SHAWORDS

tumhaare jaane kaa ham ko malaal thoDi hai — Nadim Nadeem

HomeNadim NadeemGhazal
"tumhaare jaane kaa ham ko malaal thoDi hai udaasiyon mein tumhaaraa khayaal thoDi hai manaaun kis tarah holi main doston ke saath hain sab ke haath mein khanjar gulaal thoDi hai mujhe ye gham hai vo ab saath hai raqibon ke ye aankh us ke bichhaDne se laal thoDi hai savaal ye hai havaa aai kis ishaare par charaagh kis ke bujhe ye savaal thoDi hai karam hai us kaa agar vo navaaztaa hai hamein hamaare sajdon kaa is mein kamaal thoDi hai"
Urdu

تمہارے جانے کا ہم کو ملال تھوڑی ہے اداسیوں میں تمہارا خیال تھوڑی ہے مناؤں کس طرح ہولی میں دوستوں کے ساتھ ہیں سب کے ہاتھ میں خنجر گلال تھوڑی ہے مجھے یہ غم ہے وہ اب ساتھ ہے رقیبوں کے یہ آنکھ اس کے بچھڑنے سے لال تھوڑی ہے سوال یہ ہے ہوا آئی کس اشارے پر چراغ کس کے بجھے یہ سوال تھوڑی ہے کرم ہے اس کا اگر وہ نوازتا ہے ہمیں ہمارے سجدوں کا اس میں کمال تھوڑی ہے

Hindi

तुम्हारे जाने का हम को मलाल थोड़ी है उदासियों में तुम्हारा ख़याल थोड़ी है मनाऊँ किस तरह होली मैं दोस्तों के साथ हैं सब के हाथ में ख़ंजर गुलाल थोड़ी है मुझे ये ग़म है वो अब साथ है रक़ीबों के ये आँख उस के बिछड़ने से लाल थोड़ी है सवाल ये है हवा आई किस इशारे पर चराग़ किस के बुझे ये सवाल थोड़ी है करम है उस का अगर वो नवाज़ता है हमें हमारे सज्दों का इस में कमाल थोड़ी है

tumhāre jaane kā ham ko malāl thoḌī hai
Nadim Nadeem
Nadim Nadeem
Nadim Nadeem
poet44 quotes

More by Nadim Nadeem

View all →
Quote
"mere kaandhon pe rahe karte rahe sunvaai par farishton ne miri baat nahin pahunchaai dauDti haanpti aai thi udaasi mujh tak mere siine se lagi aur zaraa sustaai zindagi thak nahin sakti hai ki chalnaa hai ise dar-ba-dar ghumti rahti hai miri Thukraai aaina bas vo dikhaataa hai jo ham chaahte hain aur ham kab hi dikhaate hain ise sachchaai do khalaa ek baraabar hain mire siine mein jabki mumkin hi nahin ek ki bhi bharpaai rone vaalo zaraa aavaaz ko nichaa rakkho kyaa mazaa aaegaa aavaaz agar bharraai ek ham khud ke hain ik ghar ke hain ik duniyaa ke tum agar paa bhi sakoge to hamein chauthaai"
Nadim NadeemNadim Nadeem
Quote
"dilon ke khel mein bhi kaam le liyaa dimaagh se churaa liyaa hai phuul main ne zindagi ke baagh se vo jaantaa hai khaamushi se raaste nikaalnaa savaal kyaa karein bhalaa ham aise khush-dimaagh se tumhaari chhaaon paa ke dil kuchh itnaa mutmain hai ab na manzilon se kaam hai na raah ke suraagh se bikhertaa hai raushni ridaa-e-aasmaan se vo sitaare jaise oDhni mein paD gae hon daagh se main rang rang thaa udaasiyon kaa koi qaafila main nuur nuur huun tumhaare 'ishq ke charaagh se"
Nadim NadeemNadim Nadeem
Quote
"bhar bhar ke kulaanchein ye chale chaal hiran ki is man ko bhi lag jaae havaa gar tire ban ki ik raat ki devi ke parastaar hain ham log deti hai misaalein jo tire saanvle-pan ki kyaa rang thaa kyaa ruup thaa kyaa us ke khad-o-khaal khushbu bhi nahin yaad hamein ab to saman ki ik aankh jise dekhnaa achchhaa nahin lagtaa ik dil ki zarurat hi nahin jis ko badan ki ab apne gunaahon ki sazaa kaaT rahe hain aage tire har baat ugal dete the man ki mujrim hai koi paanv paTaktaa hai jigar mein siine mein jo har saans pe zanjir si khanki"
Nadim NadeemNadim Nadeem

