Quote
"apne sivaa kisi kaa agar honaa aa gayaa samjho hamaare haath koi Tonaa aa gayaa paa leinge zindagi ki haqiqat kaa raaz bhi ik dusre ke vaaste gar khonaa aa gayaa nazdik aate aate bahut duur ho gae ye baat yaad kar ke mujhe ronaa aa gayaa baalon kaa rang chhup gayaa raston ki dhuul mein yunhi nahin ye bojh hamein Dhonaa aa gayaa tai ho rahaa thaa vaqt mulaaqaat kaa abhi phir yuun huaa ki biich mein corona aa gayaa"
