SHAWORDS

tujh bin aaraam-e-jaan kahaan hai mujhe — Meer Mohammadi Bedar

"tujh bin aaraam-e-jaan kahaan hai mujhe zindagaani vabaal-e-jaan hai mujhe gar yahi dard-e-hijr hai teraa ziist kaa apni kab gumaan hai mujhe misl-e-tuti hazaar maani mein sehr-e-saaz-e-sukhan zabaan hai mujhe hai khayaal us kaa maana-e-guftaar varna sau quvvat-e-bayaan hai mujhe khaamushi be-sabab nahin 'bedaar' baais-e-zistan dahaan hai mujhe"
Urdu

تجھ بن آرام جاں کہاں ہے مجھے زندگانی وبال جاں ہے مجھے گر یہی درد ہجر ہے تیرا زیست کا اپنی کب گماں ہے مجھے مثل طوطی ہزار معنی میں سحر ساز سخن زباں ہے مجھے ہے خیال اس کا مانع گفتار ورنہ سو قوت بیاں ہے مجھے خامشی بے سبب نہیں بیدارؔ باعث زیستن دہاں ہے مجھے

Hindi

तुझ बिन आराम-ए-जाँ कहाँ है मुझे ज़िंदगानी वबाल-ए-जाँ है मुझे गर यही दर्द-ए-हिज्र है तेरा ज़ीस्त का अपनी कब गुमाँ है मुझे मिस्ल-ए-तूती हज़ार मअनी में सेहर-ए-साज़-ए-सुख़न ज़बाँ है मुझे है ख़याल उस का माना-ए-गुफ़्तार वर्ना सौ क़ुव्वत-ए-बयाँ है मुझे ख़ामुशी बे-सबब नहीं 'बेदार' बाइस-ए-ज़ीस्तन दहाँ है मुझे

tujh bin ārām-e-jāñ kahāñ hai mujhe
M
Meer Mohammadi Bedar
Meer Mohammadi Bedar
poet135 quotes

More by Meer Mohammadi Bedar

View all →
Quote
"tu ne jo kuchh ki kiyaa mere dil-e-zaar ke saath aag ne bhi na kiyaa vo to khas-o-khaar ke saath aankh uThaa kar bhi na dekhaa kabhi tu ne zaalim sar paTak mar gae laakhon tiri divaar ke saath ye kai taar hain vo rishta-e-jaan hai yaksar ghalat us zulf ki tashbih hai zunnaar ke saath raat din rahti hai juun dida-e-tasvir khuli aankh jab se lagi us aaina-rukhsaar ke saath dekhiyo gir na paDe diijo use ai qaasid dil-e-betaab lipaTtaa hai main tumaar ke saath kyaa ajab ye hai ki vo mujh se milaa rahtaa hai gul ko paivastagi laazim hai ki ho khaar ke saath hai sazaa-vaar agar aise ko diije dil-o-din ham bhi dekhaa use kal duur se 'bedaar' ke saath"
M
Meer Mohammadi Bedar
Quote
"jo tu ho paas to dekhun bahaar aankhon se vagarna karte hain gul kaar-e-khaar aankhon se kahaan hai tu ki mein khinchun huun raah mein teri bisaan-e-naqsh-e-qadam intizaar aankhon se zi-bas ki aatish-e-gham shola-zan hai siine mein girin hain ashk ki jaagah sharaar aankhon se main yaad kar dur-e-dandaan-e-yaar rotaa huun Tapakte hain guhar-e-aab-daar aankhon se Tuk aa ke dekh tu ai sarv-qad miraa ahvaal ravaan hai gham mein tire juebaar aankhon se chaDhaaun dasta-e-nargis mazaar-e-majnun par jo dekhun aaj main ru-e-nigaar aankhon se chaman mein kal koi tujh saa pari nazar na paDaa agarche dekhe hain jaa kar hazaar aankhon se huaa hai dida-e-'bedaar' gul-fishaan jab se giraa hai tab se ye abr-e-bahaar aankhon se"
M
Meer Mohammadi Bedar
Quote
"nahin aaraam ek jaa dil ko aah kyaa jaane kyaa huaa dil ko ai butaan mohtaram rakho is ko kahte hain khaana-e-khudaa dil ko le to jaate ho mehrbaan lekin kiijo mat aap se judaa dil ko munh na pheraa kabhi jafaa se tiri aafrin dil ko marhabaa dil ko ye tavaqqo' na thi hamein hargiz ki dikhaaoge ye jafaa dil ko hain yahi Dhang aap ke to khair kyuun na phir dijiyegaa aa dil ko aakhir us tifl-e-shokh ne dekhaa TukDe juun shisha kar diyaa dil ko aaj lagti hai kuchh baghal khaali kaun siine se le gayaa dil ko ham to kahte hain tujh ko ai 'bedaar' kiijo mat us se aashnaa dil ko"
M
Meer Mohammadi Bedar
Quote
"paave kis tarah koi kis ko hai maqdur hamein le gayaa ishq tiraa khinch bahut duur hamein subh ki raat to ro ro ke ab aa ai be-mehr roz-e-raushan ko dikhaa mat shab-e-dijur hamein rabt ko chaahiye yak naua ki jinsiyyat yaan chashm-e-bimaar use hai dil-e-ranjur hamein baat gar kiije to hai banda-navaazi varna dekhnaa hi hai faqat aap kaa manzur hamein ulfat us shokh ki chhuTe hai koi jite-ji rakkho is pand se ai naaseho maazur hamein pi hai mai raat ko yaa jaage ho tum kuchh to hai aankhein aati hain nazar aaj to makhmur hamein yaan se 'bedaar' gayaa vo mah-e-taabaan shaayad nazar aataa hai ye ghar aaj to be-nur hamein"
M
Meer Mohammadi Bedar
Quote
"gayaa hai jab se dikhaa jalva vo pari-rukhsaar na khvaab dida-e-giryaan mein hai na dil ko qaraar hazaar rang se phule chaman mein go gulzaar par us baghair khush aati nahin mujhe ye bahaar ba-rang-e-laala-e-sar mai-kashi nahin tujh bin ki khun-e-dil se main har roz toDtaa huun khumaar gulon ke munh pe na ye rang-e-aab-o-taab rahe vo rashk-e-baagh kare gar udhar ko aa ke guzaar ajab nahin ki bahaa deve khaana-e-mardum rahe gar ashk-fishaan yunhi dida-e-khun-baar rihaai kyunki ho yaa-rab main is mein hairaan huun ki ek dil hai miraa tis pe dard-o-gham hai hazaar kahaa main us but-e-abru-kamaan ki khidmat mein khadang-e-jabr ne tere kiyaa hai mujh ko nigaar na rahm tere dil-e-sakht mein hai ghair-az-zulm na mere naala-e-jaan-soz mein asar ai yaar na taab hijr ki rakhtaa huun ne umid-e-visaal khudaa hi jaane ki kyaa hogaa us kaa aakhir-kaar har ek din mujhe yuun sujhtaa hai ji tan se nikal hi jaaegaa ham-raah-e-aah-e-aatish-baar na tu mazaar pe aavegaa taa-dam-e-mahshar rahegi dida-e-giryaan ko hasrat-e-didaar abas tu mujh ko Daraataa hai apne marne se hazaar tujh se mire mar gae hain aashiq-e-zaar ye sun ke kahne lagaa vo sitamgar-e-be-rahm miri balaa se jo mar jaaegaa tu ai 'bedaar'"
M
Meer Mohammadi Bedar

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb