hai mausam badaltaa hi nahin ik diyaa yaadon kaa thaa raushan thi jis se bazm-e-shab jaane kyaa guzri kai raaton se jaltaa hi nahin zindagi bhar pai-ba-pai ham ne kurede apne zakhm ham se chhuT kar us pe kyaa guzri ye sochaa hi nahin aarzu thi khinchte ham bhi koi aks-e-hayaat kyaa karein ab ke lahu aankhon se Tapkaa hi nahin is tarah kaise ho 'ajmal' chaara-e-dil ki umiid dard apnaa aakhiri had se guzartaa hi nahin"
Ajmal AjmaliAjmal Ajmali
Quote
"vaqt-e-safar qarib hai bistar sameT luun bikhraa huaa hayaat kaa daftar sameT luun phir jaane ham milein na milein ik zaraa ruko main dil ke aaine mein ye manzar sameT luun yaaron ne jo suluk kiyaa us kaa kyaa gilaa pheinke hain doston ne jo patthar sameT luun kal jaane kaise honge kahaan honge ghar ke log aankhon mein ek baar bharaa ghar sameT luun taar-e-nazar bhi gham ki tamaazat se khushk hai vo pyaas hai mile to samundar sameT luun 'ajmal' bhaDak rahi hai zamaane mein jitni aag ji chaahtaa hai siine ke andar sameT luun"
Ajmal AjmaliAjmal Ajmali

More on Yaad

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"bistar-e-karb pe jab niind jalaai main ne tab kisi khvaab ki buniyaad uThaai main ne zakhm aise the ki har shakhs ke aage rakkhe baat aisi thi ki khud se bhi chhupaai main ne hurmat-e-gham ke liye khud ko aziyyat bakhshi phir usi dard se taskin bhi paai main ne main ne zakhmon ko kuredaa unhein taaza rakkhaa tab kahin dasht mein ki naghma-saraai main ne apni khiDki se yunhi khud ko pukaaraa kal shab aur phir khud ko vo aavaaz sunaai main ne jaane vaale se rag-e-jaan kaa bhi rishta thaa 'samir' ye samajhne mein bahut der lagaai main ne"
N
Naeem Sameer
Quote
"choT par choT khaa rahaa huun main 'aadatan muskuraa rahaa huun main us ke uupar to kuchh asar hi nahin apnaa dil kyon jalaa rahaa huun main aaj tanhaai mein jo baiThe ho kyaa tumhein yaad aa rahaa huun main kaun aaegaa mujh se milne ko apnaa ghar kyon sajaa rahaa huun main aaj ji bhar ke dekh lo mujh ko ab bahut duur jaa rahaa huun main kyaa tumhein ab bhi kuchh shikaayat hai ab to sab kuchh kamaa rahaa huun main haath mein Digriyaan sajaae hue Thokarein kitni khaa rahaa huun main ab mujhe peT in se bharnaa hai ye jo khanjar banaa rahaa huun main kal koi is ko bhi na chhoDegaa ye jo paudaa lagaa rahaa huun main"
Saleem AmrohviSaleem Amrohvi