More on Maa

View all →
Quote
"dil shaad nahin karte aabaad nahin karte mahsus ye hotaa hai vo yaad nahin karte naashaad zamaane ke dil shaad nahin karte kam-aql parindon ko aazaad nahin karte mohtaaj-e-karam aksar rahte hain gharibon ke jo log gharibon ki imdaad nahin karte kuchh log shikaayat ko haq apnaa samajhte hain kuchh log kabhi tum se fariyaad nahin karte ham apne iraadon mein rakhte hain tavaanaai ham daad ke taalib ko bedaad nahin karte jo aap ki niyyat kaa kuchh ilm hamein hotaa ham apni mohabbat ko barbaad nahin karte is daur-e-siyaasat mein 'mahmud' qayaamat hai ahbaab jo karte hain jallaad nahin karte"
Mahmood NashtariMahmood Nashtari
Quote
"kyaa apne shahr mein koi aisaa makaan hai samjhun jise ki asl mein vo ik jahaan hai DhunDo haqiqat is mein na afsaana hi koi is kaa bayaan kuchh nahin us kaa bayaan hai apnaa shi'aar ab hai faqat amn-dushmani ye aur baat faakhta apnaa nishaan hai likhne ko ek harf na kahne ko ek lafz yuun to qalam hai haath mein munh mein zabaan hai vo lams jis ke baa'd zamaane guzar gae vo lams ab bhi taaza hai ab bhi javaan hai ho jaaegaa yaqin sabhon kaa hi kal jo aaj meraa yaqin aur sabhon kaa gumaan hai shatranj ki bisaat ki thi apni mez par shatranj ki bisaat ki saaraa jahaan hai"
M
M. Qamruddin
Quote
"charaaghon se kuchh to churaayaa gayaa hai jo thi aag us ko bujhaayaa gayaa hai likhaa thaa jinhein sirf apne lahu se mire un khaton ko jalaayaa gayaa hai hazaaron daf'a us ne ki bevafaai mujhe bevafaa kyon bataayaa gayaa hai mujhe khud nikalnaa paDaa apne ghar se ye mat sochnaa ki bhagaayaa gayaa hai khabar ye mili hai ki mere hi ghar mein kisi ghair ko ab basaayaa gayaa hai mujhe hi sataa kar mujhe hi rulaa kar ye ilzaam mujh par lagaayaa gayaa hai tumhein kyaa bataaun mohabbat mein 'raavat' mujhe kis qadar aazmaayaa gayaa hai"
Divyansh RawatDivyansh Rawat
Quote
"bahr-e-rang-e-daastaan rahne diyaa ik tajassus darmiyaan rahne diyaa ab zamin ban kar bichhaa jaataa hai vo main ne jis ko aasmaan rahne diyaa raushni aur khvaab saare hech the apni aankhon mein dhuaan rahne diyaa vo jagah raushan nahin hogi kabhi is mohabbat ko jahaan rahne diyaa maan ne maathaa chuum kar rukhsat kiyaa maamtaa kaa saaebaan rahne diyaa kul milaa ke ye hai raaz-e-tishnagi ham ne dil ko sargiraan rahne diyaa khud hami paamaal Thahre shauq se khush-gumaan ko khush-gumaan rahne diyaa"
Bushra MasuudBushra Masuud
Quote
"ajab mushkil ki dil kaa haal aisaa ho gayaa hai sabhi ab puchhte hain mujh se ye kyaa ho gayaa hai main ye samjhaa ki gham kaa ab mudaavaa ho gayaa hai kuredaa zakhm to ye aur taaza ho gayaa hai kabhi fursat mile to khud se main baatein karungaa mujhe khud se mile bhi to zamaana ho gayaa hai magar ab sochtaa huun toD duun saare maraasim magar dil bhi tire gham se shanaasaa ho gayaa hai miri barbaad hasti kaa nazaara dekhne ko vo aae aur gham mein phir izaafa ho gayaa hai isi dariyaa mein ab khud ko Dubonaa chaahtaa huun ki is dil kaa talaatum mein kinaare ho gayaa hai chalo bhi 'qalb' ab tum dusraa dekho Thikaanaa ki is basti mein apnaa sab paraayaa ho gayaa hai"
Anees QalbAnees Qalb